Sunday, 23 August 2015

MAAH E RAMZAN

MAAH E RAMZAN


1. Imam Sadiq (as):
Budhwaar (Wednesday) ke din (Sunnati) Roza is liye rakha jaata hai ke pichhli ummato’n mein jab bhi kisi ummat par azaab aaya to mahine ke darmiyaani (beech waale) Budhwaar ko aaya is liye is din Roza rakhna mustahab hai.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p57)

2. Rasule Khuda (saww):
Aurat par shauhar ki ita’at (obedience) ye hai ke wo Sunnati Roza bagair uski ijaazat ke na rakhe.
(Furoo e Kaafi, v3, p329)

3. Imam Sadiq (as):
Mustahab Roza rakhna jaayez Nahi hai oos shakhs ke liye jis par farz Roza qaza hai.
(Man La Yahzarul Faqeeh, v2, p97)

4. Imam Sadiq (as)
se puchha gaya ke oos shakhs ke baare mein jis par Maah e Ramzan ke kuchh Roze qaza ho’n to kya wo Sunnati Roza rakhe?
Aap ne farmaya, “Nahi’n. Jab tak qaza Roze Maah e Ramazan ke adaa na ho (Sunnati Roza na rakhe).”
(Furoo e Kaafi, v3, p276)

5. MUSTAHABI ROZE KA CHHUPANA MUSTAHAB HAI MAGAR YE KE OOS SE PUCHHA JAAYE KE KYA AAP KA ROZA HAI? TO PHIR JHOOT BOLNA JAAYEZ NAHI HAI

Imam Sadiq (as):
Jo apna (mustahabi) Roza chhupata hai to Allah Ta’ala Apne Malaika se farmata hai ke Mere bande ne Mere Azaab se panaah lene ki koshish ki hai, lihaza usay panaah do. Aur Khuda wande Aalam Farishto’n ko muqarrar karta hai ke wo Roza-daaro’n ke liye Dua karein aur zaahir hai ke jab Allah unko Dua karne ka hukm deta hai to phir zaroor unki Dua qubool bhi karta hai.
(Wasaail ush Shia, v7, p102)

6. Mahe Sha'ban ka Aakhri Jumma
Imam Reza  (as):
Aye  Abaasalt,  ye  mahina  (Shaban)  takriban  khatm  ho  gaya  aur  ye  is mahine  ka  aakhri  Jumma  hai.  Lihaza,  bitay  huwe  dino'n  ka  badla le  aur  bahut  ISTEGFAAR  KAR,  bahut  Quran  PADH,  Allah  Ta'ala  ki bargaah  mein  apne  gunaho  ki  TAUBA  KAR,  ke  Maahe  Ramzan  aane tak  tu  Allah  ki  khushi  ke  liye  paak  aur  khaalis  ho  jaa.  Apni  gardan mein  kisi  ka  Haq  ya  Amaanat  NAHI  rakh,  gunah  tark  kar  de,  Allah se  dar,  Allah  par  bharosa rakh…  
 (Reference : Zaadusswaleheen) 


7. Rasule Khuda (saww):
 (Sirf) Ramzan NA kaho kyunki ye Allah Ta'ala ke naamo'n mein se ek naam hai, balke Maahe Ramzan kaha karo.
 (Meezan ul Hikmah, v2)

8. 


No comments:

Post a Comment