Thursday 11 January 2024

*NAMAZ E JAFAR E TAYYAR*

*NAMAZ E JAFAR E TAYYAR*

*(READ TILL THE END)*

Imam Sadiq (as):
*Jis waqt bhi koi mushkil ya haajat pesh aaye to Namaz e Jafar e Tayyar padhne ke baad Dua karo Insha Allah Dua qubool hogi.*
(Namaz ki Tafseer p59)

Rasule Khuda (saww):
*Agar tum har Juma, ya har Maah, ya har Saal Namaz e Jafar e Tayyar anjaam doge to Khuda unke darmiyaan ke tamaam gunaho'n ka maaf kar dega.*
(Kirdaar Saazi, v2, p16)

Imam Kazim (as):
*Jo shakhs Namaz e Jafar e Tayyar padhega to agar uske gunah Aalij pahaad ke sang-rezo'n (kankad / pebbles) aur samandaro'n ki jhaag ke barabar bhi ho'n to Allah usko baksh dega.*
(Man La Yahzarahul Faqih, v1, p349)

Imam e Zamana (atfs)
*se sawaal puchha gaya, "Agar Namaz e Jafar e Tayyar ke Qayaam, ya Qa'ood, Ya Ruku, Ya Sujood ki Tasbeehaat ki adaaygi mein kisi se bhool ho jaaye aur oosi Namaz ki doosri haalat mein usay yaad aa jaaye to kya uska oosi haalat mein adaa kare jab yaad aa jaaye ya Namaz ko tamaam kare?"*
*Aap (atfs) ne Tauqee se jawaab diya, "In haalato'n mein jab bhi bhool ho jaaye jab bhi yaad aa jaaye oosi waqt usko bajaa laaye."*
(Ehtejaaj e Tabrisi, v2, p336)

Imam Sadiq (as):
*AGAR tum bahut jaldi mein ho sirf Namaz e Jafar e Tayyar (4 Raka'at) padh lo, baad mein Tasbeehaat padh lena.*
(Man La Yahzarahul Faqih, v1, p350)

Imam Sadiq (as):
*Tum Namaz e Jafar e Tayyar jis waqt chaho padho, chaahe din mein padho chaahe raat mein. Agar chaho usay Namaz e Shab me mehsoob (ginti) kar lo aur chaaho to din ki Naafilah mein ginti kar lo, wohi tumhare liye din ki nawaafil mein bhi shumaar ho jaayegi aur Namaz e Jafar e Tayyar mein bhi mehsoob ho jaayegi.*
*(Namaz e Jafar e Tayyar ka behtareen waqt Roz e Juma ka aagaaz (pehla hissa) hai - Mafaatihul Jinaan, p82)*
(Man La Yahzarahul Faqih, v1, p350)

*ROZ E JUMA ZYADA SADQA DE'N AUR ZYADA SE ZYADA SALWAAT PADHEIN*

*رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا إِنَّكَ أَنتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ*

*اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ*
*وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن*

No comments:

Post a Comment