🌟MAAH E RAMZAN🌟
🔹🔸🔹🔸🔹🔸
Allah Ka Naam
i) Rasule Khuda (saww):
(Sirf) Ramzan NA kaho kyunki ye Allah Ta'ala ke naamo'n mein se ek naam hai, balke Maahe Ramzan kaha karo.
(Meezan ul Hikmah, v2)
ii) Imam Baqir (as):
Ye na kaha karo ke “Ye Ramzan hai”, ya “Ramzan chala gaya”, kyun ki Ramzan Allah ke naamo’n mein se ek naam hai. Aana jaana zaail (fanaa) hone-waali makhlooq ka kaam hai. Balke kaha karo, “Maah e Ramzan”.
(Wasaail ush Shia, v7, p190)
Garmi ke din Roza
Imam Sadiq (as):
Agar koi sakht garmi ke din Roza rakhta hai aur pyaas par sabr karta hai, to Allah hazaar farishtey uska chehra pochhne aur khush khabari sunaane bhejega aur jab wo Roza kholta hai (Iftaar karta hai) to Allah (SWT) oos shakhs se mukhaatib hokar farmata hai "Kitni pyaari teri khushbu aur teri Ruh hai! Aye mere Malaaeka! Gawaah rehna ke Maine ise BAKSH DIYA."
(Fast of the month of Ramadan)
Sunnati Roza
i) Imam Sadiq (as)
se puchha gaya ke oos shakhs ke baare mein jis par Maah e Ramzan ke kuchh Roze qaza ho’n to kya wo Sunnati Roza rakhe?
Aap ne farmaya, “Nahi’n. Jab tak qaza Roze Maah e Ramazan ke adaa na ho (Sunnati Roza na rakhe).”
(Furoo e Kaafi, v3, p276)
ii) Imam Sadiq (as):
Mustahab Roza rakhna jaayez Nahi hai oos shakhs ke liye jis par farz Roza qaza hai.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p97)
iii) Rasule Khuda (saww):
Aurat par shauhar ki ita’at (obedience) ye hai ke wo Sunnati Roza bagair uski ijaazat ke na rakhe.
(Furoo e Kaafi, v3, p329)
Juma
i) Imam Reza (as):
Juma ke din Roza rakhna 10 rozo’n ke barabar hai.
(Tibb e Imam Reza (as), p53)
ii) Rasule Khuda (saww):
Jab Maah e Ramzan mein Jume ki raat aur Jume ka din hota hai to har ghante mein (every hour) 10 laakh afraad ko Allah Ta'ala naar e Jahannum se najaat ataa farmata hai aur ye log Jahannum ki aag ke mustahaq hote hain aur jab aakhri din aata hai to pehli Maah e Ramzan se aakhir tak jitne logo'n ko najaat di jaa chuki hoti hai unki tadaad ke barabar aur logo'n ko Allah Ta'ala Jahannum ki aag se najaat ataa farmata hai.
(Amaali - Shaikh Mufeed, Majlis 27, p379)
iii) Imam Baqir (as):
Yaqeenan, mahe Ramzan ke Jume (Fridays) aur mahino ke Jume par fazilat rakhte hain, waise hi jaise Rasule Khuda (SAW) tamaam ambiya par fazilat rakhte hain.
(40 Hadiths - Ramadhan)
Budhwaar ke din (Sunnati) Roza
Imam Sadiq (as):
Budhwaar (Wednesday) ke din (Sunnati) Roza is liye rakha jaata hai ke pichhli ummato’n mein jab bhi kisi ummat par azaab aaya to mahine ke darmiyaani (beech waale) Budhwaar ko aaya is liye is din Roza rakhna mustahab hai.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p57)
Mustahabi Roza chhupana/Todna
i) Imam Sadiq (as):
Jo apna (mustahabi) Roza chhupata hai to Allah Ta’ala Apne Malaika se farmata hai ke Mere bande ne Mere Azaab se panaah lene ki koshish ki hai, lihaza usay panaah do. Aur Khuda wande Aalam Farishto’n ko muqarrar karta hai ke wo Roza-daaro’n ke liye Dua karein aur zaahir hai ke jab Allah unko Dua karne ka hukm deta hai to phir zaroor unki Dua qubool bhi karta hai.
(Wasaail ush Shia, v7, p102)
ii) Imam Sadiq (as):
Jo shakhs apne kisi Momin bhai ke paas jaaye aur wo mustahabi Roze se ho magar uski khaatir Roza todd de to usko 2 Sawaab milenge, ek Roze ki niyyat ka aur doosre apne Momin bhai ko khush karne ka.
(Elal ush Sharaye, p306)
iii) Imam Baqir (as):
Agar tum mein se kisi ne Sunnati Roza rakha huwa ho aur wo oos haalat mein apne kisi Momin bhai ka mehmaan ho aur mezbaan oos se khaane ki farmayish kare to usay Momin ko khush karne ke liye Roza todd dena chahiye. Allah Ta'ala usay 10 Sunnati Rozo'n ka sawaab dega.
(Tafseer Noor us Saqlain, v3, p314)
iv) Rasule Khuda (saww):
Jo apne Roze ko chhupayega to Allah Malaaika se farmata hai, “Mere oos bande ne panaah chaahi hai Mere Azaab se. Pus usay panaah do”. Aur Allah Ta’ala moayyan karta hai Malaaika ko ke wo Roza-daaro’n ke liye Dua karein aur jiske liye Wo Dua ka hukm deta hai, unke Haq mein qubool karta hai.”
(Furoo e Kaafi, v3, p211)
Bachcho ka Roza
Imam Baqir (as):
Hum apne ladko'n ko hukm dete hain jab wo 5 saal ke ho'n aur tum apne ladko'n ko hukm do jab wo 7 saal ke ho'n, jitni taaqat hoti hai utne waqt tak Roza rakhte hain - aadhe din tak ya oos se kam ya oos se zyada. Jab bhook pyaas ka galba hota hai to iftaar kar lete hain yahaa'n tak ke wo Roze ke aadi ho jaate hain. PUS TUM APNE BACHCHO'N KO ROZA RAKHNE KA HUKM DO JAB WO 7 SAAL KE HO'N, JITNI DEYR BAGAIR KHAAYE PIYE BARDAASHT KAR SAKTE HAIN KAREIN, JAB PYAAS ZYADA LAGE TO IFTAAR KAR LE'N.
(Furoo e Kaafi, v2, p201)
khaati-peeti Qaum ke darmiyan
i) Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs kisi aisi qaum ke darmiyaan Roza rakkhe jo khaati-peeti ho to oos (Rozedaar) ke aaza (body parts) uske liye Tasbeeh karte hain aur Farishte uske liye Rehmat talab karte hain aur uski maghferat hoti hai.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p548)
ii) Imam Reza (as):
Jab Roza-daar logo’n ko, ya kisi ek ko khaate dekhta hai to uska har baal Tasbeeh karta hai.
(Furoo e Kaafi, v3, p212)
iii) Rasule Khuda (sawa):
Jo shakhs Mahe Ramzan ke roze ke liye jo khana usse pasand ho tarakh kar deta hai toh ALLAH ka haq hai ke usse jannat me usse khana aur peena de..
(Behar 96/296)
Fiqh Masael
i) Imam Sadiq (as)
se Maah e Ramzan mein Qai (vomit / ulti) ke mutalliq daryaaft kiya to aap ne farmaya, “Agar be-ikhtiyaar Qai aa gayi hai to koi harj nahi aur agar kisi ne jaan-bujh kar Qai ki hai to uska Roza toot gaya aur uski qaza karega.”
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p81)
ii) Imam Sadiq (as)
Se puchha gaya ke agar Maah e Ramzan mein koi BHOOL-KAR kha le, to aap ne farmaya, “Wo Roza poora kare, oos Roze ki qaza uspar na hogi.”
(Furoo e Kaafi, v3, p258)
iii) MAAH E RAMZAN MEIN AGAR MUKAMMAL YAQEEN AUR HAWALA / REFERENCE NA HO TO HADEES FORWARD KARNE SE PARHEZ KARE
Imam Sadiq (as):
Khuda, Rasul (saww) aur Aimma (as) par jhoot bolna Roze ko todd deta hai.
(Wasaail ush Shia, v7, p50)
iv) Imam Sadiq (as):
Wo shakhs jise is qadar sakht pyaas lagey jis se usay HALAAKAT (MAR JAANE) ka khatra ho, to is qadar paani pi le jis se uski jaan bach jaaye lekin SHIKAM SEYR HO KAR (PEYT BHAR KAR) NA PIYE. (PLEASE REFER TO MASLA NO. 1590 OF AYATULLAH SISTANI’S TAUZIHUL MASAIL)
(Wasaail ush Shia, v7, p140)
Roze me Geebat karna / Gali Dena
i) Rasule Khuda (saww):
Jis ne kisi Musalmaan ki Geebat Maah e Ramzan mein ki, Khuda usko Roze ka ajr na dega.
(Jaame ul Akhbaar, p259)
ii) Rasule Khuda (saww):
Roza-daar jab tak kisi musalmaan ki Geebat na kare barabar Khuda ki ibaadat mein mashgool hota hai agar-che farsh e khwaab (bistar) par soya huwa ho.
(Wasaail ush Shia, v7, p103)
iii) Rasule Khuda (saww):
Rozadaar Ibaadat mein hai beshak wo apne bistar par soya huwa hi kyun na ho, magar jab tak kisi Musalmaan ki geebat na kare.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p519)
iv) Imam Sadiq (as):
…Allah Ta’ala farmata hai, “Jo mere Roza-daar bande ko Gaali dega, uski sazaa Jahannum hai.”
(Furoo e Kaafi, v3, p241)
v) Imam Sadiq (as):
Jis din tum Roza rakkho tumhare kaan, aankhein, baal, jild (skin) garaz ke tamaam azaa e badan (parts of body) ko roze se hona chaahiye.
(Jadeed Masaael, Ayatullah Sistani)
Roze me Safar Karna
i)Imam Sadiq (as)
Se ek aise shakhs ke mutalliq puchha gaya ke jo apne ghar se safar ke iraade se nikla jab ke wo Roze se tha. Aap ne farmaya, “Agar wo dopahar se pehle nikla hai to Roza Iftaar kare (Roza todd de) aur oos din ki qaza kare. Aur agar baad e zawaal nikla hai to oos din ka Roza poora kare.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p101)
ii) Rasule Khuda (saww):
Ba-haalat e Safar Maah e Ramzan mein Roza rakhna aisa hai jaise is mahine mein Roza na rakhna.
(Furoo e Kaafi, v3, p295)
iii) Imam Sadiq (as):
Agar koi shakhs safar mein Roza rakhe huwe mar jaaye to main uski Namaz e Janaza nahi padhaaunga.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p100)
Bawarchi
Imam Sadiq (as)
(Roza-daar) bawarchi (khana pakaane wale) ke liye koi harj nahi hai ke agar shorba chakhe taake khatte meethe mein tameez kar sakey…aur bachche ke liye Roti chabaa (kar narm kar) sakta hai BA-SHART YE KE HALQ (THROAT) KE ANDAR KUCHH NA NIGLE AUR JAB AISA KARE TO KAYEE BAAR, KAM AZ KAM TEEN BAAR KOSHISH KAR KE THOOKE. (PLEASE REFER TO MASLA NO. 1591 OF AYATULLAH SISTANI’S TAUZIHUL MASAIL)
(Wasaail ush Shia, v7, p85)
Mareez/Beemari ki halat me Roza
i) Imam Sadiq (as)
se sawaal huwa ke kya hadd hai oos marz / beemari ki jisme insaan ko Roza na rakhna chahiye aur oos marz ki jisme Namaz tark ki jaaye. Aap ne farmaya, “Insaan apne nafs ki haalat ko khud dekhne-wala hai. Ye to oosi ko andaza karna hai ke wo rakh sakta hai ya nahi aur Namaz padhh sakta hai ya nahi.”
(Furoo e Kaafi, v3, p282)
ii) Rasule Khuda (saww):
Allah Taa’la ne meri ummat ke mareezo’n ko ikhtiyaar diya hai aur qasr aur iftaar mein. Sadqa dena tumhare liye aasaan hoga Roza rakhne se.
(Furoo e Kaafi, v3, p294)
ISTEKHBAAL-E-MAHE RAMAZAN
i) Rasule Khuda (saww):
Maah e Ramzaan ke isteqbaal ke liye poore saal tak Jannat ko aaraaish aur zebaaish di jaati hai (decorate & beautify). Jab Maah e Ramzaan ki chaand raat aati hai to Arsh ke neeche se ek hawaa chalti hai jise 'Mubashshera' (bashaarat dene waali) kaha jaata hai. Is hawaa se Jannat ke darakhto'n mein harkat paida hoti hai aur aisi haseen musiqi (music) paida hoti hai jis se behtar musiqi aaj tak kisi ne nahi suni.
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p456)
ii) Rasule Khuda (sawa) se poocha gaya:
"Sabse afzal roza kaunsa hai?
Rasule Khuda (sawa) ne farmaya: Istegbaal e Mahe ramazan kay woh roze jo Mahe Shabaan me rakhey Jaye"
(Sawaabul A’amaal, P94)
iii) Imam Reza (as):
Jo koi Maah e Shaban ke aakhri 3 deen Roze rakkhe aur unhe Maah e Ramzan se mila de to Allah Ta'ala usay musalsal (continuous) 2 mahine Roze rakhne ka sawaab dega.
(Zaadusswaleheen)
iv) Imam Sadiq (a.s):
Jo Shaks Mahe Ramzan ul Mubarak ki 1st tarikh ko apna chehra Gulab pani se dhoea to ose pareshaniyo`n se najaat milegi.
(Tehzibul Islam, P.79)
v) Rasule Khuda (sawa):
Yaqeenan jannat ke darwaze phelee mahe Ramzan se khol diye jaate hai aur akhree raat tak bandh nahi hote.
(Behar 96/34)
vi) Rasule khuda (sawa):
Yeh mahina aisa mahina hai jis ka awal Rehmat; wusat (beech) Magferat aur akhir Jahanum se aazadi hai.
(Behar 96/342)
vii) Rasule Khuda (saww):
Is mahine ka naam RAMZAAN is liye huwa kyunki ye gunaaho'n ko RAMZ karta hai, yaani _JALAA DETA HAI_
(Fast of the month of Ramadan)
viii) Imam Baqir (as):
Roza Aur Haj Dil Ko Sukoon Pahucha Thi Hai.
(Aamali Al Tusi Pg 296 H.No 492)
ix) Imam Ali (as):
Mujhe tumhari Dunya se 3 cheezein pasand aayi.
1) Mehmaan ki Izzat karna.
2) Garmiyo'n me Roza rakhna.
3) Allah ki raah me Talwar chalaana.
(Tajalliat-e-Hikmat, Pg.289(07))
x) Rasule Khuda (saww):
Agar bande ko maaluum ho jaaye ke Maahe ramzan mein kya kuchh (Barkaat) hain to wo chaahega ke puura saal hi Maahe Ramzan rahe.
(Meezan ul Hikmah, v2)
xi) Holy Quran:
"Mahe Ramazan woh hai jis mein Qur'an nazil kiya gaya, jo logon ki Hidayat karne wala hai aur Hidayat ki aur Haq o Batil ki tameez ki Nishaniyan hain. Tum mein se jo Shakhs is Mahine (Ramazan) ko pai use Roza rakhna chahiye, haan Jo bimar ho ya musafir ho use doosre dino mein ye ginti puri karni chahiye (qaza roze rakhe), Allah ka irada tumhare sath asaani ka hai, sakhti ka nahi, Woh chahta hai ke tum ginti puri kar lo (qaza roze rakh lo), aur Allah ki di hui Hidayat par uski Kibriyai bayan karo aur uska Shukr Karo.
(Surah Baqarah: 185)
Hilaal e (chaand) Maah e Ramzan
i) Imam Baqir (as):
Jab hilaal e (chaand) Maah e Ramzan namudaar hota to H. Rasule Khuda (saww) qibla-ru hote aur apne haath uthha kar farmaate, “Ya Allah, is maah ko guzaarna amn o imaan aur salamati aur Islam ke saath aur shandaar aafiyat aur kushada Rizq se aur beemariyo’n ke duur rakhne se. Ya Allah, is maah mein Roza ki aur raat mein qaaem ul lail hone ki (Namaz ke liye uthhne ki) taufeeq de. Khuda Wanda, salamati se ise guzaar aur hamare Aamaal ko qubool kar Maah e Ramzan mein.
(Furoo e Kaafi, v3, p223)
ii) Imam Sadiq (as):
Jab Maah e Ramzan ka chaand dikhaayi de to Allah se ye Dua maango, "Parwardigaar! Shab e Qadr mein Tu jo hatmi (final) faisle kare uske tahet mujhe oon logo'n mein qaraar de jinhe Hajj e Baitullah ki sa'adat naseeb honi hai."
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p569)
iii) Imam Sadiq (as)
Jab Maah e Ramzan ka chaand dekhte to ye Dua karte, “Ya Allah, is maah ko daakhil kar sehat o salamati aur yaqeen aur imaan aur neki aur taufeeq ke saath jisko Tu dost rakhta hai aur jis se Tu raazi hota hai.”
(Furoo e Kaafi, v3, p225)
iv) Imam Reza (as):
Jab Hilaal e Maah e Ramzaan tuloo hota aur H. Fatima Zahra (sa) uske saamne jaati'n to aap ke chehre ka noor oos hilaal (chaand) par gaalib aa jaata to wo nazar nahi aata aur aap saamne se hatt jaati thi'n to wo nazar aane lagta tha.
(Bihaar ul Anwaar, v3, p45)
Mahe Ramazan Ki Fazilat
i) Imam Sadiq (as):
Jab Ramzaan ka mahina daakhil ho to apne nafso’n ko ta’ab mein daalo. Is mahine mein arzaaq (sabka Rizq) taqseem hote hain, Maut ke auqaat (samay) likhe jaate hain aur oon logo’n ke naam likhe jaate hain jo Roza rakhte hain. Isme wo raat hai jiska amal 1000 mahino’n ke amal ke barabar hai.
(Furoo e Kaafi, v3, p214)
ii) Imam Sadiq (as):
Jab Maah e Ramzan aa jaaye to usme bhar-poor andaaz mein mehnat karo. Allah ki bandagi karo. Is maah mein Rizq taqseem hote hain. Amwaat (deaths) likhi jaati hain. Is maah mein Baitullah ka Hajj muqaddar kiya jaata hai. Isme ek raat hai jiski ibaadat 1000 mahino'n ki ibaadat se afzal hai.
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p333)
iii) Rasule Khuda (saww):
Roza-daar ki Dua na-manzoor nahi hoti.
(Hadiyat ush Shia, p11)
iv) Imam Sadiq (as):
Roza-daar ka sona Ibadat hai, uski khamoshi Tasbeeh hai aur uska amal qubool hai aur uski Dua mustajaab hai.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p57)
v) Imam Ali (as):
Maah e Ramzan ke Roze ke 7 asraat (effects) hai:
1) Jism ka haraam pighal jaata hai,
2) Insaan Rehmat se qareeb- tar ho jaata hai,
3) Gunaah baksh diye jaate hain,
4) Sakraat mein asaani ho jaati hai,
5) Qayaamt ki bhook pyaas se najaat mil jaati hai,
6) Rizq e Jannat haasil hota hai aur
7) Jahannum se chhutkara mil jaata hai.
(Khisaal, ch7)
vi) Rasule Khuda (saww):
Aisa koi Momin nahi hai jo mahe Ramzan ka Roza uska "Silaa paane ki niyyat" se rakkhe, Magar ye ke
Allah (subhanahu wa Ta'ala) usay 7 Fazilat ataa kare -
1) Uske badan me jo Haram khana gaya tha wo pighal jayega
2) Wo Allah (subhanahu wa Ta'ala) ki Rehmat ke kareeb ho jayega
3) Allah (subhanahu wa Ta'ala) uske Gunah maaf karega
4) Allah (subhanhu wa Ta'ala) uski maut ki takleef kam karega
5) Allah (subhanahu wa Ta'ala) usay Qayamat ki bhook pyaas se mehfooz rakhega
6) Usay jahannum ki aag se najaat milegi
7) Allah (subhanahu wa Ta'ala) usay Jannat ke achche khaane dega.
(40 Hadis - Maah e Ramazan)
vii) Rasule Khuda (saww)
Ne irshad farmaya, “Allah Ta’ala ne Roza-daaro’n ki Dua ke liye kuchh Farishte muqarrar kar diye hain.” Aur farmaya, “H. Jibreel ne Allah Ta’ala ki taraf se ye baat pahunchaayi ke Allah Ta’ala ne irshad farmaya ke Main Apne Malaika ko kisi shakhs ki dua par muqarrar karta hoon to uski Dua ko qubool kar leta hoon.”
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p57)
viii) Rasule Khuda (saww):
Aye Jaabir, ye Maah e Ramzan hai. Jo Roza rakhe aur raat ko zikr e Ilaahi kare aur apne peyt aur sharm-gaah ko haraam se bachaaye aur apni zabaan par qaabu rakhe to wo is tarah paak hoga jaise wo nahaa-kar neher se nikla ho. Jaabir ne kaha, ‘Ya Rasulallah (saww), ye Hadees kitni achchi hai.” Aap ne farmaya, “Iski shartein (conditions) kitni sakht hai.”
(Furoo e Kaafi, v3, p241)
ix) Imam Sadiq (as):
Jiski maghferat Maah e Ramzan mein nahi ki gayi uski aainda oos waqt tak nahi ki jayegi jab tak wo Arfa mein na pahunche.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p64)
x) Rasule Khuda (saww):
Allah Ta’ala ka irshaad hai ke Roza Mere liye hai aur Main khud uski jazaa (reward) hoon. Aur Roza-daar ke liye 2 farhat (khushiyaa’n) hai, ek oos waqt jab wo Iftaar karta hai aur doosre oos waqt jab wo apne Rab se mulaqat karega. Aur oos zaat ki qasam jiske qabza e qudrat mein Muhammad (saww) ki jaan hai, Roza-daar ke mu’nh ki buu (smell) Allah ke nazdeek mushk ki khushboo se bhi zyada achchi hai.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p56)
xi) Rasule Khuda (saww):
Jannat mein 8 darwaze honge. Uske ek darwaze ka naam 'Rayyaan' hoga. Oos darwaze se sirf Roza-daar hi daakhil honge.
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p376)
xii) Rasule khuda (sawa):
ALLAH Taala JIBRAEL (as) se farmata hai Zameen per uthro aur shaitan ko zanzeero me jakadh do taake mere bando ke roze kharab na kare.
(Behar 92/347)
xiii) Imam Baqir (as):
Roza Aur Haj Dil Ko Sukoon Pahucha Thi Hai.
(Aamali Al Tusi Pg 296 H.No 492)
xiv) Rasule Khuda (sawa):
Roza jahannum ki aag se bachne ka ek dhaal hai.
(Kafi 4/62)
xv) Roze me Khushbu
a) Riwaayat:
Jab Imam Sadiq (as) Roza rakhte to Khushbu ka istemaal bhi kiya karte aur farmate, "Khushbu Roze-daar ka tohfa hai."
(Meezan ul Hikmah, v5, p832)
b) Imam Sadiq (as) :
Jo Roze ki haalat me din ki shuruaat me Itr (Khushboo) lagae oski hikmat (intelligence) kabhi kam nahi hogi.
(Sawabul Aamal, Pg 83.)
xvi) Zindagi ka Akhri Din Roza
Imam Baqir (as):
Jis shakhs ka aakhri din Roze par khatm huwa, wo Jannat mein daakhil huwa.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p64)
xvii) Mahe Ramzan me Sona/Qailula
a) Imam Ali (as):
(Roze ke haalat mein) dopahar ko Qailula kar liya karo (thodi deyr so jaya karo), is liye ke Allah Ta’ala khwaab mein Roza-daar ko khila pila diya karta hai.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p57)
b) Rasule Khuda (saww):
Tum log din ke Roze mein Sehri se madad ko aur shab ko ibaadat karne ke liye din ko Qailula kar liya karo (dopahar ko thoda so jaaya karo).
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p96)
c) Rasule Khuda (saww):
Roza-daar ki neend Ibaadat hai aur uski saa’ns Tasbeeh hai.
(Furoo e Kaafi, v3, p211)
d) Rasule Khuda (saww):
Mahe Ramzan me tumharee saase tasbih hai; tumharee neend ibadat hai; tumhare amal qabil e qabool aur tumharee dua e manzhur hotee hai.
(Behar 96/359)
Mahe Ramazan ke Amaal
i) Imam Sadiq (as):
Ye Dua Maah e Ramzan mein ba-haalat e Sajda, ba-haalat e Qayaam o Qa’ood aur poore mahine jahaa’n kahi’n qayaam o maqaam ho, Hamd o Salawaat ke baad kahe, ‘ALLAHUMMA KU’N KE WALIYEKAL….....FIHA TAWEELA.”
(Furoo e Kaafi, v3, p349)
ii) Riwaayat:
Agar koi shakhs Maah e Ramzan mein lagataar Surah Qadr (Surah Inna Anzalna) padhta rahe aur 23rd Maah e Ramzan ki shab mein 1000 martaba padhe, to wo 23rd ki subah ko aise ajaaibaat (chamatkaar / wonders) dekhega ke wo khud ta'jjub karega (dung reh jayega).
(Ain al Hayat, p327)
iii) Imam Ali ( as )
Tumhare liye ye Wajib hai ke iss mahine Mahe Ramzan me Gunaho'n ki maafi mango aur zyada Dua karo, kyun ki Dua se pareshani dur hoti hai aur istegfaar se Gunah maaf hote hain.
(Al Kafi V.4 Pg.88)
iv) Rasule Khuda (sawa):
Jo shakhs Mahe Ramzan me apne aap ko maaf nahi kar paya woh ALLAH se dur hogaya.
(Behar 74/74)
v) Rasule Khuda (sawa):
Yaqeenan badnaseeb woh shakshs hai jo Mahe Ramazan me ALLAH ki magferat hasil na kar saka.
(Ooyun e Akhbare Reza 1/295)
vi) Riwaayat:
Khuda ne Musa (as) par Wahi naazil ki, "Mujh se munajaat karne mein kaun si cheez maane' (rukaawat) huwi?"
Musa (as) ne arz ki, "Mere mu'nh ki boo (smell / vaas) kyun ki main Roza rakha hoo'n."
Nidaa aayi, "Aye Musa! Main Roza-daar ki boo ko mashk (musk / kastoori) ki boo se behtar samajhta hoo'n."
(Aaina e Huqooq - Sharh e Risaalatul Huqooq, p212)
vii) Rasule Khuda (saww):
Allah (swt) ne Mahe Ramzan me Namaz ke liye Ek raat ki ibaadat ko digar Mahino ki 70 raato'n ki ibaadat ke baraabar qaraar diya hai
( Meezan ul Hikmah. V.2)
ix) Rasule Khuda (saww):
Mahe Ramzan me tumharee saase tasbih hai; tumharee neend ibadat hai; tumhare amal qabil e qabool aur tumharee dua e manzhur hotee hai.
(Behar 96/359)
x) Rasule Khuda (saww) :
Jo Shakhs Mah E Ramazan Mein Apne Akhlaq Ko Theek Karey,
To ALLAH Ta'aalah Qayamat Ke Din Usey Puley Siraat Se Aasani Se Guzar Dega, Jabki Logon Ke Qadam Wahan Phisal Rahey Honge.
(Mafateehul Jinaan)
Mahe Ramzan Me Quran Padna / Sunna
1. Imam Reza (as):
Jo koi Maahe Ramzan mein Allah ki kitaab (Quran) mein se EK ayat padhega, wo uske misl hai jisne aur mahino'n mein pura Quran padha.
(40 Hadiths - Quran)
2. Imam Ali (as):
Quran padhna seekho ke yeh dilo ki bahar hai aur us ke noor se shifa talab karo woh beshaq yeh seeno ki shifa hai.
(Gurar ul Hikam 2/372)
3. Holy Quran:
Aur jab Quran ki tilaawat ki jaaye to khamosh hokar gaur se suno ke shaayad tum par rehmat naazil ho jaaye.
(Surah A'araaf, Surah 7, Ayah 204)
4. Holy Quran:
Aur jab tum Quran padhne lago to Shaitan ke waswaso'n se Allah ki panaah talab kar liya karo. Isme shak nahi ke jo log Momin hai aur apne Rab par bharosa rakhte hain unpar uska kaboo NAHI chalta.
(Surah Nahl, Surah 16, Ayat 98-99)
5. Rasule Khuda (sawa):
Jannat Chaar (4) logo ki talab gaar hai (1) Jo bhooke ko khana khilaye (2) Jo apni zaban qaaboo me rakhe, (3) Jo Quran ki tilawat kare (4) Jo Mahe Ramazan al-Mubarak me Roze rakhe.
(Mustadrak al-Wasail, V7, P 400)
6. Imam Sadiq (A.S)
Jo bhi Qurane Majeed ki tilawat dekhke kare to uski aankkho'n ki roshni mazboot hogi aur uske waledain ke gunaah maaf hoge chaahe wo kaafir hi kyun na ho.
(Sawaabul A’amaal, p143)
7. Imam Sadiq (as):
Jo bhi Qurane Majeed ki tilawat dekhke kare to uski aankkho'n ki roshni mazboot hogi aur uske waledain ke gunaah maaf hoge chaahe wo kaafir hi kyun na ho. (Sawaabul A’amaal, page 143)
8. Rasule Khuda (sawa)
Quran ko dusre tamam kalaam par vaisi hi fazilat va bartari hasil hai jaisee Allah (swt) ko apne makhlooq par.
(Mustadrak al-Wasa’il, V4, P237)
9. Rasule khuda (sawa):
Agar koi Quran ke ek harf bhi tawajjoh se sune to Allah (swt) ose 10 neki dega, 10 gunah maaf karega aur 10 darajaat baland karega.
(Al Kafi, Vol 2 Pg. 488)
⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜
10. Imam Sadiq (as):
Jab ek Muslim GHAR MEIN Quran ki tilaawat karta hai, to aasman waalo'n ko wo ghar aise dikhta hai jaise zameen pe rehne walo ko aasmaan ke jhilmilaate sitare.
(Uddatud Dai)
11. Rasule Khuda (saww):
Jo muslim subah sadiq se suraj nikalne tak apne musalle par baitha rehta hai (Ibaadat aur Tilawat e Quran karta hai), Allah usay jahannam ki aag se bachaega.
(Children's Guide to Islam)
12. Imam Reza (as):
Roze sirf Mahe Ramzan mein waajib hai aur dusre mahino'n mein nahi, is liye ke Allah (SWT) ne Quran is mahine mein naazil kiya.
(http://www.imamreza.net/eng/imamreza.php?id=416)
13. Rasule Khuda (saww):
Quran e Majeed ki tilawat zaroor kiya karo kyun ki ye gunaho'n ka kaffara, Jahannum ki dhhaal aur azaab se amaan hai.
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p33)
14. Holy Quran:
Aur jab Quran ki tilaawat ki jaaye to khamosh hokar gaur se suno ke shaayad tum par rehmat naazil ho jaaye.
(Surah A'araaf, Surah 7, Ayah 204)
15. Rasule Khuda (saww):
Quran e Majeed ki tilawat zaroor kiya karo kyun ki ye gunaho'n ka kaffara, Jahannum ki dhhaal aur azaab se amaan hai. Padhne waale ke liye HAR AYAT ke badle mein 100 Shaheed ka sawaab, HAR SURAH ke badle mein usay Nabi e Mursal ka sawaab milta hai. Padhne wale par Allah ki rehmat naazil hoti hai aur Malaika uske liye Astagfaar karte hain. Jannat uske liye mushtaaq aur Allah oos se khush hota hai…
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p33)
16. Rasule Khuda (saww):
...Momin jab Quran padhta hai to Allah uspar nazre Rehmat farmata hai aur HAR AYAT ke badle mein usay 1000 Hoor ataa farmata hai aur HAR HAR HARF (aksar) ke badle mein uske liye Siraat par Noor hota hai…
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p33)
17. Rasule Khuda (saww):
...Jab Momin Quran e Majid khatm karta hai to usay 313 aise Nabiyo'n ka sawaab milta hai jinhone Allah ke ahkaam ki tableegh ki aur is tarah hai jaise usne tamaam guzishta Ambiya (as) ki kitaabo'n ki tilawat ki. Allah uske jism par Jahannum ko haraam karta hai. Wo apni jagah se abhi harkat nahi karta ke Allah uske aur uske waaledain ke gunah maaf kar deta hai aur Quran ke HAR SURAH ke muqable mein Jannatul Firdous mein usko Ek Sheher ataa hota hai..aur har Shaher mein ek ek hazaar mahel jo ek ek laakh kamro'n par mushtamil (shaamil) hai aur har kamra ek laakh bait par mushtamil hai…
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p33)
18. Rasule Khuda (saww):
Jab koi Quran e Majeed padhta hai to uske mu'nh se nikle huwe HAR HARF (akshar / letter) ke badle mein Allah ek ek Farishta paida karta hai jo Qayamat tak uske liye Tasbeeh karta rehta hai.
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p34)
19) Surah Qadr
i) Imam Sajjad (as):
Jo shakhs Sehri aur Iftaari ke waqt Surah INNA ANZALNAH.. ki tilaawat kare, wo in 2 waqto’n ke darmiyaan aisa samjha jaayega jaise koi (mujaahid) raah e Khuda mein apne khoon mein lat-pat ho.
(Wasaail ush Shia, v7, p108)
ii) Riwaayat:
Agar koi shakhs Maah e Ramzan mein lagataar Surah Qadr (Surah Inna Anzalna) padhta rahe aur 23rd Maah e Ramzan ki shab mein 1000 martaba padhe, to wo 23rd ki subah ko aise ajaaibaat (chamatkaar / wonders) dekhega ke wo khud ta'jjub karega (dung reh jayega).
(Ain al Hayat, p327)
Sehri
i) SUBAH TAI KIYE WAQT PAR UTHHNE KE LIYE
Imam Sadiq (as):
Koi shakhs aisa nahi hai jisne kabhi bhi Sure Kahaf (Surah No.18) ki aakhri (last) aayat ki tilaawat ki ho aur oos waqt na uthe jiska iraada kiya ho. (Tai kiye waqt pe uthne ke liye ye aayat padhkar soye).
(Uddatud Dai)
ii) HAZRAT IMAM ALI (a.s.) Se Manqool hai Ke RASOOL E KHUDA (saww) Ne Irshad Farmaya:
Khuda Aur Farishtey Un Logon Par Salwaat Bhejtey Hain, Jo Saher Ke Waqt Astaghfar Karte Hai, Aur Sehri Khate Hai, Pas Tum Sehri Khao, Agarche Ek Ghoont Pani Hi Kyu na Ho, Aur Meri Ummat Ko Chahiye Ki Saher Ka Khana Tark Na Kare (Yani Chhorey Nahin) Agarche Khurme (Rootab) Ka Ek Dana Ho, Iftaar Ke Waqt SURAH E INNA ANZALNAAH Parhna Behad Sawaab Hai.
(Tohfatul Awaam, Page: 505.)
iii) Rasule Khuda (saww):
Allah Ta’ala aur Uske Malaaika Seher ke waqt Astaghfaar karne waalo’n aur Sehri khaane waalo’n par Durood bhejte hain. Lihaza, tum mein se har ek Sehri khaaye chahe ek ghuu’ntt paani hi kyun na ho.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p96)
iv) Imam Sajjad (as):
Jo shakhs Sehri aur Iftaari ke waqt Surah INNA ANZALNAH.. ki tilaawat kare, wo in 2 waqto’n ke darmiyaan aisa samjha jaayega jaise koi (mujaahid) raah e Khuda mein apne khoon mein lat-pat ho.
(Wasaail ush Shia, v7, p108)
V) Imam Sadiq (as):
Agar log Sehri khaa liya karein aur sirf paani se Iftaar kar liya karein to unme itni qudrat hogi ke hamesha Roza rakhe.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p97)
vi) Rasule Khuda (saww):
Tum log din ke Roze mein Sehri se madad ko aur shab ko ibaadat karne ke liye din ko Qailula kar liya karo (dopahar ko thoda so jaaya karo).
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p96)
Iftaar
i) Imam Sadiq (as):
Roza-daar ki Dua Iftaar ke waqt qubool hoti hai.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p64)
ii) Imam Sajjad (as):
Jo shakhs Sehri aur Iftaari ke waqt Surah INNA ANZALNAH.. ki tilaawat kare, wo in 2 waqto’n ke darmiyaan aisa samjha jaayega jaise koi (mujaahid) raah e Khuda mein apne khoon mein lat-pat ho.
(Wasaail ush Shia, v7, p108)
iii) Imam Reza (as):
Jo shakhs Iftaari ke waqt kisi miskeen ko ek Roti Sadqe mein de to Khuda uske gunaah maaf kar deta hai aur usay aulaad e Ismail mein se ek gulaami azaad karne ka sawaab ataa farmata hai.
(Wasaail ush Shia, v7, p188)
iv) Imam Baqir (as):
Kisi meethi cheez se Roza Iftaar kare aur agar na miley to phir paani se Iftaar kare, kyun ki wo paak hai aur paak karta hai.
(Wasaail ush Shia, v7, p113)
v) Riwaayat:
Rasule Khuda (saww) Khajoor se Roza Iftaar karte the aur jab shakkar mil jaati to oos se Iftaar karte the.
(Wasaail ush Shia, v7, p113)
vi) Imam Sadiq (as):
Jab koi shakhs khaalis (pure) paani ke saath Roza Iftaar kare to uska jigar saaf ho jaata hai, dil se gunaah dhul jaate hain aur uski basaarat (eyesight) teyz ho jaati hai.
(Wasaail ush Shia, v7, p112)
vii) Imam Sadiq (as):
Jab neem-garm (lukewarm / navsheku) paani Iftaar kiya jaaye to oos se Jigar saaf hota hai aur Dil ke gunaah dhul jaate hain aur binaayi (eyesight) mazboot hoti hai.
(Furoo e Kaafi, v3, p331)
viii) Rasule Khuda (sawa):
Jis Ne Halaal Khane Ya Paani Se Kisi Musalmaan Ko Roza Iftar Karwaya To Farishte Maah-e-Ramzan Ke Auqaat Me UsKe Liye Astaghfar Karte Hain, Aur Jibreel (as) Shab-e-Qadr Me Uss Ke Liye Astaghfar Karte Hain.
(Bihar-ul-Anwar, V.46, P.33)
ix) Rasule Khuda (saww):
Allah Ta’ala Maah e Ramzan mein logo’n ko Naar e Jahannum se azaad karta hai siwaay uske jo nashe waali cheez se iftaar kare...
(Furoo e Kaafi, v3, p215)
x) Imam Sadiq (as):
Imam Sajjad (as) jis din Roza rakhte to bakri zibh karwa ke pakwaate, shaam ke qareeb haandiyo’n ke qareeb jaa kar bhaap se shorbe ka pataa chalaate, jab pak jaata to pyaale mangwaate aur unhe bhar-bhar kar farmaate, “Ye fulaa’n ki aulaad ko jaa kar do aur ye fulaa’n ki aulaad ko. Phir rotiyaa’n aur khurme (khajoor) le kar shaam tak taqseem karte.
(Furoo e Kaafi, v3, p217)
xi) Imam Sadiq (as):
Agar log Sehri khaa liya karein aur sirf paani se Iftaar kar liya karein to unme itni qudrat hogi ke hamesha Roza rakhe.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p97)
xii) Imam Baqir (as):
MAHE RAMZAN me dua qabool hoti hai. Allah Taala iftar ke waqt jahanum ki aag se bahut se shakhs ko azaad karta hai.
(Sawaab ul Aamal pg 98)
xiii) Rasule Khuda (saww):
Har roz Maah e Ramzan mein Roze ke aakhir mein Iftaar ke waqt Allah Ta'ala 10 laakh Rozedaar logo'n ko Jahannum ki aag se Najaat deta hai.
(Amaali - Shaikh Mufeed)
Momin ko Iftaar Karane Ka Sawaab
i) Imam Sadiq (as):
Jo shakhs kisi Momin ka Iftaar karaye to Khuda wande Aalam 70 Farishte muqarrar karega jo aainda saal ki isi raat tak uski paakizgi bayaan karenge. Aur jo 2 ko Iftaar karaye, Allah par laazim hoga ke usay Jannat mein daakhil kare.
(Wasaail ush Shia, v7, p105)
ii) Imam Sadiq (as):
Kisi banda e Momin ka Roza Iftaar karana Sunnati Roza rakhne se behtar hai.
(Furoo e Kaafi, v3, p327)
iii) Imam Baqir (as):
Jo koi banda e Momin Maah e Ramzan ki kisi raat mein kisi banda e Momin ka Roza Iftaar karaye to Allah uske liye ek gulaam azaad karne ka sawaab likhega. Aur jo shakhs poora Maah e Ramzan usay Iftaar karata hai to Allah Ta’ala usay 30 MOMIN gulaam azaad karne ka sawaab darj karega aur bargaah e Khuda mein uski ek Dua bhi qubool hogi.
(Wasaail ush Shia, v7, p104)
iv) Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs is mahine mein kisi Roza-daar Momin ko iftaar karayega to Allah Ta’ala ke nazdeek uske liye uska sawaab ek gulaam azaad karna aur uske guzishta gunaaho’n ki maghferat hai. Jab aap se ye puchha gaya ke har ek mein to ye qudrat nahi hai ke ek Roza-daar ko Iftaar karaye, to aap ne farmaya, “Allah bada Kareem hai. Tum mein se agar koi ek pyala doodh mein miley huwe paani ki bhi qudrat rakhta ho aur oose se wo kisi Roza-daar ko Iftaar kara de ya sirf ek ghuu’nt meethe paani se ya chand khajuro’n se, to Allah Ta’a’a usko bhi wohi sawaab ataa karega.”
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p96)
v) Imam Sadiq (as):
Jo shakhs kisi Roza-daar ko Iftaar karayega usko utna hi sawaab milega jitna khud Roza-daar ko Roza rakhne ka milega.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p95)
vi) Imam Baqir (as):
Tumhara apne biradar e Muslim ko Iftaar karana aulaad e Ismail (as) mein se ek gulaami azaad karane ke barabar hai.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p9)
vii) Imam Sadiq (as):
Tere apne (deeni) bhai ko Roza Iftaar karaana aur (is tarah) usay khush karna tere khud Roza rakhne se Ajr o Sawaab mein badh-kar hai.
(Wasaail ush Shia, v7, p104)
viii) Imam Sadiq (as):
Momin bhai ke ghar Roza Iftaar karna tere Roze ke muqaable mein 70 ya 90 guna (times) (zyada sawaab rakhta) hai.
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal, p177)
ix) Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs is mahine (Maah e Ramzan) mein kisi Roza-daar Momin ko iftaar karayega to Allah Ta’ala ke nazdeek uske liye uska sawaab ek gulaam azaad karna aur uske guzishta gunaho’n ki maghferat hai. Jab aap se ye puchha gaya ke har ek mein to ye qudrat nahi hai ke ek Roza-daar ko Iftaar karaye, to aap ne farmaya, “Allah bada Kareem hai. Tum mein se agar koi ek pyala doodh mein miley huwe paani ki bhi qudrat rakhta ho aur oose se wo kisi Roza-daar ko Iftaar kara de ya sirf ek ghuu’nt mithhe paani se ya chand Khajooro’n se, to Allah Ta’a’a usko bhi wohi sawaab ataa karega.
(Man La Yahzarahul Faqih, v2, p96)
ETEKAAF
i) Rasule Khuda (saww):
Maah e Ramzan mein 10 din ka Etekaaf 2 Hajj aur 2 Umrah ke barabar hai.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p130)
ii) Imam Sadiq (as):
Etekaaf nahi hota magar Jama Masjid mein aur Roze ke saath.
(Furoo e Kaafi, v3, p367)
iii) Imam Sadiq (as):
Etekaaf nahi hota magar oos Masjid mein jahaa’n Namaz e Juma Imam (pesh-namaz) aur khutbe ke saath padhi jaati ho.
(Wasaail ush Shia, v7, p303)
iv) Imam Sadiq (as):
Etekaaf baghair Roze ke nahi hota.
(Furoo e Kaafi, v3, p367)
v) Imam Sadiq (as):
Etekaaf nahi hota magar Masjid e Jama mein jahaa’n Imam e Aadil Namaz padhata ho aur koi muzaiqa (harj) nahi Etekaaf karne mein Masjid e Kufa, Basra, Makkah aur Madina mein.
(Furoo e Kaafi, v3, p368)
(Wasaail ush Shia, v7, p304 mein Shaikh Mufeed (ar) se riwaayat hai ke ye wo 4 Masjd hai jis mein kisi Nabi ya Nabi ke kisi Wasi ne Namaz e ba-jama’at padhaayi ho:
1) Masjid ul Haraam (Makkah) mein Rasule Khuda (saww) ne Namaz e ba-jama’at padhaay hai,
2) Masjid e Nabawi (Madina) mein Rasule Khuda (saww) ne aur H. Ali (as) ne padhaayi hai,
3) Masjd e Kufa aur
4) Masjid e Basra jisme H. Ali (as) ne Namaz e ba-jama’at padhaay hai.
vi) Imam Sadiq (as):
Sheher e Makkah mein Etekaaf karne wala Makke ke jis ghar mein chaahe Namaz padh sakta hai lekin Makkah ke alawa bus sirf oosi Masjid mein Namaz padhega jisko usne Etekaaf ke liye chun liya hai.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p129)
vii) Imam Sadiq (as):
Makkah mein Etekaaf karne wala jis ghar mein chaahe Namaz padhe, Masjid mein ya kisi ghar mein Namaz padhna barabar hai.
(Furoo e Kaafi, v3, p368)
viii) Imam Sadiq (as):
Etekaaf 3 din se kam nahi hota.
(Wasaail ush Shia, v7, p306)
ix) Imam Baqir (as):
Jab koi shakhs 1 din Etekaaf baithhe aur (3 din mukammal karne ki) shart na lagayi ho (niyyat na ki ho) to usay haq haasil hai ke Etekaaf ko khatm kar ke baahar nikal jaaye aur agar 2 din baithh jaaye aur (khatm karne ki) niyyat na ki ho to phir jab tak 3 din mukammal na ho jaayein tab tak Etekaaf ko khatm kar ke baahar nahi nikal sakta.
(Wasaail ush Shia, v7, p305)
x) Imam Baqir (as):
…Jis shakhs ne 3 din Etekaaf mein guzaar liye to chauthe din usko ikhtiyaar hai agar chahe to 3 din aur Etekaaf mein guzaar de aur chahe to Masjid se nikal jaaye. Lekin agar oos 3 din ke baad 2 din aur Etekaaf mein guzaare hain to phir wo Masjid se na nikle jab tak ye 3 din mazeed (additional) purey na ho jaayein.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p129)
xi) Imam Baqir (as):
Mo’takif (Etekaaf karne wale) ko khushboo nahi sunghna chahiye aur na phoolo’n se lazzat haasil karni chahiye aur na kisi se jhagda karna chahiye aur na kharid o farokht (buying & selling) karni chahiye…
(Furoo e Kaafi, v3, p370)
xii) Imam Baqir (as):
Etekaaf karne wala na khushboo sunghega, na phoolo’n se lazzat-yaab hoga, NA AAINA DEKHEGA, na kharid o farokht karega…
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p129)
xiii) Imam Askari (as)
(Etekaaf mein the tab aap) ki khidmat mein ek shakhs haazir huwa aur arz kiya, “Farzand e Rasul (saww)! Fulaa’n (haakim) ne mujh se kuchh maal lena hai aur ab wo mujhe qaid karna chahta hai.” Imam (as) ne farmaya, “Ba-Khuda, mere paas kuchh maal nahi hai taaki teri taraf se maal adaa karu’n.” Oos shakhs ne kaha, “Phir oos (haakim) se kuchh baat to karein.” Imam (as) ne joota pehna aur uthh khade huwe. Raawi ne arz kiya, “Farzand e Rasul (saww)! Kya aap apna Etekaaf bhool gaye hain?” Imam (as) ne farmaya, “Bhoola nahi hoon magar main ne apne waalid (as) ko apne jadd e buzurgwaar (saww) ki ye Hadees bayaan karte huwe suna hai ke jo shakhs apne biradar e Momin ki haajat poori karne ki koshish kare to goya usne is tarah 9000 saal tak Allah ki Ibaadat ki hai jis mein din ko Roza rakha jaaye aur raat jaag-kar Ibaadat e Khuda mein basar ki jaaye.”
(Wasaail ush Shia, v7, p309)
xiv) Imam Sadiq (as):
Mo’takif (Etekaaf karne wale) ko Masjid se na nikalna chahiye magar shadeed zarurat mein aur waapas aane tak kahi’n na baithhe aur na baahar aaye magar Janaze ke liye, ya mareez ki ayaadat ke liye magar lautne tak baithhe nahi..
(Furoo e Kaafi, v3, p371)
xv) Imam Sadiq (as):
Jo shakhs apne biradar e Islaami ki kisi haajat poori karne ki koshish aur jadd o jahed kare aur Khuda uske haatho’n uski haajat baraari likh de to Khuda wande Aalam uske liye ek Hajj o Umrah aur Masjidul Haraam (Makkah) mein 2 maah Etekaaf baithhne ka sawaab likh deta hai.
(Wasaail ush Shia, v7, p311)
xvi) Rasule Khuda (saww):
Mard ka apni Family ke saath baithna Allah ko oos ke Etekaaf se zyaada pasand hai jo Masjid e Nabawi mein bajaa laya jaaye.
(Meezan ul Hikmah, v4)
Shab e Qadr
i) Imam Sadiq (as):
19 Ramzanul Mubarak ko taqdeer banti hai, 21st raat ko faisla hota hai aur 23rd raat ko dastakhat (sign) hote hain.
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p332)
ii) Imam Baqir (as):
Shab e Qadr mein poore saal ke waaqeaat aur hawaadis (incidents & accidents) ka faisla kar diya jaata hai. Is mein khair o shar (achchayi aur buraayi), ita'at aur maasiyat (obedience & disobedience), aulaad, rizq aur maut ke faisle kiye jaate hain aur hatmi faisle hote hain…
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p568)
iii) Imam Sadiq (as):
Ruuh Jibraeel (as) se azeem hai. J. Jibraeel (as) to Malaika mein se hain. Ruuh Allah ki makhlooq hai jo Malaika se azeem hai. Kya Allah Ta'ala ne nahi farmaya, "Tanazzalul Malaikatu War Ruuh" (Farishte aur Ruuh is raat mein naazil hote hain).
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p333)
iv) Riwaayat:
Ruuh (ul Quds) Allah ki ek makhlooq hi jo Jibraeel (as) aur Mikaeel (as) se zyada azeem hai. Wo Rasule Khuda (saww) ke saath thi, aap ko ba-khabar rakhti thi aur aap ki nigraani karti thi aur Rasule Khuda (saww) ke baad wo Aimma (as) ke saath hai.
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p519)
v) Imam Sadiq (as)
Se puchha gaya ke Lailatul Qadr 1000 mahino’n se kyun behtar hai? Aap ne farmaya, “Jo Amal isme (Shab e Qadr mein) hoga woo on 1000 mahino’n ke amal se behtar hoga jin mein Lailatul Qadr na ho.”
(Furoo e Kaafi, v3, p339)
vi) Imam Baqir (as):
Shab e Qadr hum par makhfi (hidden) nahi hoti, Malaika is raat HAMARA tawaaf karte hain.
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p333)
vii) Allāh tabarak wa ta'ala ne Hazrat Moosa (as) se farmaya ke jo koi mujse nazdikee chahta hai ose chahiye ke Shab-e-Qadr me jaage aur meri ibadaat kare..."
(Spiritual Journey of the Mystics, Chapter 9. Night of Power (Lailatul-Qadr))
viii) Hazrat Ali (as):
Har saal shab e qdar aati hai aur issi raat Ahkaam e sunnat naazil hotey hai aur ye ahkaam RasulAllah (sawa) ke baad inke Auliya par naazil hote hai. Wo Auliya mein aur mairay baad mairay sulb se 11 Aaima (a.s) muhadiseen jo RasulAllah (sawa) se naqal karne waale hai.
(Safha 158, Falsafaey Ghaibat e Mehdi (atfs) tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana (atfs) ke hukm par likhi gayi))
ix) 23 Shab e Qadr
a) Imam Sadiq (as):
Jo aadmi Shab e Qadr mein so gaya ke jis raat insaan ki qismat banti hai aur ahkaam e Khuda Wandi naazil hote hain to aisa aadmi oos saal Hajj nahi kar sakega. Shab e Qadr Maah e Ramzaan ki 23rd raat se mansoob hai kyunki is raat Haajiyo'n ke naam likhe jaate hain ke is saal kis kis ne Hajj karna hai. Is raat mein Rizq aur Maut ki taqseem hoti hai. Ek saal ka nizaam isi raat banta hai.
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p330)
b) Riwaayat:
Agar koi shakhs Maah e Ramzan mein lagataar Surah Qadr (Surah Inna Anzalna) padhta rahe aur 23rd Maah e Ramzan ki shab mein 1000 martaba padhe, to wo 23rd ki subah ko aise ajaaibaat (chamatkaar / wonders) dekhega ke wo khud ta'jjub karega (dung reh jayega).
(Ain al Hayat, p327)
c) Imam Sadiq (as):
O Aba Muhammad!
Jo koi 23rd Mahe Ramzan me Sura al Ankaboot aur Sura ar- Room padhega vo jannat kay logon me shumar kiya jayega..."
(Sawab al-A`amal, P.152 )
Eid ul Fitr
i) Imam Ali (as):
EID Sirf uske liye hai jiske Rozo'n ko Allah ne qubuul kiya aur uske Qayaam (Namaz) ko qadr ki nigaah se dekha ho.
(Meezan ul Hikmah, v7, ch Eid)
ii) Rasule Khuda (saww):
Eid ul Fitr ki subah ko ek manaadi nida karta hai ke Subah karo apne inamaat (prizes) ke liye.
(Furoo e Kaafi, v3, p356)
iii) Imam Sadiq (as):
Eid ul Fitr ke din Namaz ko jaane se pehle kuchh khao.
(Furoo e Kaafi, v3, p356)
iv) Sayyad Ibne Taa-oos Farmaate Hai.
Apni Is Roze EID Ko Khel Kood Aur Bekaar Baato Me Na Guzaaro Ke Tumhe Nahi Maaloom Aaya Tumhaare Aamaal Radd Huve Ya Qabool Huve Hai, Pas Agar Tumhe Inke Qabool Hone Ki Oommeed Hai To Is Par Tumhe Behtareen Tarike Se Shukr Adaa Karna Chahiye Aur Agar Tumhe Aa'amaal Ke Radd Hone Ka Dar Hai To Tumhe Is Par Gehre Gam Me Dube Rehnaa Chaahiye.
(Mafaatihul Jinaan, 1 Shawwaal Ke Aa'amaal ).
v) IMAAM ALI (A.S.)
EID Ka Din Uske Liye Nahi Ke Jisne Jadeed Libaas Pehnaa Balke Dar Haqeeqat Ooske Liye Hai Jisne Aajke Din Apne Aapko Khuda Ke Azaab Wa Gazab Se Bachaa Liya, Agar Fate Puraane Kapde Hote, Fakr Wa Faaqa Hota Lekin Khuda Ki Naaraazgi Na Hoti To EID Ka Din Hota.
(Nehjul Balagah)
Ya Allah❗ Is Maah e Mubarak ki Barkat se aur Ahlebait (as) ke Sadqe mein aaj ki shab hum ko, hamare waledain ko, hamare tamaam rishtedaaro'n ko, aur tamaam hayaat aur Marhum Momin o Momenaat Naar e Jahannum se najaat de de.
Ya Kareem 👏
●○●○●○●○●○●○
💥Imam Ali (a.s) ke Dhusman ka Azaab💥
1. Imam Baqir (as):
IMAM ALI (A.S.) ke dushman hamesha dozakh ki aag me rahege.
(Aamali e Saduq pg 525)
2. Rasule Khuda (sawa):
Agar log Hazrat Ali (as) ki mohabbat pe jama ho jate, to Allah (s.w.t.) Jahannam ko khalq na karta."
3. Rasule Khuda (sawa):
Jo yeh gumaan karta hai ke mujh per aur jo kuch mai laya hu us per Imaan rakhta hai lekin ALI (A.S.) se dushmani rakhta hai woh jhoota hai momin nahi hai.
(Kashful Yaqeen pg 227)
4. Rasule Khuda (sawa):
Jis ne mere baad mere janasheen ALI (A.S.) per sitam kiya goya yeh ke us ne meri Nabuwat aur mujhse phele wale paigambero ki nabuwat ka inqaar kiya hai.
(Behar 27/60)
5. Rasule Khuda (sawa):
Meri Ummat Ko Kiya Ho Gaya Hai Ke Jab Inke Samney Mere AHLEBAIT (a.s) Ka Zikr Hota HAi To Inke Dil Jal Jatey Hai Aur Inke Chehre Manhoos Ho Jatey Hai, Mujhe Qasam Hai Us Zaat ki Jis Ne Mujhe Nabi Banakar Bheja Agar Koi Insaan 70 Ambiya k Barabar Nek Aamal Anjaam Dein Aur Uske Paas Mere AHLEBAIT (a.s) Ki Wilayat Na Ho To Uska Koi Amaal Qabool Nahi Hoga.
(Amali Sheikh Mufid, M13, P190.)
6. Riwaayat:
Ameerul Momeneen (as) ki shahadat ke baad Imam Hasan (as) Masjid e Kufa ke mimbar par tashreef laaye aur farmaya, "Logo'n! Aaj raat oos shakhs ki wafaat huwi hai jis se na to awwaleen ne sabqat ki hai na hi aakhereen mein se usay koi paa sakta hai. Ye wo raat hai jisme H. Musa (as) ke wasi Yusha' bin Noon ki wafaat huwi thi aur ye wo raat hai ke jisme Isa bin Maryam (as) ko uthhaya gaya tha aur ye wo raat hai jisme Quran Hakeem naazil huwa tha."
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p568)
7. Rasule Khuda (sawa):
ALLAH (Subhanahu Wata Aala) Aap Ke Qaatil Par Lanat Kare Aur Unpar Jinhone Uski Madad Ki, Kyun Ki Jisne Aap Ka Qatl Kiya Wo Walad Uz Zina (Harami) Hai Aur Uska Baap Bhi Haraam Zada Hai Aur Uske Baap Ka Baap Bhi Walad Uz Zina (Harami) Hai...
(Sulaym Bin Qays, Hadees No. 61)