Saturday, 26 December 2015

HAFTA E BARA'AT

🌹 HAFTA E BARA'AT 🌹

TABARRA SERIES

HADEES - 1
Topic : Allah (swt) Ke Awliya se dosti aur unke Dushmano se Dushmani

Imam Sadiq (as) :-
Allah ke Awliya (doston) ki Mohabbat aur unki Wilayat (qubool karna) wajib hai. Aur unke Dushmano se dushmani wajib hai; Aur un se (dushmani) jinhone Aale Mohammed (as) par zulm kiya, unke hijab ko chaak kiya, Janabe Fatima (sa) se fidak cheena, unki meeras unhe nahi di, unke aur unke shohar ke haq ko ghasb kiya, unke ghar ko jalaya, zulm ki bunyad rakhi.....

Aur jin logo ne Ahle Bait (as) ko qatl kiya un se dushmani rakhna wajib hai.

Ref Book :- Behar ul Anwaar
Vol :-  27
Page :- 52

HADEES NO. 2
Topic :- AHLE BAIT (as) PER ZULM KARNE WALON ME SHARIK KAUN HAI ???

Imam Baqir (as) :
Jo Hum par huwe Mazalim se waqif na ho,

Hamare huqooq ghasb hone se aagaah na ho,

Hamare saath (Ummat ke bartao se) ba khabar na ho to woh Zulm karne walon ke saath shareek hai.

Ref :- Behar ul Anwaar
Vol :- 27
Page :- 56

HADEES NO. 3
Topic :- JAB IMAM E ZAMANA (AS) QAYAAM KARENGE.

Imam Baqir (as):
Jab hamare Qaim (atfs) Qayam karenge to Humaira (Aisha (la)) ko (zinda karke) unki taraf paltaya jayega to Aap use taazyane marenge aur Janabe Fatima (sa) ka inteqaam us se lenge....

Ref :- Elalush Shara'e
Vol :- 2
Page :- 762

HADEES NO. 4
Topic :- FAZILAT OF LANAT

Imam sadiq (as)
ki khidmat me 1 darzi 2 shirt le k aaya aur kaha isme se 1 shirt  site wakt mene salwat padhi aur dusra shirt site wakt aap k dushmano pe LANAT padhi
Aap isme se konsa pasand karenge ?

Imam as ne wo shirt pasand kiya jisko site wakt darzi ne lanat padhi thi.

Ref : Emaratul wilayah pg 51
Talikato shifaaussodur 2/48

HADEES NO. 5
Topic :- DUSHMAN E Ahle Bait (as) per Lanat bhejne ka beshUmar SAWAAB.

J. Abu Hamza Sumali ne Imam Zainul Aabedeen (as) ne naql kiya hai ke Aap (as) ne farmaya,

Jo Jibto Taghoot (Abu Bakr la aur Umar la) par ek baar Lanat bhejta hai, Allah uske namae aamaal me 70,000,000 nekiyan likhta hai, 7,00,00,000 gunahen maaf karta hai Aur 7,00,00,000 darjaat buland karta hai. Aur Jo koi shaam ke waqt in dono par Lanat bheje to uske liye bhi yehi sawab hai.

J. Abu Hamza kehte hain ke Imam Zainul Aabedeen (as) ki (shahadat ke) baad main Imam Baqir (as) ki khidmat me aaya Aur Aap (as) se kaha ke main ne Aap ke walid se ek hadees suni hai. Imam (as) ne poocha kaunsi hadees to main ne ye hadees bayan ki.

Imam (as) ne farmaya haan aisa hi hai Aur farmaya ke kya tum chahte ho ke main isme izaafa (addition) karoun?

J. Abu Hamza ne kaha haan mere Maula bayaan kijiye to Aap (as) ne irshad farmaya,

Jo Shaks subh ke waqt in dono par Lanat karta hai to us din shaam tak uska koi gunaah nahi likha jaata Aur Jo shaam ke waqt in dono par Lanat karta hai to us raat subh tak uska koi gunaah nahi likha jaata....

Ref :- Shifaus Sudoor
Vol :- 2
Page :- 378

HADEES NO. 6
Topic :- HUM AHLE BAIT (AS) KI MOHABBAT AUR HUM AHLE BAIT (AS) KE DUSHMANO KI MOHABBAT

Imam Baqir (as) :-
ne Allah (swt) ke is qaul,

"Allah (swt) ne kisi insaan ke seene me do dil nahe rakhe"

Ke bare me farmaya,

Hamari mohabbat aur Hamare dushmano ki mohabbat insaan ke seene me jama nahi ho sakti ke WO ek (dil se) mohabbat kare Aur doosre (dil se) nafrat,

pas hamare mohib ki mohabbat khalis hoti hai, jaise sona aag ke zariye khalis hota hai aur usme koi kadoorat (aib) nahi hoti.

Jo chahta hai ke hamari mohabbat ko Jane use chahiye ke apne dil ka imtehaan le.

Agar usne hamari mohabbat ke saath hamare dushmano ki mohabbat ko shareek kiya to WO hum me se nahi hai Aur na hum usse hain, Allah, jibraeel Aur mikaeel us ke dushman hain Aur Allah to kafiron ka dushman hai.

Ref :- Tafseere Qummi
Vol :- 2
Page :- 171

HADEES NO. 7
Tooic :- KYA IMAM ALI (AS) WAKEYAN DUSHMAN E ISLAAM KA EHTERAM KARTE THEY ???

Abu Bakra (la), Umar (la) aur Abu Ubaida Bin Jarrah (la) saqeefa me pesh pesh rehne walon me the.

Ameerul Momeneen (as) in logo ke samne aa kar in logo se Kaha:

Ay Gaddaron, Fajiron, Gande aur Badboodaar Nutfon aur Bhatakte Janwaron.....

Ref :- Mustadrakaato Nehjil Balagha,
Vol :- 1,
Page :-284

HADEES NO. 8
Topic :- AGAR ALI (AS) KO MADADGAR MILTE.....

Imam Baqir (as):
Agar Ali (as) ke paas madadgar hote to wo in dono (Abu Bakr (la) aur Umar (la)) ki gardan tod dete.

Ref :- Behar ul Anwaar
Vol :- 30
Page :- 383

HADEES NO. 9
Topic :- SAARE GUNAH JIBT WA TAGOOT KE NAAM.

Janabe Komait ne Imam Sadiq (as) se in dono (Abu Bakr (la) Aur Umar (la)) ke bare me sawal kiya to

Aap (as) ne farmaya: Ay Komait! Qayamat tak Islam me kisi ka khoon nahi behta, na kisi ka maal ghasb kiya jaata hai Aur na kisi Khatoon ki aabroo rezi hoti hai magar yeh ke (in tamam cheezon ka gunaah) in dono ki gardan par hota hai Yaha tak ke hamare Qaim (as) zuhoor farmayen.

Ref :- Behar ul Anwaar
Vol :- 47
Page :- 323

HADEES NO. 10
Topic :- KAFIR KAUN HAI ???

Imam Sadiq (as) ne farmaya:
Jo Hamare Dushmano Aur hum par zulm karne walon ke Kafir hone me shak kare, woh khud Kafir hai.

Ref :- Behar ul Anwaar
Vol 8
Page 366

HADEES. 11
Topic :- ALLAH (swt) KI LANAT

Rasoole Khuda (sawa) ne farmaya:
Jo koi kisi aise shakhs par Lanat bhejne se parhez kare jis par Allah (swt) ne Lanat ki hai to Uspar Allah (swt) ki Lanat hai.

Ref :- Rejaal Kashi
Vol :- 2
Page :- 811

HADEES. 12
Topic :- MUJE YEH QAMEES ZYADA PASAND HAI

Imam Sadiq (as) ki khidmat me ek darzi (tailor) do qamees (shirts) le kar aaya aur usne Imam (as) se kaha,

Jab main in do qameeson me se ek qamees bana raha tha to main Mohammed aur Aale Mohammed (sawa) par salwat bhej raha tha. Aur jab doosri qamees bana raha tha to main Mohammed aur Aale Mohammed (sawa) ke dushmano par Lanat bhej raha tha. Aap in do qameeson me se kaunsi qamees ko chunenge (select karenge)?

Imam Sadiq (as) ne us qamees ko chuna (select kiya) jo wo Ahle Bait (as) ke dushmano par lanat bhejte huwe bana raha tha aur Aap (as) ne Irshad farmaya: Mujhe Ye Qamees Zyada Pasand Hai.

Ref :- Emaratul Wilaayah,
Page :- 51,

Ref 2 :- Taleeqato Shifa'us Sudoor,
Vol :- 2
Page :- 48

HADEES NO. 13
Topic :- MERE PAAS BARA'AT (Duri/dushmani) KE ALAWA KUCH NAHI

DEKHO IMAM (AS) KYA KEHTE HAI

Ek Shakhs ne Imam Sadiq (as) se sawal kiya, Ay Farzande Rasool (sawa)! Main apne badan se aap (Ahle Bait (as)) ki madad karne se aajiz (helpless) houn aur siwaye aap (Ahle Bait (as)) ke dushmano ki dushmani aur un par lanat bhejne ke mere paas kuch nahi, (mujhe bataiye) ke meri haisiyat kya hai?

Imam Sadiq (as) ne farmaya: "Mujh se mere walid ne bayan kiya, aur Unse unke walid ne, Unse unke Jad ne, Unhone Rasoole Khuda (sawa) se bayan kiya ke Aap (sawa) ne irshad farmaya,

Jo hum Ahle Bait (as) ki madad karne se kamzoor hai aur wo tanhai me hamare dushmano par Lanat bhejta hai to Allah uski aawaz Saraa (zameen ke nichle hisse) se le kar Arsh tak tamam kaenat (ke Malaeka) tak pohonchata hai. Jab yeh Shakhs hamare dushmano par lanat karta hai tamam (Malaeka) uski madad karte hain aur jis par wo lanat kar raha hota hai us par wo sab bhi lanat karte hain.

Phir wo (Malaeka) kehte hain, Parwardigar apne is Bande par rehmat nazil kar. Yeh jo kuch kar sakta tha isne kiya, agar iske paas is se zyada taqat hoti to aur bhi zyada karta.

Tab Allah ki taraf se aawaaz aati hai, yaqeenan Main ne tumhari duaon ko qubool kiya aur tumhari aawazon ko suna, roohon me apne is Bande ki rooh par rehmat nazil ki aur Apne Nazdeek ise apne chuninda (chosen) Bandon me qarar diya.

Ref :- Behar ul Anwaar,
Vol :- 30,
Page :- 5

Ref 2 :- Tafseee e Imam Hasan Askari (as)
Page : 47

HADEES NO. 14
DUSHMAN SE MOHABBAT

Imam Sadiq (as) se sawal kiya gaya ke fulan shaks aap se Mohabbat karta hai magar aap ke dushmano se dushmani rakhne me KAMZOOR hai.

Imam (as) ne farmaya, yeh nahi ho sakta, WO shaks jhoota hai ho Hamari Mohabbat ka dawa kare Aur hamare dushmano se dushmani na rakhe.

Ref :- Mustatrefaatus Saraer
Page :- 640