Friday 8 July 2016

Dua e Hojob(Hijaab)

Dua e Hojob(Hijaab)
Shuru Allah k naam se jo Rehmaan o Raheem hai

Parwardigaara! Mai tujhse bheek maangti hu. Ay wo Allah jo apne noor ki sho'aa ki wajah se apni makhlooqaat ki nigaaho me poshida hai. Ay wo k jo libaase jalaalat o azmat se aaraasta hai aur har tarha paak hone ki wajah se apni Jabbaari o quwwat mein mash'hur hai. Ay wo jo apne jalaal aur kibriyaayi ki wajah se yektaayi aur buzurgi mein bohat buland hai. Ay wo jiske hukm ki itaa'at karte hue tamam umoor ne apni baag dor Uske hawaale kardi hai. Ay wo jiski pukaar par tamam aasmaano aur zameeno ne labbaik kaha hai. Ay wo Jisne aasmaan ko chamakte hue sitaaro se sajaaya aur unhe apni makhlooqaat k liye rehnuma banaya. Ay wo jisne apni meherbaani se andheri raat ki taareekiyo mein chaand ka chiraagh roshan kardia. Ay wo jisne suraj roshan kiya taake uski makhlooq uski roshni mein zindagi k kaarobaar kar sake aur apni azmat ki wajah se usey din raat mein imtiyaaz ka zariya banaya. Ay wo jo apni nemato k baadalo ko phailaakar laayeqe shukr hai mai tujhse sawaal karti hu tere arsh ki izzate bepayaa'n(bahot zyada izzat) aur teri kitaab ki pur az hikmat rehmat aur aayat ka waasta dekar aur har us naam ka waasta dekar jo tera aur jo naam jo khud tune apne liye rakha hai ya wo naam jo tere paas tere ilme ghaib mein hai aur tera har wo naam jisey tune apne kitaab se naazil kiya hai ya jisey tune arsh k gird tawaaf karnewale aur saff baandhnewale farishto k saamne sabt kardiya hai. Jisey tune apni taraf maayel kiya hai dilo ko aur hum par farz ki adaayigi ka iqraar karte hue k teri tauheed aur haqeeqi yaktaayi ko bayaan kare aur beshak Tu hi Allah hai Tu hi Allah hai Tu hi Allah hai. Nahi koyi Khuda siwaaye tere aur mai tujhse sawaal karti hu un naamo k waaste se jinke zariye se tune azeem pahaad(Kohe Toor) par (Musa a.s) Kaleemullah k liye tajalli ki aur jab teri taabnaak azmat k noor ne pardo k piche(ya niche se) sho'aa dena shuru kiya to pahaad teri azmat o jalaalat aur haibat k saamne tere sitwat k khauf se girkar paash paash aur reza reza hogaya. Bas nai hai koyi Khuda siwaaye tere bas koyi Allah nahi siwaaye tujh Allah k aur mai sawaal karti hu tujhse us naam ka ka waasta dekar jiske zariye tune dekhne walo ki aankho k band papoto(eyelids) ko kholdiya jisse teri hikmat aur tadbeer zaahir hui k wo tere ambiya k dalaael aur mojizaat k shaahid o gawaah bane aur teri maarefat haasil kare dil aur  yaktaayi k zariye se agarche tu ghaib k teh baye teh(layer upon layers) pardo mein hai. Mai tujhse sawaal karti hu us baa izzat ism(naam) k waaste se k tu apni rehmat naazil farma Hazrat Mohammad aur aale Mohammad(saww) par aur mujhse dur rakh(pher de) aur mere waaledain se bhi aur mere zer parwarishe mutalleqeen se aur tamam momineen aur mominaat se bhi(dur rakh) kul aafato aur bimaariyo aur imraaz ko aur khaatao aur shak o shirk o kufr aur nifaaq aur jhoot aur gumraahi aur jahaalat ko aur nafrat aur ghussa aur badhaali aur tangi ko aur dili fasaad o Inteqaam aur taana zani dushmano ki aur ghairo k ghalbe ko( dur rakh) beshak tu sunne wala(har aawaaz ka) har dua ka apni taaqat se jo chahta hai behtar hi karta hai.
Allah k siwa koyi quwwat aur taaqat nahi.

No comments:

Post a Comment