Wednesday, 10 March 2021

Fazilat Mahe Shaban

 🚩 *Fazilat Mahe Shaban* 🚩

🔸🔹🔸🔹🔸🔹

*ISTEGBAL E MAHE SHABAN*

Rasule khuda (saws) :

Rajab Khuda ka mahina, 

*Shabaan Mera mahina hai* aur 

Mahe Ramzan Meri ummat ka mahina hai.

(Mafati ul Jinaan, pg 240)


Rasule Khuda (sawa):

Sha'abān al Moagzam mera mahina hai aur shaf'at ka mahina bhi hai. Jo shaks is mahine me mujpe aur meri aal pe *Salwaat* bhejaga mai oski shafat karunga.

(Mafatih al Jinan)


Rasule khuda (saws) :

Shabaan mera mahina hai, Khuda rehmat kare us shakhs per jo is mahine me *ROZA* rakh kar meri imdaad kare.

(Mafati ul Jinan, p 280)


*MAHE SHABAN ME ROZA KI FAZILAT*


Rasule khuda (saws) :

Agar koi Mahe Sha'ban ke har Peer (Monday) aur Jumme raat (Thursday) ko roza rakhe to Allah 'azza wa jal  uski 40 haajat poori karega, jin me 20 dunyavi aur 20 ukhravi hajaat hogi.

(Mafatih Al Jinan)


Imam Sadiq (as) : 

Khuda ki qasam! Shaban aur Maah e Ramzan ke Roze bargaah e Khuda Wandi mein Tauba hai. 

(Sawaabul Aamaal, p129)


Rasule Khuda (sawa):

Jo Shaqs Mahe Shaban mein 2 din roza rakhey, Allāh (s.w.t) ussey un gunaho'n se bacha lega jo insaan ko halaq kar detay hai. 

(Sawaabul A’amaal, p95)


Rasule Khuda (sawa):

Jo shakhs Sha'abān al Moazam me 5 din roze rakhe to Allāh (s.w.t.) use apne bando'n me mehboob banayega, aur jo shakhs Sha'abān al Moazam me 6 din roze rakhe to Allāh (s.w.t.) us sey 70 qism ki balaaon ko dur farmayega. 

(Sawaabul A’amaal, p95)


Rasule Khuda (sawa):

Jo shakhs Sha'abān al Moazam me 7 din roze rakhe to woh Iblees, uske lashkar, uske aibgiri aur uski buraayi me mubtela karne ki koshish se mehfooz rahega. 

(Sawaabul A’amaal, p 95)

Rasule Khuda (sawa):

Jo shakhs Sha'abān al Moazam me 9 din roze rakhe to Munkar o Nakir dono sawal karte waqt uspar meherbani karege.

(Sawaabul A’amaal, p 95)


*MAHE SHABAN ME ISTAGFAR*


Rasule Khuda (sawa):

"Jo shakhs Sha'abān al Moazam me roz 70 martaba Istegfaar kare to Qayamat me Rasool (s.a.w.w.) k giroh me shamil hoga."

(Mafatih al Jinan)


Imam Reza (as):

Jo shakhs Maah e Shaban mein rozana 70 martaba 

*ASTAGHFIRULLAHA WA AS'ALOHUT TAUBAH* 

kahe to Allah Ta'ala uske liye Dozakh se azaadi aur Siraat se guzar likh deta hai aur usay Jannat mein daakhil karta hai.

(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p137), (Amaali - Shaikh Sadooq, p582)



*1ST SHAB E MAHE SHABAN*


Imam Sadiq (as): 

Jo pehli (1st) Mahe Shab'an ko roza rakhe to os par jannat wajib hogi, 

jo Do (2) roze rakhe to Allāh us shaqs ki taraf iss duniya me apni nazre karam har din aur raat me rakhega aur Jannat me uss par reham barsayega, 

jo teen (3 ) roze rakhe to Jannat me Arsh ki roz ziyarat karega.

(Sawaabul Aamaal, p92)


Rasule khuda (saws) :

Jo shaks Mahe Sha'ban me ye Dua 1000 martaba padhe to Allah oske name aamal me 1000 saal ki neki likhega, 1000 Saal ke gunah baksh dega, aur roze Qiyamat jab woh apni qabr se uthega to uska chehra chand ke tarah chamkega aur uss shaqs ka naam siddiqeen me likha jayega:


لاَ الهَ اِلاَّ اللهُ وَلاَ نَعْبُدُ اِلاَّ اِيَّاهُ مُخْلِصِيْنَ لَهُ الدِّيْنَ وَلَوْ كَرِهِ الْمُشْرِكُوْنَ.


*Laa ilaaha illallaaho wa laa na'budo illa iyaaho mukhles'eena lahuddeena wa lau karehal mushrekoon.*

(Manazelul Aakherah, P. 99)


Imam Sadiq (as) :

Jo shakhs Maah e Shaban mein Sadqa de to Allah uske Sadqe ko is tarah se parwaan chadhata hai jaise ke tum log oo'nttni ke bachche ko khoraak de kar parwaan chadhate ho aur jab Qayamat ka din hoga to uske haath ka diya huwa Sadqa Uhad pahaadd ke jitna bada hoga. 

(Tafseer Noor us Saqlain, v1, p571)



*MAHE SHABAN KA AKHRI JUMA*

Imam Reza (as): 

Aye Abaasalt, ye mahina (Shaban) takriban khatm ho gaya aur ye is mahine ka aakhri Jumma hai.  

Lihaza, bitay huwe dino'n ka badla le aur  

*bahut ISTEGFAAR KAR,  

*bahut Quran PADH,  

*Allah Ta'ala ki bargaah mein apne gunaho ki TAUBA KAR,  

ke Maahe Ramzan aane tak tu Allah ki khushi ke liye paak aur khaalis ho jaa. Apni gardan mein kisi ka Haq ya Amaanat NAHI rakh, gunah tark kar de, Allah se dar, Allah par bharosa rakh…  

 (Reference : Zaadusswaleheen) 


*ISTEGBAL E MAHE RAMAZAN*

Rasule khuda (sawa) :

Sabse afzal roza kaunsa hai? 

Sarkar e do Aalam (sawa) ne farmaya:  

*Istegbaal e Mahe Ramazan kay woh roze jo Mahe Shabaan me rakhey Jaye.*

(Sawaabul Aamaal, P.94)


Imam Reza (as) : 

Jo Mahe Shaban kay aakhri teen (3) din roze rakhe aur unhe Ramzan al Mubarak se mila de, toh Allah (s.w.t.) usse puree do (2) mahine Roze rakhne ka sawaab ata karega.

(Mafatih al Jinan)