Pisraan e Hazrat Muslim (a.s)
🔹🔸🔹🔸🔹🔸
Darbar mein jab katke yateemoun ke sar aaye
Doobe hue doh chand lahu mein nazar aaye
Gul padgaya Muslim ke yeh laqte jigar aaye
Gurbat zada-o bey watan-o bay pidar aae
Shamsheere sitam chal gayi un nauhagaroun par
Kya bekasi-o yaas barasti hae saroun par
Haakim se yeh tab kehne laga haaris-e badhkaam
Sar bachhoun ke laya hoon miley qillat-o inaam
Pehchaanle Muslim ke pisar hain yahi gulfaam
Yeh woh hain jo Zindaan se bhaage thay sare shaam
Main dhoondta phirta tha na haath aate they dono
Paate thay jidhar raah nikal jaate thay dono
Haakim ne kaha tu ne kahan phir inhe paaya
Tareekiye shab mein nazar aata nahin saaya
Woh jodh ke haathoun ko suqan lab peh yeh laaya
Zowja ne meri tha inhe hujre mein chupaaya
Mein kehta tha dil mein ke kahan jaake chupe hain
Iski na qabar thi mere ghar aake chupe hain
Az bas ke thaka tha mujhe neend aagayi us dum
Kya dekhta hoon aalame roya mein basadh gham
Ek hujre mein do tifl nazar aate hain baham
Sar peet ke kehte hain woh ba deedaye purgham
Aafat mein phanse hum dare zindaan se nikal ke
Maloom hua padhgaye phande mein ajal ke
Chillaye jo woh haye pidar kehke dilafgaar
Tha neend mein ya aankh meri khul gayi ek baar
Khush hogaya mein taalaye qifta huve bedaar
Bistar se utha haath mein kheinche huve talwaar
Ek hujre mein Muslim ke woh pyaare nazar aaye
Bala-e zameen arsh ke taare nazar aaye
Jakda jab inhe maine toh karte thay yeh faryaad
Mehmaan tere ghar aaye hain hum bekaso nashaad
Bin baap ke hain hum pah taras kha sitam eejaad
Le minnatein karte hain teri chod de jallaadh
Kar rahem ke masoom hain dukh paaye hain zaalim
Hum chupne ko daaman mein tere aaye hain zaalim
Maine kaha turn dono ke baba ka hae kya naam
Rokar kaha kehte hain unhein Muslim-e nakaam
Bejurm-o-qata unke gale par chali sumsaam
Hum jab se chute baap se hum ko nahin aaraam
Dehshat se teri seene mein dil hilte hain zaalim
Ab dheeli rasan karke gale chilte hain zaalim
Yeh sunte he masoomon par ghussa mujhe aaya
Hujre se inhein khenchte daalanh mein laya
In dono ne jo zulm na dekha tha dikhaya
Mujrim ki tarah baandh diya rahem na khaya
Bahar unhein le aaya jo zulfoun ko pakad kar
Istada kiya choab se rassi mein jakad kar
Samjha na woh hargiz na mera dhyan mein laayi
Jhunjhla ke usey teghe sitam maine lagaayi
Ek vaar mein saa-adh se giri kat ke kalaai
Chilla ke lagi dene payambar ki duhaai
Hae hae mere aqa meri imdad ko pahuncho
Ae shahe garibaan meri faryaad ko pahuncho
Jab maar chuko usko toh masoomon ko kheincha
Pakde hue zulfein unhe laya lab-e darya
Rokar kaha bachoun ne hamein qatl na karna
Marega jo hum ko toh tere kya haath lagega
Bekas hain musafir hain aur awara watan hain
Yeh kya hae saza kum ke giraftar-e mehan hain
Kar reham sitamgaar gharibi pah hamari
Devega sila iska tujhe Qaliqe bari
Le ankh na dikhla nahin ab karne ke zaari
Chal kar sare bazar hamein bechde naari
Bach jayenge hum qilat-o-zar payega zaalim
Gar qatl kiya hum toh pachtaega zaalim
Yeh sun ke badha mai joonhi khenche huve talwaar
Pehloo mein biradar ke biradar gira ek baar
Main chati pah ek tifl ki akhir hua aswaaar
Jab halq pah bacche ki rakha qanjar-e khoonqar
Ek hashr bapa hogaya qanjar ke chale par
Bhai ne gala rakhdiya bhai ke gale par
🔸🔹🔸🔹🔸🔹
😭😭😭😭😭😭😭😭😭
Pardes me Muslim a.s Qatl huwe bacchon pe yateemi chhaayi hai..
Kufe ki andheri galiya'n hai'n bacche hain aur tanhaayi hai...
Talwaar chalaayi haaris ne aur Arsh-e-moalla cheek utha...
Muslim a.s. ke dono bacchon ne ghurbat me shahadat paayi hai...!!!
😭😭😭😭😭😭😭😭😭
23 Zilhajj, Shahadat-e-Pisraan-e-Muslim (a.s) Hazrat Mohammad (a.s) Aur Hazrat Ibraheem (a.s)
😭😭😭😭😭😭😭😭😭