Tuesday 31 May 2016

MUNAJAAT E SHABANIYA

MUNAJAAT E SHABANIYA

Imam Ali (as):
Mere Maabood! Rehmat naazil farma Muhammad (saww) aur Aal e Muhammad (as) par aur jab main Dua karu’n to meri Dua ko qubool kar le aur jab main pukaru’n to meri awaaz ko sunn le aur jab main munajaat karu’n to meri taraf tawajjoh farma ke main Teri hi taraf bhaag aaya hoo’n aur Tere hi saamne khadaa hoo’n, faqeer hoo’n, miskeen hoo’n, faryaadi hoo’n aur Tere sawaab ka ummeed-waar hoo’n...
(Munajaat e Shabaniya)

Imam Ali (as):
Tu mere dil ka haal jaanta hai, meri haajat se ba-khabar hai, mere zameer ko pehchaanta hai aur Tujh se mera anjaam makhfi (hidden) nahi hai aur jo main kehna chahta hoo’n wo bhi Tujhe maalum hai aur jo bayaan kar raha hoo’n wo bhi Tu jaanta hai aur aaqebat ke liye jis cheez ka ummed-waar hoo’n wo bhi Tere ilm mein hai...
(Munajaat e Shabaniya)

Imam Ali (as):
Mere Maabood! Agar Tu mehroom kar dega to mujhe kaun ataa karega aur agar Tu chhor dega to kaun madad karega? Mere Maabood! Main Tere gazab se aur Teri naraazgi ke naazil hone se Teri hi panaah chahta hoo’n. Maalik! Agar main Teri Rehmat ka ahel (deserving) nahi hoo’n to Tu is baat ka ahel hai ke Apni meherbaani se mujh par karam kare...
(Munajaat e Shabaniya)

Imam Ali (as):
Mere Maabood! Zindagi bhar to Tu ehsaan karta raha hai to ab marne ke baad oos ehsaan ko qat’a (discontinue) na karna. Bhala main marne ke baad Teri nigaah e karam se kaise maayus ho sakta hoo’n jab ke zindagi bhar Tujh se siwaaye nekiyo’n ke kuchh nahi dekha hai...
(Munajaat e Shabaniya)

Imam Ali (as):
Mere Maabood! Mere saath wohi bartaav karna jiska Tu ahel hai aur Apne fazl se oos bande par meherbaani karna jo gunahgaar hai aur jisko jihaalato’n ne dhaa’np liya hai. Maalik! Tu ne duniya mein mere gunaho’n ko chhupaya hai to main Akherat mein unki parda-poshi ka zyada mohtaaj hoo’n. Jab Tu ne Apne nek bando’n par zaahir nahi kiya hai to ab Qayamat ke din manzar e aam par mujhe ruswa na karna...
(Munajaat e Shabaniya)

Imam Ali (as):
Mere Maabood! Meri haajato’n ko paltaana nahi. Meri ummeed ko na-ummeed na karna aur meri aarzuo’n ko qata’ na karna. Agar Tu mujhe zaleel karna chahta to meri rehnumaayi na farmata aur agar Tu meri ruswaayi chahta to meri parda-poshi na karta. Main ye soch bh nahi sakta ke Tu meri oos haajat ko radd kar dega jisko maangne mein saari zindagi guzaari hai...
(Munajaat e Shabaniya)

Imam Ali (as):
Mere Maabood! Agar Tu mujhe jurm par pakdega to main Teri bakshish ka daaman thaam lunga, agar muhje gunaah par pakkdega to main Teri parda-poshi ka sahara lunga. Aur agar Tu mujhe Jahannum mein daalega to main Ahl e Jahannum ko bataunga ke main Tera chahne-wala hoo’n...
(Munajaat e Shabaniya)

Imam Ali (as):
Mere Maabood! Main Teri bargaah se nakaam aur mehroom kis tarah jaa sakta hoo’n jab ke main Teri ataa se ye tawakko rakhta hoo’n ke Tu mujhe Rehmat o Bakshish ke saath paltayega. Khudaya! Main ne gaflato’n ke aalam mein apni zindagi ko guzaar diya hai aur Tujh se doori ke nashe mein apni jawaani ko barbaad kar diya hai...magar beher-haal main Tera banda hoo’n aur Tere bande ka beta hoo’n. Tere saamne khada hoo’n aur Tere hi karam ko waseela banaye huwe hoo’n...
(Munajaat e Shabaniya)

Imam Ali (as):
Mere Maabood! Main wo banda hoo’n jo Teri mohlat se faayda uthha-kar be-hayaai ke zariye Tera saamna karta tha magar ab main har buraai se nikal aaya hoo’n aur Tujh se muaafi ka talab-gaar hoo’n is liye ke muaafi hi Tere karam ki zamanat hai. Khudaya! Mere paas koi aisi taaqat nahi hai jiske zariye main maasiyat (gunaho’n) se nikal aau’n magar oosi waqt jab Tu mujhe Apni mohabbat ke liye bedaar kar de. Jaisa Tu ne chaha, main ho gaya. Ab Tera shukr hai ke Tu ne Apne karam mein daakhil kar liya hai aur mere dil ko gaflat ki kasaafat se paak kar liya hai..
(Munajaat e Shabaniya)

Imam Ali (as):
Mere Allah! Meri taraf wo nazar kar jo Tu pukaarne waale par karta hai, Tu uski Dua qubool karta hai, phir uski yu’n madad karta hai jaise wo Tera farmabardaar tha. Aye Qareeb ke jo na-farmaan se doori ikhtiyaar nahi karta aur aye wo Sakhi jo kisi ummeed-waar ke sawaab mein bukhl (kanjoosi) nahi karta.
(Munajaat e Shabaniya)

Imam Ali (as):
Mere Allah! Mujhe wo dil de de jisme Teri nazeeki ka shauq ho aur wo zabaan de de jiski sachchai Teri bargaah tak pahu’ncha de, wo nigaah de de jo Tujh se qareeb-tar bana de. Mere Allah! Jo Tere zariye maaroof hota hai wo maj’hool (gumnaam) nahi hota aur jo Teri panaah le leta hai wo lawaaris nahi hota hai, jiski taraf Tu mutawajjeh ho jaaye  wo ranjida nahi hota...
(Munajaat e Shabaniya)

Imam Ali (as):
Mere Allah! Jo Tere sahaare chale usay raushni mil jaati hai aur jo Teri panaah le le usay panaah mil jaati hai. Ab main Teri panaah mein aaya hoo’n lihaza Apni Rehmat se na-ummeed na karna...
(Munajaat e Shabaniya)

Imam Ali (as):
Mere Allah! Mujhe musalsal Apne zikr ka shauq inaayat farma aur mujhe Apne Asma e Husna se masroor hone aur Apne pakiza muqaam se dili sukoon haasil karne ki himmat de. Mere Allah! Tujhe Teri zaat ka waasta hai ke mujhe Apne farmabardaar bando’n mein shaamil kar le aur Apni khushnudi ke muqaam tak pahu’ncha de kyun ke main na apna bachaav kar sakta hoo’n aur na apne aap ko kuchh faayda pahu’ncha sakta hoo’n...
(Munajaat e Shabaniya)

Imam Ali (as):
Mere Allah! Main Tera ek kamzor aur gunahgaar banda hoo’n aur Tujh se muaafi ka talab-gaar gulaam hoo’n. Pus, mujhe oon logo’n mein na rakh jinse Tu ne tawajjoh hataa li aur jinki bhool ne unhe Tere afw se gaafil rakha hai...
(Munajaat e Shabaniya)

Imam Ali (as):
Mere Allah! Main bus Tujh se sawaal karta hoo’n, Tere aage aah o zaari karta hoo’n, Tere paas aaya hoo’n aur Tujh se sawaal karta hoo’n ke Rehmat naazil farma sarkaar Muhammad (saww) aur Aal e Muhammad (as) par aur ye ke mujhe aisa qaraar de jo hamesha Tera zikr karta raha, jisne Teri na-farmaani nahi ki, jo Tera shukr adaa karne se gaafil nahi huwa aur jisne Tere farmaan ko subook (halka) nahi samjha...
(Munajaat e Shabaniya)

Thursday 5 May 2016

Eid-e-Besat (Meraaj) Ke Amaal

🌺Shab-e-Eid-e-Be'sat K Amaal🌺

👉�Aaj ki Raat yani Rajab ki 27vi shab behad mubarak shab hai.

👉�Ek rewayat k mutabiq aaj ki hi raat ko Rasool s.a. ko meraaj ata hui.

👉�Aaj ki Raat ko Lailatul Mab'as kaha jata hai kyuki aaj ki raat ki subah ko Rasool s.a. ko khuda ne Ba haisiyat-e-Nabi Mab'oos farmaya yani muntakhab kiya.

👉�Imam Mohammad Baqir a.s. ne farmaya.."Rajab k mahine me ek raat aisi hai k jo har us chiz se afzal hai k jispar suraj chamakta hai...aur wo raat 27vi ki raat hai.

👉�Aaj Ki raat me ibadat karna ek khas imtiyaz rakhta hai..rewayat me hai k jo shaks Aaj ki raat k aamaal baja layega to Allah usko 60 saal ki ibadat ka sawab dega.

👉�Aaj ki shab k makhsoos aamal hai...

"Maghribain ki namaz se farigh hokar aadhi raat se pehle 12 rakat namaz padhe 2-2 rakat karke bilkul fajr ki tarah...har rakat me sura hamd k baad Jo sura bhi yaad ho padhe...12 rakat namaz khatm karne k baad...

7 baar Sura Hamd
7 baar sura tawheed
7 baar sura kaferoon
7 baar sura falaq
7 baar sura naas
7 baar sura qadr
7 baar ayatul kursi padhe...

Phir ye dua padhe...👇�

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي لَمْ يَتَّخِذْ وَلَدا وَ لَمْ يَكُنْ لَهُ شَرِيكٌ فِي الْمُلْكِ وَ لَمْ يَكُنْ لَهُ وَلِيٌّ مِنَ الذُّلِّ وَ كَبِّرْهُ تَكْبِيرا اللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِمَعَاقِدِ عِزِّكَ عَلَى اَرْكَانِ عَرْشِكَ وَ مُنْتَهَى الرَّحْمَةِ مِنْ كِتَابِكَ وَ بِاسْمِكَ الْاَعْظَمِ الْاَعْظَمِ الْاَعْظَمِ وَ ذِكْرِكَ الْاَعْلَى الْاَعْلَى الْاَعْلَى وَ بِكَلِمَاتِكَ التَّامَّاتِ اَنْ تُصَلِّيَ عَلَى مُحَمَّدٍ وَ آلِهِ وَ اَنْ تَفْعَلَ بِي مَا اَنْتَ اَهْلُه

Phir apni haajaat baargaah-e-khuda me pesh kare insha Allah qubool hongi.

👉�Aaj ki raat Ziyarat-e-Rasool s.a. aur Ziyarat-e-Maula Ali a.s. bhi padhe.

👉�Rewayaton me aaj ki raat ghusl karne ki bhi takeed hai.

📚Misbaah-ul-mutahajjid by Sheikh Tusi r.a.

★✩★✩★✩★✩★✩

🌺27 Rajab Eid-e-Be'sat K Amaal🌺

👉�Aaj ka din yani Rajab ka 27wa din behad  Mubarak aur "Yaum-e-Eid" hai.

👉�Ek rewayat k mutabiq aaj k hi Din Rasool s.a. ko Ohda-e-Nubuwwat ata hua aur aap Ummat par bahaisiyat-e-Nabi mab'oos hue.

👉�Aaj K din ibadat karna ek khas imtiyaz rakhta hai..aur be had sawaab hai

👉�Aaj ke din k makhsoos aamal hain...

1-Roza rakhna...jiska sawab 70 saal k roze rakhne jaisa hai.

2- Ghusl karna...naye kapde pehanna...Khushboo lagaana..ek dusre ko Mubarak baad dena..sadqa dena

3-Bahut Zyada Salawat padhna

4-Zohrain ki namaz se farigh hokar 12 rakat namaz padhe 2-2 rakat karke bilkul fajr ki tarah...har rakat me sura hamd k baad Jo sura bhi yaad ho padhe...12 rakat namaz khatm karne k baad...

7 baar Sura Hamd
7 baar sura tawheed
7 baar sura kaferoon
7 baar sura falaq
7 baar sura naas
7 baar sura qadr
7 baar ayatul kursi padhe...

Phir 7 baar ye Kahe..👇�

لاَ إلہَ إلاَّاﷲُ واﷲُ ٲَکْبَرُ۔سُبْحَانَ اﷲِ وَالْحَمْدُ لِلّٰہِِ وَلاَحَوْلَ وَلاَقُوَّۃَ إلاَّبِاﷲِ الْعَلِیّ الْعَظِیمِ

Phir ye dua 7 baar padhe..👇�

اَﷲُ اﷲُ رَبِّیْ لاَاُ شْرِکُ بِہٰ شَیْئاً

Phir ye dua 7 baar padhe..👇�

لاَاُ شْرِکُ بِرَبِّیْ اَحَداً

Phir apni haajaat baargaah-e-khuda me pesh kare insha Allah qubool hongi.

👉�Aaj k Din Ziyarat-e-Rasool s.a. aur Ziyarat-e-Maula Ali a.s. bhi padhe. (Maula Ali a.s. ki aaj k din ki makhsoos ziyarat Mafateehul jenan k pg. No. 370 par darj hai.)

📚Mafateeh-ul-jenan by Sheikh Abbas Qummi r.a.

Wednesday 4 May 2016

MERAJ - BESAT

***********************************
        ♦ME'RAJ - BE'SAT♦

(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ)

(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ سُبْحَانَ الَّذِي أَسْرَىٰ بِعَبْدِهِ لَيْلًا مِنَ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ إِلَى الْمَسْجِدِ الْأَقْصَى الَّذِي بَارَكْنَا حَوْلَهُ لِنُرِيَهُ مِنْ آيَاتِنَا ۚ إِنَّهُ هُوَ السَّمِيعُ الْبَصِيرُ)

"Paak hai Woh Allah Ta'ala Jo apne Bande ko raat hi raat mein Masjid Masjid-e-Haraam se Masjid-e-Aqsa tak le gaya jiske aas pas Hamne Barkat de rakhi hai, isliye ke Ham use apni Qudrat ke baaz namoone  dikhayen. Yaqeenan Allah Ta'ala hi Sunnewala, Dekhnewala hai.
(Surah Al-Isra': 1)

👉�Tafseer:
Aaj ke hi din 40 saal umr mein Rasoole Khuda (sa) ne apni Nabuwwat ka ailan kiya.

Shabe Me'raaj ki raat Rasoole Khuda (sa) Umme Hani unke Chacha ki beti aur Ali (as) ki bahen ke ghar mein the.
Tabhi Jibraeel (as) ki awaz aye ke
"Is raat apko ek alag safar karna hai. Apko is janwar par jiska naam 'Buraq' hai bahut si duniya ki sair karni hai."
Phir Rasoole Khuda (sa) ka safar shuru hua, Taibah (Madinah) mein Namaz padhi, phir Kohe Sina jahan Musa (sa) Allah se beaten karte the, Namaz padhi. Phir Bait Al Lahm (Baitul Muqaddas ke nazdeek) Hazrat Esa (as) paidaishi jagah, Namaz padhi. Phir Masjid-e-Aqsa mein dakhil hue, jahan unhone Hazrat Ibrahim (as), H. Musa (as), H. Isa (as), aur doosre anbiya  se mulaqat ki. Wahan anbiya ki Namaze Jamat hui jiski Imamat Rasoole Khuda baja layi.
Wahan se Rasoole Khuda (sa) Alame Malakoot ka safar shuru kiya aur Sidrat ul Muntaha tak pahunche. Is limit ke aage kisi ki rasai nahi thi yahan tak ke Jibraeel ko bhi nahi thi. Phir Subah sawere wapas ghar laute.
Rasoole Khuda (sa) ne apni safar naama ko kai tarah se sabit bhi kiya. Rasoole Khuda (sa) ki ye Me'raj jismani thi, ye koi ruhani safar nahi tha jaisa ke ham khwab mein kar lete hai.
Phir Surah Bani Israel ki ye ayat nazil hui.
Me'raj mein Aap ne Jannat wa Jahannam ko apni aankh se dekha. Allah se kalam kiya lahja Ali (as) ka tha. Allah ne Me'raj mein Rasoole Khuda (sa) ko ek behtareen tohfa diya aur woh hai: Wajib Namaz-e-panchgana.

Allah ne ye safar kiyon karwaya?
Imam Sajjad (as) farmate hain:
"Usne unko Me'raj se nawaza taake Woh Apni Wasi Kaynat aur ajeeb cheezen unko dekhai jo kisi ne aaj tak pahle kabhi nahi dekhi thi, na hi aankho se dekha ya kaano se suna hoga."
⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜
----------------------------------------------