Thursday 3 March 2016

Shab e Juma & Juma Hadith

🌴Shab e Juma Hadith
🔸🔹🔸🔹🔸🔹
1. Rasule Khuda (saww):
Jo koi Jumeraat aur Shab e Juma ko Masjid mein safaai kare aur Masjid mein se aa'nkh mein padne waale tinke ke barabar dhuul aur mitti baahar nikaale to Khuda uske gunah maaf farmayega.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p465)
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal (Naseem e Behisht), p69)

2. Imam Sadiq (as):
Shab e Juma gunaaho'n se Parhez karo kyon ki is Shab mein gunaaho'n ki sazaa KAI GUNA badh jaati hai aur Nekiyo'n ka sawaab bhi.
(Sharh Dua e Kumail)

3. Imam Sadiq (as):
Jo shakhs Shab e Juma me Ma'siyyate Khuda (gunaah) ko tark (avoid) kare, to Allah uske Pichhle gunaaho'n ko Maaf kar deta hai.
(Sharh Dua e Kumail)

4. Imam Sadiq (as):
Shabe Juma aur Juma ke din SADQA dena aur SALWAT padhna 1000 nekiyo'n ke barabar hai, is se 1000 buraiya'n khatm hoti hai aur 1000 darjaat buland hote hain.
(Fazaael e Salwaat)

5. Rasule Khuda (saww):
Mujh par Salwaat zyada bheja karo, chaandni raat mein, raushan din mein aur Shab e Juma aur Roz e Juma 100 martaba bhejo aur agar aur zyada ho to baais e fazilat hai.
(Furoo e Kafi, v2, p230)

6. Rasule Khuda (sawa):
Momeneen ki Roohe'n har shabe juma apne gharo me laut aati hain aur unme se har ek Ghamgeen aawaz me yu pukarti hain "Aye Mere Gharwalo Aulaad aur mere Ahbaab, Hamare naam pe kuchh Sadqa do. Hume yaad karo aur hamari Tanhai aur bekasi pe raham karo.
(Hoqooq Waledain, P 74)

7. Imam Sadiq (as):
Jo shakhs shab e Juma ko H. Muhammad wa Aal e Muhammad (as) par Salwaat bhejta hai to Qayamat tak uska noor aasmaano’n mein chamakta rahega. Aur aasmani Farishte uske liye talab e maghferat karte hain aur uske liye wo Farishta bhi Qayamat tak maghferat talab karta rahega jo H. Rasule Khuda (saww) ki qabr e muqaddas par muwakkal hai.
(Wasaail ush Shia, v5, p83)

8. Rasule Khuda (saww):
Jahaa'n kuchh log jamaa ho'n lekin mehfil mein Allah ka naam na lein aur apne Nabi par Durood na bhejein to aisi Mehfil unke liye hasrat o wabaal ka zariya ban jaayegi.
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p40)

9. Rasule Khuda (saww):
Mujh par Salwaat zyada bheja karo, chaandni raat mein, raushan din mein aur Shab e Juma aur Roz e Juma 100 martaba bhejo aur agar aur zyada ho to baais e fazilat hai.
(Furoo e Kafi, v2, p230)

10. Imam Sadiq{as}
Shabe Juma Salwat Padhna 1000 Nekiyo Ke Barabar Hai, Jisse Hazaar Gunah Mitaa Diye Jate Hai Or Hazaar Darze Buland Kiye Jate Hai.
(Nehjul Asraar, P.618, V.2)

11. Imam Sadiq (as):
Juma ki raat ya uske din 1 dirham Sadqa dena 1000 dirham ke barabar hai aur shab e Juma mein sarkaar e Muhammad wa Aal e Muhammad (as) par Durood bhejna 1000 nekiyo’n ke barabar hai aur is raat Sadqa dena 1000 gunah mitaata hai aur 1000 darje buland karta hai.
(Wasaail ush Shia, v5, p83)

12. Imam Baqir (as):
Jo shakhs har Jumeraat ko naakhun kattwaya kare uski aulaad ki aa'nkhein na dukhengi aur agar kisi ko ye manzoor ho ke Jumeraat aur Juma dono din ke faayde haasil kare to Jumeraat ke roz sab kattwaye aur Juma ke liye ek naakhun rehne de. Ya yu'n kare ke Jumeraat ke din sab kattwaye aur Juma ke din sab ko reyt de ke zara zara se zarraat (kann) unke gir pade (cut all on Thursday and file them on a Friday so that a few of the particles may fall off). Aur naakhun kattwane ke waqt ye Dua padhe "Bismillahi Wa Billahi Wa 'Alaa Sunnati Muhammadinw Wa Aali Muhammad".
(Tehzeeb ul Islam (Urdu), p187)

13. Imam Reza (as):
Allah Subhanhu har raat ke aakhri hisse mein aur shab e Juma ke ibtedaayi hisse mein ek Farishta naazil karta hai jo nida karta hai ke, "Hai koi Tauba karne wala ke jiski Allah Tauba qubool kare?" Tuloo e fajr ke waqt wo waapis chala jaata hai.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p136)

14. Imam Sadiq (as):
Jab Shab e Juma hoti hai to aasmaan se (registaan ke) zarro'n (sands of the desert) ke barabar Farishte naazil hote hain jinke haatho'n mein Sone ke qalam aur Chaandi ke kaagaz hote hain jo hafte (sanichar) ki shab tak sirf sarkaar e Muhammad o Aal e Muhammad (as) par Durood o Salaam likhte hain. Lihaza, zyada se zyada Durood padho. Sunnat ye hai ke Juma ke din 1000 baar aur aam dino'n mein 100 baar Durood padha jaaye.
(Wasaail ush Shia, v5, p71), (Fazaael e Salwaat Aur Mushkilaat ka Hal, p49)

15. Imam Sadiq (as):
Jo koi bhi ye dua Shabe Juma ko 10 baar padhe Allāh  apne malaeka ko jama karta hai aur farmata hai, *Agar maine is dua padhne wale ko aaj nahi baksha to mai oska khuda nahi.*
(Misbahe Kafami, pg.647)

*بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمٰنِ ٱلرَّحِيمِ*
*يَا دَائِمَ ٱلْفَضْلِ عَلَىٰ ٱلْبَريِّةِ*
*يَا بَاسِطَ ٱلْيَدَيْنِ بِٱلْعَطِيَّة*
*يَا صَاحِبَ ٱلْمَوَاهِبِ ٱلسَّنِيَّةِ*
*صَلِّ عَلَىٰ مُحَمِّدٍ وَآلِهِ*
*خَيْرِ ٱلْوَرَىٰ سَجِيَّةً*
*وَٱغْفِرْ لَنَا يَا ذَٱ ٱلْعُلَىٰ*
*فِي هٰذِهِ ٱلْعَشِيَّةِ*
🌴Dua/Girya Karna
🔸🔹🔸🔹🔸🔹
1. Imam Baqir (as):
Kisi makhlooq ka makhlooq ke saamne sawaal mein giddgiddana Khuda ko bahut na-pasand hai magar Khuda ke saamne giddgiddana mehboob hai.
(Guftaar e Dil Nasheen, p133)

2. Imam Sadiq (as):
Agar tumhe (khauf e Khuda) mein rona na aaye to rone ki soorat hi bana liya karo. Aur agar aa'nkh se makkhi ke sar ke barabar bhi aa'nsu baahar aa jaaye to phir kya hi baat hai.
(Meezan ul Hikmah, v1, p668)

3. Rasule Khuda (saww):
Makhfi (tanhaayi mein kiye huwe) sajdo'n se zyada koi cheez bande ko Khuda ka muqarrab nahi banaati.
(Hadiyat ush Shia, p42)

4. Imam Sadiq (as):
Jab banda Sajde mein apne Rab se Dua kar raha hota hai, oos waqt wo Allah se zyada qareeb hota hai.
(Meezan ul Hikmah, v8, p193)

5. Imam Reza (as):
Jo Momin kisi zinda ya  murda Momin ke liye Dua  karega to Allah shuru se  aakhir tak tamaam Momin  ki tadaad ke barabar uske  liye Nekiyaan likhega.
(Sawaabul Aamaal)

6. Imam Kazim (as):
Jo shakhs apne Momeneen (aur Momenaat aur Muslemeen aur Muslemaat) mein se kisi bhai ke liye Dua kare to Allah Ta'ala HAR Momin ke badle ek Farishte ko muayyan farmayega jo uske haq mein Dua karega.
(Sawaabul Aamal o Iqaabul Aamal, p176)

7. Imam Hasan (as):
J. Fatima (sa) naam le le kar Momin o momenaat ke liye Dua farmaati aur unke liye bahut bahut Dua karti magar apne liye koi Dua na karti. Jab iska sabab J. Fatima (sa) se puchha gaya to aap ne farmaya, "Pehle padosi, phir ghar".
(Elal ush Sharaaye, p137)

8. Imam Jafar-e-Sadiq (as)
se puchha gaya ke Dua maangne ka sahi tariqa kya hai to aap ne farmaya,
'Dua ki ibteda mein Khuda ki Hamd karo aur apne upar hone waali ne'maat ko yaad karo, phir Uska shukr bajaa lao, phir Rasule Khuda (saww) par Durood / Salwaat padho, phir apne gunaaho'n ka tasawwur karo aur unka iqrar kar ke Astaghfaar karo. Ye hai Dua ka sahi tariqa.'
(Tafseer Noor us Saqlain, V-07, P-423)

🌴Juma (Friday) Hadith
🔸🔹🔸🔹🔸🔹
1. Imam Sadiq (as):
Kabhi kabhi aisa hota hai ke Momin Allah se koi haajat talab karta hai magar Allah uski haajat poori karne ko Juma ke din tak mu'akkhar (vilamb / delay) kar deta hai taake taake usay Juma ki fazilat ke saath makhsoos kare.
(Wasaail ush Shia, v5, p69)

2. Rasule khuda(sawa):
Aye Ali ! Logo'n ke liye hafte (week) me (kam se kam ek martaba) Gusl karna zaroori hai. Is liye Juma (Friday) ke din Gusl karo chaahe phir uske liye tumhe ek din ke khaane ke badle me paani kharidna pade aur bhooka rehna pade. Farmabardari me is kaam se zyaada aur koi kaam nahi. 
(Meezanul Hikmah, Vol 4)

3. Imam Sadiq (as):
Gusl e Juma ek Jume (Friday) se doosre jume tak gunaho'n ka kaffara hai aur zaahir aur baatin ka paak karne wala hota hai.  (Tehzibul Islam)

4. Imam Sadiq (as):
Juma ke din tum mein se har ek apni zeenat kare, Gusl kare, khushbu lagaye, kanghi kare, bahut saaf suthrey libaas pehne aur Juma ke liye aamaada ho aur oos din sukoon aur wiqaar (peace and dignity) ke saath rahe aur apne Rab ki achchi tarah  ibaadat kare aur haisiyat ke mutabiq khair o khairaat kare is liye ke Allah Ta’ala (Jume ke din) zameen ki taraf khaas nigaahkarta hai taaki nekiyo’n mein izafa kare.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p87)

5. Imam Ali (as):
Juma ke din Namaz se pehle naakhun taraashna (cutting nails) badi bimari ko duur karta hai. Jumeraat ke din naakhun taraashne se Rizq badhta hai.
(Tibb ul Aimma (as), p71)

6. Imam Ali (a.s):
Nakhun katne se badi bimariya dur hoti hai aur rizq me wusa’t hoti hai.
(Thoful Ukool.)

7. Imam Ali (a.s):
Munch ka durust karma pakizgi aur sunnat hai.
(Tohful ukool)

8. Imam Sadiq (a.s):
Khusboo / Itr lagaakar badhi huwi 2 rakaat namaaz, bagair khushboo ke padhi huwi 70 rakaat se behtar hai.
(Makaarim Al Akhlaq pg. 42)

9. Imam Ali Reza (a.s):
Mard ko khushbu chorni munasib nahi hai. Behtar to ye hai k har roz lagaey. Agr is par qudrat na rakhta ho to aik din k baad lagaey. Agr ye bhi mumkin na ho to juma k din zaroor lagaey.
(Tib-e-imam Ali Raza (a.s), Page 47)

10. Imam Sadiq (as):
Juma (ki namaz) miskeeno'n / garibo'n ka HAJJ hai.
(Meezanul Hikmah, Vol 5)

11. Imam Baqir (as):
Roz e Juma ka naam Juma is liye rakha gaya ke Allah Ta'ala ne is din Apni tamaam makhlooq ko jamaa kar ke H. Rasulallah (saww) aur aap (saww) ke Wasi (H. Ali (as)) ki Wilayat ka sab se Ahad (pledge) liya.
(Irshadaat e Masumeen (as), p125)

12. Imam Ali (as):
Kuchh logo’n ke liye Jannat ka main zaamin hoon.
Jo shakhs Sadqa dene ke liye nikle aur MAR jaaye to uske liye Jannat hai,
Jo shakhs kisi Mareez ki ayaadat (mulaqat) ke liye nikle aur Mar jaaye to uske liye Jannat hai,
Jo shakhs Raah e KHUDA mein Jihad karne ke nikle aur Mar jaaye to uske liye Jannat hai,
Jo shakhs Hajj ke liye nikle aur Mar jaaye to uske liye Jannat hai,
Jo shakhs Namaz e Juma Ke liye nikle aur Mar jaaye to uske liye Jannat hai,
Jo shakhs kisi Mard e Muslim ke Janaze mein shareek hone ke liye nikle aur Mar jaaye to uske liye Jannat hai.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p103)

13. Rasule Khuda (saww):
Jo bhi *Surah Juma* padhega, to tamaam shehro'n se jitne log Namaz e Juma mein jamaa honge, Allah unki tadaad se 10 guna zyada sawaab uske liye likh dega aur agar wo ye Surah har roz aur har shab padhega to har darne waali cheez se usay salaamati mayassar hogi aur har khatre se mehfooz kar diya jayega. 
(Tafseer ul Burhaan, v8, p5)
(Khusoosiat Wa Fawaaid e Quran, p160)


14. Imam Sadiq (as): 

Allah ne fazilat di hai Juma ke din ko doosre dino'n par aur roz e Juma Jannat sajaayi jaati hai usme aane waale ke liye. Roze Juma pahel karo tum log Jannat ki taraf Namaz ke zariye. Aur Roze Juma aasmaan ke darwaaze logo'n ke aamaal buland karne ke liye khul jaate hain.

(Furoo e Kafi, v2, p210)

---------------------------------------------
🔷 SURAH ARAAF
1. Rasule Khuda (sawa):
Jo Koi SURAH ARAAF Padhe To Allah Uske Aur Shaitaan Ke Bich Pardaa Daal Degaa, Jisse Wo Shaitaan Ke Waswase Se Dur Rahega Aur H. AADAM (a.s) Jaise Nabi Uski Shafaa'at Karenge.
(Maraatebul Quraan).

🔷 SURAH ARAAF PADHNE KA SAWAAB
1. Imam Sadiq (as):
Jo Shakhs Har Mahine Me 1 Martaba Surah Araaf Ki Tilawat Karega, Wo Qayamat Waale Din Oon Logo Me Se Hoga Jinke Liye Khauf O Huzn Nahi Hai. Aur Jo Iski Har Juma Tilawat Karega To Wo Oon Logo Me Se Hoga Jinka Qayamat Waale Din Koi Hisaab O Kitaab Nahi Hoga...
(Sawaabul Aamal, P - 225).
---------------------------------------------
🔷 JUMA KE KHUTBE
1. Holy Quran:
Aye wo log jo imaan laye ho, jab juma ke din namaz ke liye pukara jaye to Allah ke zikr ke liye tezi se daudo, aur kharid o farokht band kar do, ke ye tumhare liye zyada behtar hai, agar tum samjho to.
(Surah Juma, Surah 62, Ayah 9)

2. Imam Sadiq (as):
Jo chal kar Namaz e Jumma ki taraf jayega, Allāh uske jism ko Jahannum par haraam qaraar de dega.
(Wasaail ush Shia, V.5, P.36)

3. Imam Ali (as):
Jo shakhs Namaz e Juma ki adayegi ke liye Imam se pehle Masjid mein jaaye aur khamoshi se Khutba sune to aainda Juma tak uska ye amal uske gunaho'n ka kaffara shumaar kiya jayega. Iske alawa usay mazeed (additional) 3 dino'n ki ria'yat (concession) bhi di jayegi kyun ki Allah ka farmaan hai, "Jo koi ek Neki kare usay 10 guna Sawaab diya jayega (Surah An'aam, Ayat 160)".
(Tafseer Noor us Saqlain, v3, p314)

4. Rasule Khuda (saww):
Juma ki Namaz Azaan aur Iqaamat ke saath hai. Azaan ke baad Imam mimbar par jaaye aur Khutba padhe. Jab tak Imam mimbar par rahe MASJID MEIN KOI NAMAZ NA PADHE.
(Furoo e Kafi, v2, p223)

5. Imam Sadiq (as):
Jab Imam (Juma ka) Khutba de raha ho to oos waqt NA to baat ki jaa sakti hai aur na idhar udhar dekha jaa sakta hai magar jitna Namaz mein dekha ja sakta hai.
(Meezanul Hikmah, Vol 5)

🔷 JUMA KE KHUTBE KE BAAD DUA QUBOOL HOTI HAI...
1. Imam Sadiq (as):
Wo waqt jis mein Dua qubool hoti hai Juma ke Roz khutbo'n se faarig hokar safo'n ke durust hone tak aur din ke aakhri hisse mein guroob e aaftaab (sunset) tak hai.
(Furoo e Kafi, v2, p210)

🔷 NAMAAZ E JUMA KE BAAD SAFAR KARNA AUR ROZI TALAASH KARNA
1. Imam Naqi (as):
Jume K Din Us Waqt Tak Safar Na Kro, Jab Tak Namaz-e-Juma Adaa Na Kar Lo..
(Masjid p.92)

2. Imam Reza{as}
"Us Shakhs Ke Liye Khatra Hai Ke Salamat Na Rahe, Jo Roze Juma Namaze Juma Padhne Se Pehle Safar Kare..
(Masjid p.92)

3. Holy Quran:
Phir jab (Juma' ki) namaaz poori ho jaaye to Allah ke fazal (tumhari ROZI) ki talaash me zameen par (jahaa'n chaaho) jaao aur Allah ko bahut yaad karte raho taaki tum falaah / behtari (dili muraadei'n) paao.
(Surah Juma, Surah 62, Ayah 10)

🔷 NAMAAZ E JUMA KE BAAD BEHTAREEN AMAL
1.Imam Sadiq (as):
Juma ke din SABSE behtareen Amal Namaz e Asr ke baad 100 baar SALWAAT bhejna hai, agar is se zyada bheja jaaye to aur behtar hai.
(Sawaabul Aamaal)

2. Tafseer e Namuna v 24, p 128:
Namaz e Juma ke baad ROZI talaash karne mein Barkat hai. Riwaayat mein hai ke Rasulullah (SAWW) Namaz e Juma ke baad bazaar tashreef le jaate the.
(Aaina e Huqooq (Sharh Risaalatul Huqooq)

3. Imam Ali (as):
Namaz e Juma padhne ke baad ek doosre ko milne jao; is se tumhein Haajiyo'n ka sawaab milega.
(Miskhat ul Anwaar)

---------------------------------------------
🌴Juma (Friday) Salwaat
🔹🔸🔹🔸🔹🔸
1. Rasule Khuda (sawa):
Main Qayamat ke din Aamal ke MIZAAN ke saamne rahunga, jis kisi ke Gunaaho'n ka palda (scale) bhaari hoga to usne jo SALWAAT mujh par bheji hai unhe laaunga aur uski Nekiyo'n ke palde me rakh doonga taake uski Nekiyo'n ka palda bhaari ho jaaye.
(Fazaael e Salwaat)

2. Imam Sadiq (as):
Jume ke din SALWAAT bhejne se behtar koi amal nahi hai.
(Fazaael e Salwaat)

3. Rasule Khuda (sawa):
SALWAAT padhne se garibi aur tang-dasti duur ho jaati hai.
(Fazaael e Salwaat)

4. Rasule Khuda (sawa):
Jo koi Juma (Friday) ke din 100 martaba SALWAAT padhega, Allah uske 80 saal ke Gunaah maaf kar dega.
(Virtues of Salawaat)

5. Rasule Khuda (saww):
Jo roz e Juma (Friday) mujh par 100 baar SALWAAT bhejega Allah (swt) uski Dunia aur Aakherat ki 30 30 (total 60) haajatein puri karega.
(Sawaabul Aamaal)

6. Imam Reza (as):
Jo shakhs aise Amaal Na bajaa la sakta ho jinse uske Gunaaho'n ka kaffara ho sake to usay chahiye ke Bahut Zyada SALWAAT bheje.
(Meezanul Hikmah, Vol 3)

7. Imam Sajjad (as):
Agar tum Taufeeq aur Khush-naseebi hasil karna chahte ho to apne upar laazim qarar do ke hamesha ALLAHUMMA SWALLI ALA MUHAMMAD WA AALI MUHAMMAD kaha karo.
(Fazaael e Salwaat)

8. Imam Sadiq (as):
…Juma Musalmano'n ki Eid hai jo Eid ul Fitr aur Eid ul Qurban se bhi afzal hai. Aur 18 Zilhajj yaani Eid e Ghadeer tamaam Eido'n se afzal hai. Aur hamare Qaim e Aal e Muhammad (atfs) Juma ke din zahoor farmayenge aur Qayamat bhi Juma ke din qayam hogi. Aur Juma ki din sab se afzal amal sarkaar e Muhammad o Aal e Muhammad (as) par Durood o Salaam bhejna hai.
(Wasaail ush Shia, v5, p69)

🔷...AUR JUMA KI SUNSET KE WAQT
1. Rasule Khuda (saww):
Juma ke din ek aisi saa'at (lamha) hai ke jisme koi Musalman Allah se jo khair o khubi talab karta hai to Allah usay ataa karta hai. Jab puchha gaya ke wo kaunsi ghadi hai to aap (saww) ne farmaya, "Jab aadha Suraj guroob ho (doob) jaaye." Raawi  ka bayaan hai ke J. Zahra (sa) apne gulaam ko hukm diya karti thi ke makaan ki chhat par chadhh jaaye aur jab Suraj guroob ho to unko ittela kar de'n taaki wo Dua kar le'n.
(Wasaail ush Shia, v5, p70)

🌴 Dua @ Sunset @ Friday
Just before sunset when Friday is getting over say :

1. Recite Dua Simaat

2.
سُبْحَانَكَ لاَ إِلٰهَ إِلاَّ انْتَ

Glory be to You! There is no god save You!
يَا حَنَّانُ يَا مَنَّانُ

O All-tender! O All-bestower!

يَا بَدِيعَ ٱلسَّمَاوَاتِ وَٱلارْضِ

O Fashioner of the heavens and the earth!

يَا ذَا ٱلْجَلاَلِ وَٱلإكْرَامِ

O Lord of Majesty and Honor.

🌴"Subhaanaka laa ilaaha illaa anta yaa hannaanu yaa mannaanu yaa badeeussamaawaati wal arz yaa Zal jalaali wal ikraam " 

🔸🔹🔸🔹🔸🔹
🌺 اللھم عجل لولیک الفرج(ع)

اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن