***********************************
♦ME'RAJ - BE'SAT♦
(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ)
(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ سُبْحَانَ الَّذِي أَسْرَىٰ بِعَبْدِهِ لَيْلًا مِنَ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ إِلَى الْمَسْجِدِ الْأَقْصَى الَّذِي بَارَكْنَا حَوْلَهُ لِنُرِيَهُ مِنْ آيَاتِنَا ۚ إِنَّهُ هُوَ السَّمِيعُ الْبَصِيرُ)
"Paak hai Woh Allah Ta'ala Jo apne Bande ko raat hi raat mein Masjid Masjid-e-Haraam se Masjid-e-Aqsa tak le gaya jiske aas pas Hamne Barkat de rakhi hai, isliye ke Ham use apni Qudrat ke baaz namoone dikhayen. Yaqeenan Allah Ta'ala hi Sunnewala, Dekhnewala hai.
(Surah Al-Isra': 1)
👉Tafseer:
Aaj ke hi din 40 saal umr mein Rasoole Khuda (sa) ne apni Nabuwwat ka ailan kiya.
Shabe Me'raaj ki raat Rasoole Khuda (sa) Umme Hani unke Chacha ki beti aur Ali (as) ki bahen ke ghar mein the.
Tabhi Jibraeel (as) ki awaz aye ke
"Is raat apko ek alag safar karna hai. Apko is janwar par jiska naam 'Buraq' hai bahut si duniya ki sair karni hai."
Phir Rasoole Khuda (sa) ka safar shuru hua, Taibah (Madinah) mein Namaz padhi, phir Kohe Sina jahan Musa (sa) Allah se beaten karte the, Namaz padhi. Phir Bait Al Lahm (Baitul Muqaddas ke nazdeek) Hazrat Esa (as) paidaishi jagah, Namaz padhi. Phir Masjid-e-Aqsa mein dakhil hue, jahan unhone Hazrat Ibrahim (as), H. Musa (as), H. Isa (as), aur doosre anbiya se mulaqat ki. Wahan anbiya ki Namaze Jamat hui jiski Imamat Rasoole Khuda baja layi.
Wahan se Rasoole Khuda (sa) Alame Malakoot ka safar shuru kiya aur Sidrat ul Muntaha tak pahunche. Is limit ke aage kisi ki rasai nahi thi yahan tak ke Jibraeel ko bhi nahi thi. Phir Subah sawere wapas ghar laute.
Rasoole Khuda (sa) ne apni safar naama ko kai tarah se sabit bhi kiya. Rasoole Khuda (sa) ki ye Me'raj jismani thi, ye koi ruhani safar nahi tha jaisa ke ham khwab mein kar lete hai.
Phir Surah Bani Israel ki ye ayat nazil hui.
Me'raj mein Aap ne Jannat wa Jahannam ko apni aankh se dekha. Allah se kalam kiya lahja Ali (as) ka tha. Allah ne Me'raj mein Rasoole Khuda (sa) ko ek behtareen tohfa diya aur woh hai: Wajib Namaz-e-panchgana.
Allah ne ye safar kiyon karwaya?
Imam Sajjad (as) farmate hain:
"Usne unko Me'raj se nawaza taake Woh Apni Wasi Kaynat aur ajeeb cheezen unko dekhai jo kisi ne aaj tak pahle kabhi nahi dekhi thi, na hi aankho se dekha ya kaano se suna hoga."
⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜
----------------------------------------------
No comments:
Post a Comment