Wednesday 12 April 2017

Fazilat Mahe Rajab (Hadith)

🌟Fazilat Mahe Rajab🌟
🔹🔸🔹🔸🔹🔸
1. Rasule khuda (saws) :
Mahe Rajab Khuda ka azeem mahina hai aur yeh woh mahina hai jis ki fazilat ko koi mahina nahi paa sakhta.
(Mafati ul Jinaan, pg 240)

2. Rasule khuda (saws) :
Rajab Khuda ka mahina, Shabaan Mera mahina hai aur Mahe Ramzan Meri ummat ka mahina hai.
(Mafati ul Jinaan, pg 240)

3. Imam Kazim (as) :
Rajab Jannat me ek nahr ka naam hai Jo dudh se zyada safeed aur shahed se zyada shireen hai aur Mahe Rajab me ek din Roza rakhne wala bhi is nahr se sairaab Kiya jaeega.
(Mafati ul Jinaan, pg 241)

4. Rasule khuda (saws) :
Mahe Rajab meri ummat ke liye Istegfar ka mahina hai.
(Mafati ul Jinaan, pg 241)

5. Rasule Khauda (sawa):
Jo shaks Mahe Rajab ki 1,15 aur aakhri tarikh ko Ghusl kare to woh apne gunaho se aaise paak hoga jaise apne maa k pet se abhi paida huva hai.
(The Rites of Rajab, Shaban & Ramadhan)

6. Imam Ali (as):
Mujhe Khushi Mehsos Hoti Hai Ke Insan Pure Saal Ke Doran In 4 Raton Me Khud Ko Tamam Kamo Se Farigh Karke Bedar Rahe aur KHUDA Ki Ebadat Kare;
Wo 4 Raten Ye Hai:
1. Rajab Ki Shabe Awwal
2. Shabe Neema-e-Shaban
3. Shabe Eid-ul-Fitr
4. Shabe Eid-e-Qurban
(Mafatih ul Jinan, P.284)

7. Imam Sadiq (as) :
Pehli Rajab ko Janabe Nuh (as) apni kashti par sawaar huwe aur unhone apne ashaab ko is din roza rakhney ka hukm diya. unhone farmaya ki iss din roze rakhney wale shaqs se jahannum ek saal ki doori par hogi. Jahannam ke saat'o (7) darvazey uss shaqs kay liyie band kar diye jayenge jo iss mubarak mahine me  saat din roza rakhey.  Jannat kay aath' o (8 ) darwazey uss shaqs kay liyie khol diye jayenge jo aath (8) din roza rakhey. Jo shaqs pandra (15) din roza rakhey uss ki mushkilaat aasaan hongi.. aur jo iss se zydah roza rakhey ussey Allah usse sawabe azeem ata kaerga.
(Sawaabul A’amaal, page no. 84)

8. Imam Kazim (as) :
Jo shakhs Mahe Rajab me ek din Roza rakhe ga Aatish e Jahannum us se ek Saal ke fasle tak dur ho jaeega.
(Mafati ul Jinaan, pg 241)

9. Imam Kazim (as) :
Jo shakhs Mahe Rajab me teen din Roza rakhe ga us ke liye Jannat laazim ho jaee gee.
(Mafati ul Jinaan, pg 241)

10. Rasulallah (sawa):
...Jaan lo kay jo shaqs Emaan aur Allah se Ajr ki umeed kay saath Rajab mein ek din roza rakhey toh Allah ta'ala ki buzurg raza payega aur uss ka uss din ka Roza Ghazab e Khuda ko thanda kardega, aur uss kay liyie Jahannam kay darwazon mein se ek darwaza band ho jayega, aur agar woh zameen ki miqdaar ka sona bhi ussey de diya jaye toh uss kay uss roza se woh afzal nahi hain aur duniya mein se koi bhi cheez uss kay uss rozey ka badla nahi ban sakti siway nekiyon kay, jab uss ney yeh roza Allah kay liyie ikhlaas kay saath rakha ho. Aur iss kay liyie jab iss rozey kay saath shaam karey (raat ho jaye) toh uss ki dus (10) du'aen mustajaab hoti hai, agar uss ki dua duniya mein kissi cheez kay jaldi paney kay liyie hogi toh (Allah) woh ussey ata farmayega, warna Allah uss kay liyie aysi acchaee ko mehfooz karlega jo uss kay awliya Ahbaa aur asfiya ki dua se Afzal hogi…
(Sawabul Aamal, Urdu- Page.62, 63)

11. Imam Kazim (as) :
Mahe Rajab me Allāh neki ka sawab dugna kar deta hai aur gunah maaf karta hai. Jo Rajabme ek (1) roza rakhe Jahannam ki aag osse 1 sal k fasle se dur hogi aur Jannat uss par wajib kar di jayegi jo teen (3) roze rakhe.
(Sawaabul A’amaal, Page 85)

12. Rasule Khuda (sawa):
... Aur jo Shaqs Rajab mein Teen (3) din roza rakhey, Toh Allāh Ta'ala uss kay aur Jahannum kay darmiyaan ek Khandaq ya Hijaab qarar dega jiss ki lambayi Sattar saal ki masafat kay masavi hogi, aur uss kay Iftaar kay waqt Allah Ta'ala Farmeyega : Yaqinan tera haq mujh par wajib ho gaya aur Meine tere liyie Apni mohabbat aur wilayat ko wajib kar diya, aye farishton Mein tum ko gawah banata Hun kay Meine yaqinan iss kay guzishta aur Ayainda kay gunah maaf kar diye..
(Sawabul Aamal, Urdu- Page. 63)

13. Jo Shaks Mahe Rajab me 3 din Roza Rakhe; Guruwar (thusday), Juma, aur Shanichar ke din, Use 100 Saal ki Ibadat ka Sawaab Milega.
(Mafatiul Jinaan)

14. *Aamaale Umme Dawood*
15 Mahe Rajab ke din Aamaale Umme Dawood behtareen Amal hai . Tamaam hajato ke Pura Hona, Ranj wa Gham ke daffa Hona, aur zalimo ko dur karne ke liye.
(Mafati ul Jinaan, pg 261)

15. *MAHE RAJAB KA JUMA*
Sayyed ibne Tawus ne onki kitab Iqabal Aamal me likhte hai ke
"Jo shake Mahe RAJAB me Juma ke din 100 martaba Sure Tawheed (kulhovallah) padhe to Allah oose aisa noor aata karega ke vo oose Jannat ki taraf le jayega
(Mafati al Jinan Pg 536 Eng)

16. Rasule Khuda (sawa):
RAJAB Meri Ummat Ke Liye Astaghfaar Ka Mahina Hai Pas Is Mahine Me Zyada Se Zyada
Talab-e-Maghfirat Karo Ke KHUDA Boht Bakhshne Wala aur Meharban Hai. Is Mah Me Ba kasrat Ye Kaha Karo;

أَسْتَغْفِرُ اللّه وَأَسْأَلُهُ التَّوْبَةَ.
ASTAGHFIRULLAHA WA AS’ALOHOT TAOBATA
(Mafatiul Jinaan)

17. Rasule Khuda (sawa):
Jo shaks Mahe Rajab me 1000 martaba;
لا إلهَ إلاّ اللّهُ
LA ELAHA ILLAL`LAH
padhe to oske liye 1 lakh neki likhi jayegi aur Allāh (s.w.t.) jannat me oske liye ek shehar banaega.
(Mafatiul Jinaan)

18. Mahe Rajab me Rozana Subah aur Sham me 70 Martaba Padhe:

    أَسْتَغْفِرُ اللّهَ وَأَتُوبُ إلَيْهِ. 
Astaghfirullaha wa atubu ilayhi   

Iske Baad Hatho ko Buland karke Kahe.......

ُاللّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَتُبْ عَلَيَّ.
Allahuma aghfir li wa tub'alayya.
(Mafatiul Jinaan)

19. Mahe Rajab ke har Shab me 2 Rakat Namaz pade Jisme Har Rakaat me;
➡Surah al-Fatiha 1 once
➡Surah al-Kafirun 3 times  ➡aur Surah al-Ikhlas 1 once.

Namaz ke Baad Hatho ko Buland karke yeh Dua Padhe;

لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ   لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَ يُمِيتُ وَ هُوَ حَيٌّ لَا يَمُوتُ بِيَدِهِ الْخَيْرُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْ‏ءٍ قَدِيْر   ٌوَإلَيْهِ الْمَصِيرُ،   وَلا حَوْلَ وَلا قُوَّةَ إلاّ بِاللّهِ الْعَلِيِّ الْعَظِيمِ،  اللّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ النَّبِيِّ الأُمِّيِّ وَآلِهِ.
(Mafatiul Jinaan)

20. Rasulallah (sawa):
Jo Mahe Rajab me 100 martaba is tarah Istegfar kare aur fauran Sadqa de to Allah oski zindagi rehmat aur bakshish par tamam karega, aur 400 martaba padhe to 100 Shaheedo ka sawab aata karega.

أَسْتَغْفِرُ اللّهَ الَّذِي لا إلهَ إلاّ هُوَ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ وَأَتُوبُ إلَيْ .
"Astaghfirullah hal lazi la ilaha illa huwa wah-dahu la shari'kalahu waa'tu builayh"

(Mafati al Jinan, P.535 Eng)

21. Rasule Khuda (saws) :
Jo shakhs Mahe Rajab me ek raat me 100 martaba Sura e Qul Ho Walla do rakat Namaz me padhe ga usse parwardegaar behshth me 100 qasr enayat  farmaega aur Har qasr kissi na kissi paigambar ke hamsaye me hoga.
(Mafati ul Jinaan, pg 252)

22. Rasule Khuda (saws) :
Jo shakhs Mahe Rajab me ek raat me 10 rakat Namaz padhe ga aur har rakat me surah e Hamd ke baad ek martaba Surah e Kafferoon  aur 3 martaba Sura e Tawheed padhe ga parwardegaar uske har gunah ko maaf kardega.
(Mafati ul Jinaan, pg 252)

23. Riwayat :
24th Rajab ko Roza rakhne ka azeem sawaab hai. Usme se ek ye hai ke uske paas Malekul Maut khubsoorat aur paakiza libaas mein malboos jawaan ki shakl mein Sharaab e Tahoor (Pure Drink) ka jaam haath mein liye Ruuh qabz karne aayega aur wo sharaab e Jannat se labrez jaam waqt e sakraat mein peene ke liye dega taaki sakraat e maut uspar aasaan ho.
(Manazilul Aakkhira, p31)

24. Imam Baqir (as):
Roza rakha karo yaum e Ghadeer (18 Zilhajj) aur 27 Rajab ko kyun ki Ghadeer ke roz Ali ibne Abi Taalib (as) qul kaaenaat ke Imam aur 27 Rajab ko *Rasulallah Muhammad (sawa)* ko Nabuwwat ka taaj pehnaaya gaya tha. Is din ka Roza 60 mahino'n ke Rozo'n se afzal hai.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p134)

25. Imam Ali (as):
26 Mahe Rajab ko roza rakhe to 200 saal k gunaho ka kaffara hai, 27 ki Shab me jagh ker ibadat kare to 60 saal ki ibadat ka sawab hai.
(Mafatih Al Jinan)

26. Imam Sadiq (as):
Jo koi 27 Rajab ko Roza rakhega Allah usay 70 saal ke Rozo'n ka sawaab ataa karega.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p548)

27. Imam Sadiq (as) :
Jo shakhs Mahe Rajab ki aakher me ek din Roza rakhe ga Parwardegaar us ko sakhraat e maut se Nejahat dega.
(Mafati ul Jinaan pg 241)

28. Imam Mohammed Taqi (as) :

Mahe Rajab me ek aisee raat hai ke jo har us cheez se behtar hai Jis per Sooraj chamakta hai aur woh 27 Mahe Rajab ki Raat hai.

(Al Misbah)

1st Shab e Mahe Rajab Ka Amaal
1. GHUSL

2. Ziyrat e Imam Hussain (as)

3. 20 Rakat Namaz (2x10)
Maghrib-Isha ke darmiyaan.
Har rakat me Surah Hamd ke baad 1 time Sureh Tawheed.

Fazeelat :
Is Namaz ka padhne wala aur uski Aal-o-Aulaad aur Khaandaan wale Azaab-e-Qabr aur Barbaadi-e-Maal se Mehfooz rehte hain. Roz-e-Qayamat Pul-e-Sirat se Bijli ki tarah tez guzar jayenge.

4. Namaz e Isha ke Baad 2 Rakaat Namaaz
1st Rakaat me Ek Martaba Surah al-Faatehah, Ek Martaba Surah al-Inshirah (No. 94) aur Surah al-Tawheed 3 Martaba.

2nd Rakaat me
Surahs al-Faatehah, al-Inshirah, al-Tawheed, al-Falaq, and al-Naas; Sabhi Surah Ek Martaba

Namaaz ke Baad 30 Martaba;

لآ اِلَهَ اِلّا اللّه
Aur 30 Martaba

اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ
Fazeelat:
Jo Shaks yeh Namaaz padega; uske saare Gunah maaf kar diye jayege aur Paltaya jayega Gunah se paak ke abhi paida huwa ho.

1st Mahe Rajab ke Amaal
1. ROZA:
Imam Sadiq (a.s.):
Pehli Rajab ko Janabe Nuh (a.s.) apni kashti par sawaar huwe aur unhone apne ashaab ko is din roza rakhney ka hukm diya. unhone farmaya ki iss din roze rakhney wale shaqs se jahannum ek saal ki doori par hogi.
Jahannam ke saat'o (7) darvazey uss shaqs kay liyie band kar diye jayenge jo iss mubarak mahine me  saat din roza rakhey. 
Jannat kay aath' o (8 ) darwazey uss shaqs kay liyie khol diye jayenge jo aath (8) din roza rakhey.
Jo shaqs pandra (15) din roza rakhey uss ki mushkilaat aasaan hongi..
aur jo iss se zydah roza rakhey ussey Allah (s.w.t) usse sawabe azeem ata kaerga."
(Sawaabul A’amaal, P.84)

2. GHUSL:
Rasule Khauda (sawa):
Jo shaks Mahe Rajab ki 1,15 aur aakhri tarikh ko Ghusl kare to woh apne gunaho se aaise paak hoga jaise apne maa k pet se abhi paida huva hai.
(The Rites of Rajab, Shaban & Ramadhan)

3. NAMAAZ SALMAN FARSI (RA):
HAZRAT SALMAN (r.a) Se Manqol 2 Namazen Ada Kare Jin Ko Ada Karne Wala Azab-e-Qabar Or Qyamat Ki Sakhtion Se Bacha Rahega.
[See MAFATIH-UL-JINAN, Pehli RAJAB KI Raat Aur Din Ke Amaal]

4. ZIYRAT E IMAM HUSSAIN (AS):
Imam Sadiq (as):
Jo Shaks Imam Hussain (as) ki Ziyrat pahili (1st) Mahe Rajab ko Karega; Allah (swt) uske Saare Gunaah Maaf Kardega.
(MAFATIH-UL-JINAN)

MAHE RAJJAB Ki 5th shab ki Namaaz

6 Rakat namaz
2-2 rakat kar ke padhe.

Har rakat me Sure Fatiha ke baad Surah Tauheed (qulhoallaho ahad) 25 baar padhe.

Sawaab:
Peghambar(s) farmaate hain ke is namaz ko agar koi padhta hai to

Allah use 40 Paighambar Aur 40 Shaheedo ka sawaab ataa karta hai

Aur PUL-E-SIRAAT se wo ek noorani ghoday per bijli ki tarh guzar jayega.
(Mustaheb Namazein, p108)

MAHE RAJAB KI 9th shab ki Namaaz

2 rakat namaz
Har rakat me
Surah Fatiha ke baad
Surah KAUSER 5 baar padhen.

Sawaab:
Peghambar (sawa) ne farmaya hai jo iss namaz ko bajalaayga -

Wo upni jagah se nahi uthtega magar bakhsh diya jayga aur;
100 hajj &100 umre ka sawab ata kiya jayga;
Uspar hazaar rehmat naazil hogi aur;
Aatishe jahannum se mehfooz rahega aur; 
Agar 80 din baad jub bhi marega  shaheed marega.
(Mustaheb Namazein, P110)

*Rajab ki 15vi ke Aamal*

1. Ghusl Kare...Gunahon ki bakhshish ka sabab hai.

2. Aaj k Din ke behtareen Aamal me se hai Imam Hussain a.s ki Ziyarat...(Nazdeek ya door se)...Aap a.s. ki makhsoos Ziyarat jo 15 rajab ko padhi jati hai...uski kaifiyat Mafateehul jenan pg. 436-438 Par dekhein.

3. 15 Rajab ko 4 ra'kat namaz 2-2 Ra'kat karke padhe...namaz k baad hath utha k ye dua padhe..

*اَللّٰهُمَّ يَا مُذِلَّ كُلِّ جَبَّارٍ وَ يَا مُعِزَّ الْمُؤْمِنِيْنَ اَنْتَ كَهْفِيْ حِيْنَ تُعْيِيْنِي الْمَذَاهِبُ وَ اَنْتَ بَارِئُ خَلْقِيْ رَحْمَةً بِيْ وَ قَدْ كُنْتَ عَنْ خَلْقِيْ غَنِيًّا وَ لَوْ لَا رَحْمَتُكَ لَكُنْتُ مِنَ الْهَالِكِيْنَ وَ اَنْتَ مُؤَيِّدِيْ بِالنَّصْرِ عَلٰى اَعْدَاۤئِي وَ لَوْ لَا نَصْرُكَ اِيَّايَ لَكُنْتُ مِنَ الْمَفْضُوْحِيْنَ يَا مُرْسِلَ الرَّحْمَةِ مِنْ مَعَادِنِهَا وَ مُنْشِئَ الْبَرَكَةِ مِنْ مَوَاضِعِهَا يَا مَنْ خَصَّ نَفْسَهُ بِالشُّمُوْخِ وَ الرِّفْعَةِ فَاَوْلِيَاؤُهُ بِعِزِّهِ يَتَعَزَّزُوْنَ وَ يَا مَنْ وَضَعَتْ لَهُ الْمُلُوْكُ نِيْرَ الْمَذَلَّةِ عَلٰى اَعْنَاقِهِمْ فَهُمْ مِنْ سَطَوَاتِهِ خَاۤئِفُوْنَ اَسْاَلُكَ بِكَيْنُوْنِيَّتِكَ الَّتِي اشْتَقَقْتَهَا مِنْ كِبْرِيَاۤئِكَ وَ اَسْاَلُكَ بِكِبْرِيَاۤئِكَ الَّتِي اشْتَقَقْتَهَا مِنْ عِزَّتِكَ وَ اَسْاَلُكَ بِعِزَّتِكَ الَّتِي اسْتَوَيْتَ بِهَا عَلىٰ عَرْشِكَ فَخَلَقْتَ بِهَا جَمِيْعَ خَلْقِكَ فَهُمْ لَكَ مُذْعِنُوْنَ اَنْ تُصَلِّيَ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اَهْلِ بَيْتِهِ۔*

Rewayat me hai k jo bhi ye amal karega...Allah uske tamam Ghum door karega...!!

4. Namaz-e-Salmaan-e-Faarsi s.a. padhe jo 10 Rakat hai...har rakat me 1 baar hamd 3 baar tauheed aur 3 baar Kaferoon padhe ..har 2 rakat k khatm karne k baad ek dua padhni hai jiski kaifiyat Mafateeh ya tohfatul awaam me pg. 132 par dekhe...is Namaz ko bhi tark na kare...Behad Sawab hai..!!

(-MAFATEEHUL JENAN BY SHIEKH ABBAS QUMMI R.A.)

Mahe Rajab Me Roz Padne ki Dua
1. Imam Jafar Sadiq (a.s) ne Mahe Rajab e Murajjab mein is Dua ko har roz padhne ki taaqid ki hai. Pehle hum oos dua ka tarjuma padhle toh phir dua samaj ke padhe ke hum Allah (swt) se kya dua maang rahe hain.

○Shuru Allah ke naam se jo bada rehman aur rahim hai.                                 
Aye woh jisse har bhalai ki ummeed rakhta hun aur har burai ke waqt uske gazab se amaan mein hun.
Aye woh jo thode se amal par zyada ajr deta hai. Aye woh jo har sawaal karne wale ko deta hai.Aye woh jo oose bhi deta hai jo sawaal nahi karta aur oose bhi deta hai jo oose nahi pehchanta oos par bhi karam karta hai. Toh mujhe bhi mere sawaal par duniya aur aakherat ki tamaam nekiyan aur bhalaiyan ataa farma.aur meri talabgari par duniya aur aakherat ki tamaam taklifen aur mushqilen dur karke mujhe mehfooz farma de kyun ke tu jitna ataa kare  tere yahan kami nahi padti toh Aye Kareem mujh par apne fazl mein izaafa farma.

●DUA.
YA MAN ARJU HO LE QULLE KHAIR WA AAMANO SAKHATA HU INDA QULLE SHAR. YA MAN YUATIL QASEERA BIL QALEEL, YA MAN YUATI MAN SA,ALAH, YA MAN YUATI MAN LAM YAS ALHU WA MAN LAM YARIFHU  TAHANONUN MINHO WA REHMA AATENI BE MASALTI IYYAKA JAMEEAA KHAIREED DUNIYA WA JAMEEA KHAIRIL AAKHERA WASRIF ANNI BE MASALATI IYYAKA JAMEEA SHARREED DUNIYA WA SHARREEL AKHERA FA INNAHU GAIROH MANKUSIN MAA AATAITA WA ZIDNI MIN FAZLEKA YA KAREEM.

→Iske baad Imam (a.s) ne apni daadhi ko apni mutthi mein liya aur apni shahadat ki ungli ko hilate hua nihayat girya o zaari ki haalat mein yeh dua padhi.

●YAA ZAL JALAALE WAL EQRAAM ,YAA ZAN NEAMAAE WAL.JUDE ,YA ZAL MANNE WATTAVLE HARREEM SHAYBATI ALAN NAR.

○(AYE SAHEBE JALAL AUR BUZURGI AYE NAEMATON AUR BAKHSISHO KE MALIK AYE SAHEBE EHSANO ATAA MERE SUFAID BALON KO AAG PAR HARAAM FARMAA DE.)

MAHE RAJAB ke Amaal jo Qabr Me Kaam Ayege:

●Part - 1
1) Rasule Khuda (sawa):
Jo shakhs Mahe Rajab ki pheli shab e juma (Lailatul Ragaaib) ke Amaal karta hai toh Qabr ki pheli raat ko wehshat se dur hoga.
(Mafati ul Jinan, P.253)

2) Riwaayat:
Jo shakhs Surah Yaseen ko sone se pehle padhe aur Namaz e Lailatul Raghaib padhe wo wehshat e qabr se mehfooz rahega. (Ye Namaz maah e Rajab ki pehli shab e Juma ko Maghrib aur Isha ke darmiyaan padhi jaati hai aur iska tariqa Mafaati mein maujood hai)
(Manazilul Aakkhira, P.47)

3) Rasule Khuda (sawa):
Qabr ki pehli raat ko Allah(swt) Mahe Rajab ki pehli shabe Juma ko kiye gaye aamal ko qabr me ek behtareen shaks ki shakl me bhejega aur vo marne wale ko khabr dega ke "Mubarak ho aapki magferat hai aur aap ko har musibat aur khauf se aaman hai".

Marne wala puchega ke aap kaun ho to jawab milega ke "mai voh Namaz hu jo tume Mahe Rajab ki pehli Shabe e juma ko padhi thi".

★Namaz ka Tarika :
Magrib aur Isha ke darmiyaan 12 rakat Namaz (2×2) har rakat me Sure Hamd ke baad 3 bar Sure Inna Anzalna aur 12 baar Sure Kulhovallah.

12 rakat Namaz ke baad

70 martaba  :

اللّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ النَبِيِّ الاُمِّيِّ وَعَلى آلِهِ

Fir Sajdah me 70 martaba ye padhe :

سُبُّوحٌ قُدُّوسٌ رَبُّ المَلائِكَةِ والرُّوحِ

Sajdah se sar ootha ke 70 martaba ye padhe :

رَبِّ اغْفِرْ وَارْحَمْ وَتَجاوَزْ عَمَّا تَعْلَمُ إِنَّكَ أَنْتَ العَلِيُّ الأعْظَمُ

Fir Sajdah me 70 martaba kahe :

سُبُّوحٌ قُدُّوسٌ رَبُّ المَلائِكَةِ والرُّوحُ

Fir apni Hajaat talab kare aur Imam e Zamana (a.t.f.s.) kay Zahoor kay liye Zaroor dua karey.
(Mafati ul Jinaan)

●Part - 2
4 Rakaat (2*2) Namaaz 7th Rajab ki shab me
Rasule Khuda (sawa):
Jo shakhs 7th Rajab ki shab ko
4 rakaat Namaz (2*2) is tarah padhe ke har rakaat mein
Surah Fatiha ke baad
3 baar Surah Tauheed,
ek baar Surah Falaq aur
ek baarvSurah Naas padhe.

Namaz ke baad Salwaat 10 martaba

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وآلِ مُحَمَّدٍ

aur Tasbeehaat e Arba 10 martaba padhe,

سُبْحَانَ اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لاَ إلهَ إلاَّ اللهُ وَ اللهُ أكْبَرُ

Subhaanal-laahi wal-hamdu lil-laahi wa laa illaha illal-laahu wal-laahu Akbar

Sawaab:
To Khallaq e Aalam usay Arsh ke saaye mein jagah dega;
Aur Maah e Ramzaan ke rozadaar ke mutabiq sawaab ataa karega;
Aur Namaaz poori hone tak Malaika uske liye Astaghfaar karte rahenge;
Aur uske liye Sakraat e Maut ko aasaan aur Fishaar e Qabr duur farmayega;
Aur wo duniya se oos waqt tak nahi uthhega jab tak wo Jannat mein apni jagah apni aankho'n se na dekh le;
Aur wo Mehshar ki sakhti se mehfooz rahega.
(Manazilul Aakherah, p31)


Part - 3

MAHE RAJAB KI 9th shab ki Namaaz

2 rakat namaz
Har rakat me 
Surah Fatiha ke baad 
Surah KAUSER 5 baar padhen.

*Sawaab:*
Peghambar (sawa) ne farmaya hai jo iss namaz ko bajalaayga -

Wo upni jagah se nahi uthtega magar bakhsh diya jayga aur; 
100 hajj &100 umre ka sawab ata kiya jayga; 
Uspar hazaar rehmat naazil hogi aur; 
Aatishe jahannum se mehfooz rahega aur;  
Agar 80 din baad jub bhi marega  shaheed marega.
(Mustaheb Namazein, P110)


●Part - 4
4 Rakaat Namaaz (2*2) Mahe Rajab ke Juma ke  Din
Rasule Khuda (sawa):
Jo Shaks Mahe rajab ke Jummah ke din 4 Rakat Namaz, Zohr aur Asr ke darmiyan padhega (details below);
Parwardegar e Aalam is ke liyie jis din namaz padhi hai usdin se marne ke din tak 1000 hasanaat likhta rahega,
Aur jo bhi ayat padhi hai uske badle bahisht me ek shehar (city) yaqoot-e-surkh ka,
Aur har harf ke badle ek qasr safed moti ka tameer karega,
Aur uska aqd (shadi) hoor-al-ayn se kardega,
Aur uss se razi rahega,
Aur uska naam ibadatguzaro me darj kar dega,
Aur uska anjaam nekh bakti aur maghferat par hoga.

4 Rak'at Salat (2 X 2)
In each Rak'at recite

1.Sura-e-Fateha - 1 martaba
2. Ayatal Qursi - 7 martaba
3. Sura-e-Tawheed - 5 martaba

4. Namaz baad padhe - 10 martaba
Astaghfirullahalazi lailaha illa hua wa as alahut taubata

اَسْتَغْفِرُ اللهَ وَ اَسْاَلُهُ التَّوْبَةَ۔

(Mafatih Al Jinan)


Part 5

*A'mal for the Month of Rajab which are beneficial at or after death*

*22 Rajab* ki Shab me 8 rakat namaz (2-2) karke padhe to wo maut ke waqt kaam aayegi
Har rakat me
Sure Alhamd 1 baar
Sure Tawheed 7 baar
Namaz khatm hone ke baad
10 martaba Salawat
10 martaba Astagferullaha rabbi wa aatu boylay

Ref : Manazelul Aakhera by Shaikh Abbas e Qummi

MERAAJ
🔸🔹🔸🔹🔸🔹
1. Imam Sadiq (as):
Wo shakhs hamara Shia nahi jo 4 cheezo'n ka inkaar kare: 1) Meraaj 2) Qabr mein (Munkir Nakeer) ke sawaalat 3) Jannat aur Jahannum ki takhleeq (creation) 4) Shafa'at (intercession).
(Meezan ul Hikmah, v5, p357)

2. SALWAAT
Rasule Khuda (saww):
Shab e Meraaj main ne ek Farishta dekha ke jis ke ek laakh haath the aur har haath mein ek laakh ungliyaa'n thi aur har ungli mein ek laath poor (unit) the. Oos Farishte ne kaha, "Main baarish ke qatro'n ka hisaab jaanta hoo'n ke kitne sehra mein aur kitne qatre dariya mein baraste hain. Main khilqat se lekar ab tak ke baarsih ke qatro'n ko jaanta hoo'n magar ek aisa hisaab hai jis se main aajiz (incapable) hoo'n". Rasule Khuda (saww) ne farmaya, "Wo kaun sa hisaab hai?" Usne arz kiya, "Jab aap ki ummat giroh ki shakl mein ek hoti hai aur ek saath mil kar aap par Salwaat bhejti hai to main is Salwaat ke sawaab ka hisaab karne se aajiz (incapable) reh jaata hoo'n".
(Fazaael e Salwaat Aur Mushkilaat ka Hal, p29)

3. BEHISHT MEIN MAHAL
Rasule Khuda (saww):
Jab main Meraaj par gaya to wahaa'n chand farsihto'n ko bekaar baithhe huwe dekha, lihaza unse sawaal kiya, Tum bekaar kyun baithhe huwe ho? Unhone jawaab diya, "Hum is baat ke muntazir hain ke aap ka koi ummati Salwaat bhejein aur hum uske liye Mahal taiyyar kare."
(Durood O Salaam Ki Barkatein, p52)

4. HUM-SHAKL E ALI (as)
Rasule Khuda (saww):
Shab e Meraaj main ne Arsh ke darmiyaan ek Farishte ko dekha jiske haath mein ek noor ki talwaar thi aur wo oos talwaar se yo'n khel raha tha jaise ke Ali ibne Abi Taalib (as) Zulfiqaar ke saath khelte hain. Aur jab Farishto'n ko Ali ibne Abi Taalib (as) ki ziyarat ka shauq hota hai to wo oos Farishte ke chehre ko dekhte hain. Main ne arz ki, "Parwardigaar, kya ye mera bhai Ali ibn Abi Taalib hai?" Allah Ta'ala ne kaha, "Muhammad (saww)! Ye ek Farishta hai jise Maine Ali ibne Abi Taalib (as) ki soorat par paida kiya hai. Ye Mere Arsh ke darmiyaan Meri Ibadat karta hai aur iski nekiyaa'n aur tasbeeh aur taqdees Qayamat ke din talak Ali ibne Abi Taalib (as) ke naama e Aamal mein likkhi jaati rahengi."
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p277)

5. Rasule Khuda (saww):
Jab Me'raaj per gaye toh unhone farmaya ki ALLAH ne mujhe 5 sifate di aur Ali (as) ko 5 maujize....
Mujhe Me'raaj per bulaya aur Ali (as) ke aankho se parde haata liye, toh jo kuch maine aasmaan per dekha Ali (as) ne woh sab kuch zameen se dekha.
(Al Khesaal, C.5, T.57)

6. Rasule Khuda (saww):
Jis shab mujhe Me'raaj par le jaaya gaya to mere Rab ne mujhe farmaya, "Aye Muhammad (saww)".

Main ne arz kiya, "Labbaik Parwardigaar".

Irshaad huwa,
"Tere baad Meri khalq par Meri Hujjat aur Imam, Ali (as) hai. Jis kisi ne uske farmaan par amal kiya usne Mere farmaan par amal kiya aur jis kisi ne uski na-farmaani ki usne Meri na-farmaani ki. Usay apni Ummat ka Imam banao, tumhare baad uske zariye rahbari hogi".
(Amaali - Shaikh Sadooq, p447)

7. Imam Sadiq (as):
Paighambar e Islam (saww) ko 120 martaba Me'raaj huwi hai aur har martaba Wilayat e Ali (as) aur Imamat e Aimma (as) ki taakid ki gayi hai.
(Khisaal)

8. Imam Sadiq (as):
Jab RASUL-E-KHUDA (S.A.W.A.) Me'raaj per gaye toh ALLAH ne baakhi faraiz ke mutalik itni wasiyat nahi ki jitni ke WILAYAT-E-ALI (A.S.) ke liye ki..
(Tafseer e Noor us saqalain, 5/130)
🔹🔸🔹🔸🔹🔸
🌺Me'raaj Mubarak 💐💐💐

Link to amaals for eve and day of Me'raj

http://www.duas.org/rajab27.htm
=====================