Friday, 8 April 2016

SALMAN FARSI (r.a)

WAFAT, HAZRAT SALMAN E MUHAMDI (SALMAN FARSI. r) 8 Safar 36 Hijri by Blend Of History HAZRAT SALMAN E MUHAMADI (r) ka nam Islam sy qabl Rozba aur Maba tha jab ky Islam laney ky baad aap ka nam RASOOL ALLAH (s) ny'' SALMAN'' aur HAZRAT ALI as. ny ''MUSALSAL'' rakha tha. Ap ki kuniyat Abu Abdullah, Abul Binat aur Abul Murshid hai. Aap khud ko SALMAN IBN UL ISLAM kaha kartey thy. Aap Irani ul nasl huoney ki wajha sy Salman e Farsi kehlaye. Aap ny aik riwayat ky mutabiq 250 aur doosri riwayat ky mutabiq 400 sal umr pai. Aap Iran ky Shahi khandan sy taaluq rakhtey thy aur Shanshah Manocher Ki olad main sy thy. Aap ky Walid ka nam ''Khush yu zan'' tha jo ky Badakhshan ky aik bohat barey Zamindar thy aur Sahib e sarwat o jaidad thy. Walid Majoosi Mazhab py kar band thy lekin SALMAN ko kabhi us Mazhab sy raghbat na thi aur aap ka dil har wqt haq ki talash main rehta tha. SALMAN (r) ka apney barey main khud frmana hai ky main intihai naz o naam main pala aur mujhy ghar main Larkiyon ki trha bithaya aur parwarish kiya gya. Bachpan main jab SALMAN shaoor ki had ko pohnchey to Walidain ny aap ko Sheeraz ky aik Majoosi Madrisey main dakhil krwaya jahan Injeel, Torat aur Zaboor ki taaleem bhi di jati thi. In muqadas kitabon main aap ny RASOOL ALLAH (s) ka tazkira parha to dil main RASOOL ALLAH (s) ky liye mohabbat paida hui. Aap ny apney walidain aur madrisa ky asatza ko keh diya ky main ab us NABI E AKHIR (s) ka intizar karun ga aur tumharey mazhab py nahi chalun ga lehaza SALMAN (r) py sakhtiyan shuru ho gain. Aap ko aik kamrey main qaid kar diya gya aur tmam din main aik pani ka pyala aur aur aik roti di jati. Aap in sakhtiyon sy tang aa ky aik din ALLAH sy ro ro ky faryad kar rahey thy ky aik NOORANI BUZURG kamrey main zahir huey aur SALMAN ko tasali di aur kaha ky hum tumhain yahan sy azad kiye dety hain aur yeh hmara khat lo aur yahan sy nikal jao. Jab tumhari mulakat SARDAR E ANBIYA (s) sy ho to yeh khat un ko dena aur kehna ky EESA as. ny un ko salam bhijwaya hai (Noorani Buzurg HAZRAT EESA THY). SALMAN qaid sy rha huey aur aik lamba aur pur khatar safar krney ky baad aik barda farosh groh ky hathey charh gaye jinhon ny aap ko MADINA ky aik Yahoodi ky hath farokht kar diya. Yahoodi aap ko MADINA ly aaya aur apney bagh main mazdoori py laga diya. Aik din Yahoodi ky Bhateejey ny apney chacha ko btaya ky HAZRAT MUHAMMAD (s) ny Elan e Nabuwat kar diya hai. SALMAN ko jis lamhey ka intizar tha wo aa gya tha. Sham ko SALMAN moqa pa ky bagh main sy nikley aur HAZOOR (s) ki khidmat main aaye aur aap ko kuch khajoorain tohfa kin. RASOOL ALLAH (s) ny wo khajoorain khud na khain balkey sath bethey logon ko dy din. Salman ny socha ky aik nishani to poori ho gai kyon ky RASOOL sadqa nahi khatey. Phir SALMAN ny RASOOL ALLAH (s) ki Mohar e NUBUWAT ko dekha to yaqeen ho gya ky HUZOOR (s) hi wo nabi hain jin ka intizar tha. SALMAN ny foran ISLAM qubool kar liya. HUZOOR (s) ny SALMAN sy poocha ky Tumhara malik tumhain azad karney ka kya muawza mangta hai. SALMAN malik ky pas gaye aur wapis aa ky btaya ky wo 400 darakht Khajoor jin ka phal pak chuka ho ky badley mujhy reha karey ga. HUZOOR (s) ny JANAB E AMEER as. ko irshad frmaya ''ALI AAO SALMAN KO AZAD KARWA AIN'' JANAB E AMEER as. RASOOL E KHUDA (s) ky sath SALMAN ko liye un ky malik ky pas aaye aur kaha ky tu kesey darakht chahta hai ?. Yhoodi ny kaha ky 200 darakht surkh khajoor aur 200 darakht zard khajoor ky hon to main isey azad kar dun ga. RASOOL ALLAH (s) ny JANAB E AMEER as. sy farmaya ''AYE ALI 400 GUTHLIYAN LO AUR UN KO ZAMEEN MAIN BO KY PANI DY DO'' . JANAB E AMEER as. ny hukm ki taameel ki aur KHUDA ky hukm sy kuch hi dair main guthliyan tan,awar darakht ban gain. SALMAN ko azad krwa ky RASOOL E KHUDA (S) apney sath ly aye. SALMAN (s) ny tamam zindagi RASOOL E KHUDA (s) aur EHL E BAIT ki khidmat main guzar di. Aap Eeman ky us darjey py thy ky RASOOL E KHUDA (s) ny aap ko apney EHL E BAIT main shumar kiya aur aap ko SALMAM E MUHAMADI ka nam ata kiya. SALMAN un Sahabion main sy thy jinhon ny BIBI SYEDA sa. ky janazey main shirkat ki thi. Aap ko madain ka Governor muqarar kiya gya tha. Aap ny jjis sadgi aur emandari sy Madain py hukoomat ki us ki misal nahi milti. Aap ka intaqal 8 Safar 36 Hijri ko beemari ki halat main hua. Aap ki wafat py JANAB E AMEER as. ny Aap ky ghusal o kafan ka intizam kiya aur Namaz e Janaza parhai. REF:- 1- SALMAN E MUHAMADI by Maqbool Ahmed Nou Ganvi. 2- TAQVEEM E SHIA by Abdul Hussain Neesha Puri. 3- HAYAT UL QULOOB by Allama Baqir Majlisi. 4- ROOH UL HAYAT by Allama Baqir Majlisi. 5- Wikipedia The Free Encyclopedia.

No comments:

Post a Comment