Tuesday, 14 June 2016

Daily SHAB Duas Of The Month Of Ramadan

Daily SHAB Duas Of The Month Of Ramadan
★✩★✩★✩★✩★✩
1. DUA OF THE 1ST SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Alhamdo Lillaahil Lazi Akramnaa Beka Ayyohash Shahrul Mobaarako Allaahumma Faqawwenaa Alaa Seyaamenaa Wa Qeyaamenaa Wa Sabbit Aqdaamanaa Wansurnaa Alal Qawmil Kaafereen. Allahumma Antal Waahedo Falaa Walad Laka Wa Antas Samado Falaa Shibha Laka Wa Antal Azizo Falaa Yoizoka Shayoon Wa Antal Ganiyyo Wa Anal Faqiro Wa Antal Mawlaa Wa Anal Abdo Wa Antal Gafuro Wa Anal Muznebo Wa Antar Rahimo Wa Anal Mukhteo Wa Antal Khaaleko Wa Anal Makhluko Wa Antal Hayyo Wa Anal Mayyeto Asaloka Be Rahemateka, Antag Ferali Wa Tarhamni Wa Tajaawaz Anni Innaka Alaa Kulle Shayin Qadeer.

All praise be to Allah Who has honored us with you, O blessed month. O Allah, (please do) grant us strength to observe fasting and practice acts of worship in this month, make our steps firm, and assist us against the unbelieving people. O Allah, You are surely the One; therefore, You have not son. You are the eternally Besought of all; therefore, nothing is like You. You are the Almighty; therefore, nothing can overcome You. You are the Self-sufficient while I am poor. You are the Master while I am (Your) slave. You are the All-forgiving while I am sinful. You are the All-merciful while I am mistaken. You are the Creator while I am (Your) creature. You are the Ever-living while I am mortal. I thus beseech You in the name of Your mercy to forgive me, have mercy upon me, and excuse my offenses. You have power over all things.

Hamd Hai Oos Allah Ke Liye Jisne Muze Buzurgi Ataa Ki, Ay Barkatwaale Maahe Ramdhan Tere Sabab Se Baare ilaahaa ! Pas Tu Muje Taakat Aur Tawaanaai Ataa Farmaa, Roze Rakhne Aur Namaaz Padneke Liye Aur Hamko Sebaate Qadam Ataa Farmaa, Aur Garohe Kuffaar Ke Mukaable Par Hamko Kaamiyaabi Anaayat Farmaa, Baare ilaahaa ! Tu 1 Hi Hai Pas Tere Koi Aulaad Nahi Hai Aur Tu Beniyaaz Hai Pas Teraa Koi Mislo Nazir Nahi Hai, Aur Tu To Aisaa Baa Izzat Aur Zabardast Hai Ke Tuje Kisise Izzat Nahi Haasil Hui Aur Tuhi Gani Hai, Aur Mai To Fakiro Mohtaaj Hu Aur Tuhi Aaqaa Hai, Mai To 1 Abde Naachiz Hu Aur Tuhi Maaf Karnewaalaa Hai, Aur Mai To Gunehgaar Hu Aur Tuhi Paidaa Karnewaalaa Hai, Aur Mai Paidaa Kiyaa Huwaa Hu, Aur Tuhi Zindaa Karnewaalaa Hai, Aur Mai Mar Jaanewaalaa Hu, Mai Tujse Fir Teri Rahemat Kaa Waastaa Dekar Sawaal Kartaa Hu, Muje Maaf Farmaa De Aur Mujpar Rahem Farmaa, Mere Gunaaho Se Darguzar Farmaa, Tu Har Shay Par Kudrat Rakhtaa Hai.
★✩★✩★✩★✩★✩
2. DUA OF THE 2ND SHAB OF MAHE RAMDHAN
Ya Elahal Aw'walina Wal Akherina Wa Elaha Man Bakeya Wa Elaha Man Maza Rabbas Samawatis Sab-e-Waman Fihinna Falekal Asbahe Wa Zaelal Laile Sakanan Washfihinna Falekal Asbahe Wa Zaelal Laile Sa Sakanan Wash Samshe Wal Kamare Husbanan Lakal Hamdo Walakash Shukro Walakal Manno Wa Lakat Tawlo Wa Antal Wahedul Ahadus Samado Asaloka Bejalaeka Sayyedi Wa Jamaleka Mawlaya An Tosalleya Alaa Mohammediw Wa Aale Mohammedin Wa An Tagferali Wa Tarhamni Wa Tajawaz Anni Innakal Ghafoorur Raheem.

In the name of Allah, the Beneficent, the Merciful. 
O the God of the formers and the latters and 
O the God of those who remain and the God of those who pass away. 
O Lord of the seven heavens and whatever is them. 
O one who breaks the day and One who made the night as the time of repose and One who made the Sun and the Moon as a way of calculating the time. 
Praise is for You and thankfulness is for You. 
And only You are the beneficent and the giver of bounties. 
You are the One, the Unique, the self-sufficient. 
I ask you for the sake of Your majesty O my Chief and for the sake of Your beauty O my Master that You bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.) and forgive me and have mercy on me and overlook my faults. Indeed You are the forgiving and merciful.

Ay Pehlo Aur Pichhlo Ke Khudaa, Ay Maujood Rehnewaalo Ke Khudaa Aur Ay Guzar Jaanewaalo Ke Khudaa, Ay Saato Aasmaano Aur Unme Basnewaalo Ke Khudaa, Ay Subha Ki Po Faadnewaale Ay Raatko Baaise Sukun Karaar Dene Waale, Ay Chand Aur Suraj Ko Awkaat Shumaarikaa Zariyaa Banaane Waale, Terehi Liye Hamd Hai Aur Terehi Liye Shukra Hai Aur Tuhi Karam Wa Ahsaan Kaa Maalik Hai Aur Tuhi Taakat Wa Kuwwatwaalaa Hai Tuhi 1 Akelaa Beniyaazo Be Aib Hai. Ay Mere Aaqaa Aur Maulaa Mai Tujse Teri Buzurgi Aur Tere Kamaale Husne Sefaat Ke Wasilese Sawaal Kartaa Hu Ki Tu Mohammad (s.a.w.w) Aur Unki Aal Par Rehmat Naazil Farmaa Aur Mere Gunaaho Ko Bakhsh De, Aur Mujpar Rahem Kar Aur Mujko Meri Khataao Se Dargujar Farmaa Yakinan Tu Hi To Bakhshnewaalaa Aur Rahem Karnewaalaa Hai.
★✩★✩★✩★✩★✩
3. DUA OF THE 3ND SHAB OF MAHE RAMDHAN
Ya Elaha Ebrahima Wa Elaha Ishaka Wa Elaha Yakuba Wal Asbate Rabbal Malaekate Warruhis Samiul Alimulhakimul Karimul Aliyul Azimo Laka Sumto Wa Ala Rizkeka Aftarto Wa'ela Kanafeka Away To Wa Elayka Anabto Wa Elaykal Maseero Wa Antar Raufur Rahimo Kaw'weni Alas Salate Was Seyame Wala Tukhzeni Yawmal Keyamate Innaka La Tukleful Me'aad._

In the name of Allah, the Beneficent, the Merciful. O God of Ibrahim and O God of Ishaq. 
And O God of Yaqub and the tribes. Lord of the angels and the Holy spirit. The Hearer, the All-knowing, the Wise, the Noble, the High and the Great. I kept fast for You and with Your sustenance I end my fast and I seek refuge with You and I entered Your court and You are the Kind and Merciful. Make me strong enough to fast and pray and do not expose me on Judgment Day. Indeed you do not break Your promise.

Ay Ibraahim (a.s) Ke Khudaa, Ay Ishaaq (a.s) Ke Khudaa, Ay Yaaqub (a.s) Aur Unke Asbaat Ke Khudaa, Ay Malaaekaa Aur Roohul Quddus Ke Parwardigaar, Jaannewaalaa, Hikmatwaalaa, Karam Karnewaalaa, Buzurg Aur Bartar Hai, Maine Teraa Hi Rozaa Rakhkhaa Aur Teri Di Hui Rozi Se Iftaar Kiyaa Aur Tere Hifzo Amaan Me Panaahguzi Huwaa Hu Aur Teri Baargaah Me Rooju Kiyaa Aur Teri Hi Taraf Baazgasht (Palat Ke Jaanaa) Hai. Tuhi Maherbaan Aur Rahim Hai, Mujko Namaaz Aur Roze Ki Taakat De. Aur Muje Qayaamat Ke Din Ruswaa Naa Karnaa Beshak Tu Waadaa Khilaafi Nahi Kartaa.
★✩★✩★✩★✩★✩
4. DUA OF THE 4TH SHAB OF MAHE RAMDHAN
Ya Rahmanad Dunya Wal Akherate Wa Rahimona Wa Ya Jabbarad Duniya Wa Malekal Moluke Wa Ya Razekal Ebade Wa Haza Shahrut Tawbate Wa Haza Shahrush Sawaabe Wa Haza Sharur Raza'e Wa Antas Samiul Alim Asaloka An Tazalani Fi Ebadekas Swalehinal Lazina Lakhawfun Alaihim Walahum Yahzanuna Wa An Tasturani Bissitril Lazi La Yohteko Wato Zallini Be Afeyatekal Lati Latoramo Wa To'Teyani Souli Watud Khelaneyal Jannata BeRahmateka Wa An Latada'Ali Zanban Illa Ghafartahu Wala Hamman Illa Farraztahu Wala Kurbatan Illa Kashaftaha Wala Hazatan Illa Kazaitaha Behakke Mohammediw Wa Aale Mohammed Innaka Antal Ajallul Aa'Zam. 

O the beneficent of the world and the Hereafter and the Merciful of both and O one who is powerful in the world and the King of the kings and the sustainer of the creatures. This is a month of repentance and this is a month of divine rewards and this is a month of hope and You are the Hearer and the All-knowing. I ask You to make one of Your righteous servants, who are such that there is no fear or grief upon them and grant me such a covering so that my defects are not seen and through Your prosperity grant me such greatness as is never seen. Fulfill all my needs and admit me to Paradise by Your mercy and forgive each of my sins and remove all my sadness and take away all my troubles and do not leave any of my wishes unfulfilled for the sake of Muhammad and Aale Muhammad (a.s.). Indeed You are the most majestic and the most Great.

Ay Duniyaa Wa Aakherat Ke Maherbaan, Ay Donome Rahem Karnewaale, Ay Wo Jiski Duniyaa Me Kibriyaai Zebaa Hai, Ay Tamaam Baadshaaho Ke Baadshaah Aur Ay Bando Ko Rozi Denewaale, Ye Taubaa Kaa Mahinaa Hai Aur Ye Sawaab Kaa Mahinaa Hai Aur Ye Ummidokaa Mahinaa Hai, Tu To Khud Hi Sunnewaalaa Aur Jaannewaalaa Hai. (Baare ilaahaa !) Mai Tujse Sawaal Kartaa Hu Ki Tu Mujko Apne Oon Nekokaar Bando Me Se Karaar De Ki Jinke Liye Naa To Khauf Hai Aur Naa Wo Ranjeedaa Honge Aur Meri Aisi Pardaaposhi Farmaa Jiske Baad (Mere Oyub) Zaahir Naa Ho Aur Apni Aafiyat Ke Zariye Se Muje Aisi Buzurgi Inaayat Farmaa Jiskaa Tasawwur Naa Kiyaa Jaa Sake. Meri Tamaam Haajate Puri Farmaa Aur Apni Rehmat Ke Tufail Me Muje Jannat Me Daakhil Kar Aur Mere Har Gunaah Ko Bakhsh De, Aur Har Ranjko Dur Karde, Aur Har Becheni Ko Dur Farmaa Aur Koi Bhi Haajat Puri Honese Reh Naa Jaae. Tuje Mohammad (s.a.w.w) Aur Aale Mohammad (s.a.w.w) Ke Haq Kaa Waastaa Tuhi Sabse Bartar Aur Aazam Hai.
★✩★✩★✩★✩★✩
5. DUA OF THE 5TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Allahumma Inni As-Aloka Be-Asmaa-e-ka Khairal Asmaail Lati Tunzelic Beha-Sh Shefa-a Wa Tak Shefo Behal Adwaa-a An Tosalleyal Alaa Mohammediw Wa Aale Mohammedin Wa Antonazzela Minka Aafeyatan Wa Shefa-an Wa Tadfa-a Anni Bisme-ka Kulla Suqmin Wa Balaa-een Wa Tataqabba-La Savmi Wa Taj Alani Mim-Man Saama Wa Qaama Wa Razyta Amala-hu Wa Tajal-Ani Mimman Saamat Jawareho-Hu Wa Hafeza Lesaa-Na-Hu Wa Farja-Hu Wa Tarzoqani Amalan Tarza Wa Tamunna Alay-Ya Bis-Sumte Was-Sakinate Wa War An Yahjozoni An Maastyateka Ya Ar-Hamar Rahemeen.

O Allah, indeed I ask You for the sake of Your names which the best of the names through whom You send down the cure and with whom You remove the maladies; that You bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.) and bestow prosperity and cure for me and through the sake of Your names remove every disease and trouble from me and accept my fasts and make me of those who fasted and prayed and by whose deeds You are satisfied and make me of those whose every organ has fasted; whom You have kept away from bad talks and sins of the private parts and give me Taufeeq for such deeds that You like and bestow on me by not talking on inappropriate occasions and bless me with peace and tranquility and give such piety that keeps me away from Your disobedience, O the most merciful of the merciful ones.

Khudaawandaa Mai Tujse Sawaal Kartaa Hu Tere Naamoke Wasile Se Ke Jo Behtarin Naam Hai, Yehi Wo Naam Hai Ke Jinke Zariye Se Tu Shafaa Naazil Kartaa Hai Aur Bimaariyo Ko Dur Kartaa Hai. H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Aale Mohammad (s.a.w.w) Par Rehmat Naazil Kar Aur Muje Aafiyat Aur Shafaa Ataa Kar Aur Apne Naam Ke Wasilese Har Kismki Bimaari Aur Balaako Mujse Dur Karde. Aur Mere Roze Kubul Kar. Aur Karaar De Mujko Oon Logome Se Jinhone Rozaa Rakhaa Aur Namaaz Padi Aur Unke Amalse Tu Raazi Huaa Aur Karaar De Mujko Oon Logome Se Ki Jinke Tamaam Aa'azaa Wa Jawaareh Ne Rozaa Rakhaa Ho Aur Jinhone Apni Zabaanko Badgoi Se Aur Apni Sharmgaaho Ko Gunaaho Se Mehfuz Rakhaa Ho. Aur Muje Aise Aamaal Ki Taufik De Ki Jisko Tu Pasand Kartaa Ho Aur Ahsaan Kar Mujpar Bemahal Guftagu Se Bachaakar Aur Sukun Wa Itminaan Ataa Kar Aur Muje Aisi Parhezgaari Inaayat Farmaa Jo Tere Gunaah Karne Se Muje Baaz Rakhe, Ay Sabse Zyaadaa Rahem Karnewaale.
★✩★✩★✩★✩★✩
6. DUA OF THE 6TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Allahumma Antas Sami-Ul Alimc Wa Antal Wahedool Karimo Wa Antal Elahus Samedo Rafatas Samaawaate Bequdrateka Wa Dahartal Arza Be Izzateka Wa Anshaatas Sahaba Be Wahda Niyyateka Wa Ajraital Behaza Be Sultaneka Ya Man Sabbahat Lahul Hitano Fil Bohure Wa-s-seba-o Fil Samawatis Sab-e Wal Arzeena's Sufla Ya Man Tosabhaho Lahus Samawato Wa Man Fihinna Wal Arzoona's Sab-e Wa Man Fihinna Ya Man La Yamuto Wala Yabqa Illa Wajhohul Jalilool Jabbaro Salle Alaa Mohammedin Wa Aalehi Warham Ni Waafo Anni Innakal Gafuroor Rahim.

O Allah, You are the Hearer and the All-knowing and You are the One and the Noble and You are the One for whom is needlessness. You have raised the heavens through Your power and spread the earth through Your strength and created the clouds through Your Oneness and made the seas to flow through Your power, O One whose praises the fishes recite in the seas and the beasts in the forests and O One from whom nothing is hidden from the seven heavens and the depressed levels of the earth. O One for whom the heavens and those who reside in them and the seven earths and those who reside therein recite the praise. O One who never dies and except His majestic and powerful face, nothing is going to live forever. Bless Muhammad and his progeny and have mercy on me and forgive me. Indeed You are the forgiving and merciful.

Khudaawandaa Tu Sunnewaalaa Aur Jaannewaalaa Hai. Tuhi 1 Akelaa Buzurg Hai Aur Tuhi Beniyaaz Khudaa Hai. Baland Kiyaa Tune Apni Kudrat Se Aasmaano Ko Aur Tune Apni Izzat Se Zamin Ko Bichhaa Diyaa Aur Tune Apni Wahdaaniyat Se Baadalo Ko Paidaa Kiyaa, Aur Tune Apni Taakato Kuwwat Se Dariyaao Ko Jaari Kiyaa Ay Wo (Khudaa) Ki Machhliyaa Samandar Me Aur Darinde Jangalo Me Jiski Tasbih Karte Hai, Ay Wo Ki Jisse Saato Aasmaano Aur Past Zamino ki Chhipi Hui Koi Bhi Chiz Poshidaa Nahi Hai. Ay Wo Ki Tamaam Aasmaan Aur Jo Kuchh Usme Hai Aur Saato Zamine Aur Jo Kuchh Unme Hai Uski Tasbih Karte Hai Wo Ke Jiske Liye Maut Nahi Hai Aur Siwaa Uski Buzurg Aur Zabardast Zaat Ke Siwaa Koi Bhi Baaqi Nahi Rahegaa, Rehmat Naazil Kar H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Unki Aal Par Aur Rahem Kar Mujpar Aur Maaf Kar Mere Gunaaho Ko Yakinan Tu Bakshnewaalaa Aur Rahim Hai.
★✩★✩★✩★✩★✩
7. DUA OF THE 7TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Ya Sarikhal Mustarekhin Wa Ya Mufarreja Karbil Makrubin Wa Ya Mojib-A-Daawatil Muztarrin Wa Ya Kashef-Al Karbil Azeem-e Wa Ya Arhamar Rahemeen Salle Alaa Mohammediw Wa Aale Mohammedin. Waksheef Karbi Wa Hammi Wa Gammy Fa Innahu La Yakshfo Zaaleka Gairoka Wa Taqabbal Savmi Waqze Lee Hawaa-e-ji Wab-Asni A-lal Imaane Beka Wat Tasdiqe Be Ketabeka Wa Rasuleka Wa Habbil A-Immateel Mahdiyyin Olyl-Amreel Lazina Amarta Betaa-Atehim Fa Inni Qad Razito Behim A-Immatan. Allahumma Salle Alaa Mohammediw Wa Aale Mohammedin Wad Khilni Fi Kulle Khaireen Adkhalta Feehe Mohammadav Wa A'laa Mohammedin Wa Taqabbal Savmi Wa Sahaati Wa Nosoki Fi Haaza-Sh Share Shahro Ramzanal Muftaraze Alaina Seyamoha Warzuqni Feehe Maghferateka Wa Rahimateka Ya Arhamar Rahemeen. 

O One who listens to those who entreat. 
O One who removes the sorrow of those who are sorrowful. 
O One who hears the calls of those who call in distress. 
And O One who removes through greatest calamities. 
O the most merciful of the merciful ones. 
Bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.) and remove my grief and sadness and sorrow and no one except You can remove them. 
And accept my fast and fulfill my needs and make steadfast on 
faith in You and to testify for Your Book and Your Messenger and 
the love of the Guided Imams; the ones who are vested in authority, 
whose obedience You have ordered. 
We are satisfied with the Imamate of these Imams. 
O Allah, bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.) and admit us in every good that Muhammad and Aale Muhammad (a.s.) enter and accept my fasting and prayers; accept all the deeds that I have performed in this month of Ramazan in which fasting is made obligatory on me and in which You have granted us mercy and forgiveness by Your mercy, O the most merciful of the merciful ones.

Ay Fariyaad Karnewaalo Ke Fariyaad Ras, Ay Dardmando Ki Becheni Dur Karnewaale, Ay Bechaaraa Wa Pareshaanhaal Logoki Duaa Ko Sunnewaale, Ay Badi Se Badi Taklif Ko Dur Karnewaale, Ay Rahem Karnewaalo Me Sabse Zyaadaa Raheem H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Aale Mohammad (s.a.w.w) Par Rehmat Naazil Farmaa, Aur Mere Ranj Wa Gam Wa Alam Ko Dur Karde Kyuki Tere Alaawaa Koi Unko Dur Nahi Kar Saktaa. Aur Mere Roze Ko Kubul Karle Aur Meri Haajato Ko Puri Karde Aur Mujko Qabr Se Apne Upar Imaan Rakhnewaalaa Aur Apne Rasool (s.a.w.w) Aur Apni Kitaab Ki Tasdik Karnewaalaa Aur A'immaae Barhak Jo Aise Ulil Amr Hai Jinki Itaa'at Kaa Tune Hukm Diyaa Hai, Unki Mohabbat Ke Saath Uthaanaa. Parwardigaar Ham Apne In Imaamo Ki Imaamat Se Raazi Hai. Khudaawandaa H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Aale Mohammad (s.a.w.w) Par Rehmat Naazil Kar Aur Mujko Bhi Har Ois Neki Aur Behtari Tak Pahuchaa Ki Jin Tak Mohammad (s.a.w.w) Aur Aale Mohammad (s.a.w.w) Ko Pahuchaayaa Tu Ne Aur Mere Roze Aur Meri Namaaz Aur Mere Tamaam Aamaal Ko Jo Mai Is Mahine Me Bajaa Laayaa Hu Unhe Kubul Kar Jo Ramzaan Kaa Mahinaa Hai Jiske Roze Hampar Waajib Hai Aur Hamko Is Mahine Me Magferat Aur Rehmat Enaayat Kar. Ay Rahem Karnewaalo Me Sabse Zyaadaa Raheem.
★✩★✩★✩★✩★✩
8. DUA OF THE 8TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Allahumma Haza Shahrokal Lazi Amarta Feehe Ebaadeka Bi-Dvaa-e Wa Zaminta Lahomul Ejabata War Rahmata Wa Qulta Wa Eza Saa-la Ka Ebaadi Anni Fa Inni Qariboon Ojibo Daawatad Daa-e Eza Da-aa-ne Fadooka Ya Mojeebo Daawatil Muztarrin Wa Ya Kashefas Soo-e Anil Makroobina Wa Ya Ja-e-lal Laile Sakanan Wa Ya Man Ta Yamooto Iqfir Lemay Yamooto Qaddarta Wa Khalaqta Wa Savvaita Fa Lakal Hamdo At-Amta Wa Saqaita Wa Aavaita Wa Razaqta Fa-Lakal Hamdo As-Aloka An Tosalle Alaa Mohammediw Wa Aale Mohammedin Fil Laile Eza Yagsha Wa Finnahaare Eza Tajalla Wa Fil Aakherate Wal Oold Wa An Takfeyani Ma Aham Mani Wa Taqfera Li Innaka Antal Ghafoorur Rahime. 

O Allah, this is Your month in which You have ordered Your servants to supplicate You and You have guaranteed their acceptance and mercy and You have said: And when My servants ask you concerning Me, then surely I am very near; I answer the prayer of the suppliant when he calls on Me. And I accept it. Thus O one who hears the plaints of the restless and One who removes the grief of the aggrieved, and One who made the night as the time of repose, O one who does not die, forgive the one who is mortal. Only You have given the strength, only You have created. Only You have equated with joy and sorrow. Praise is for You only. You have nurtured and given refuge and given sustenance. Then praise is only for You. I ask You to bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.) in the night when it draws a veil and in the day when it shines in brightness and in the hereafter and the former and be sufficient for me and forgive me, because only You are the most forgiving. Indeed You are the forgiving and merciful.

Baare ilaahaa Ye Teraa Aisaa Mahinaa Hai Ki Tune Isme Apne Bando Ko Duaa Karne Kaa Hukma Diyaa Hai, Aur Inse Zamaanat Ki Hai Tune Uski Kubuliyat Aur Rehmat Ki, Aur Tune Irshaad Farmaayaa Ke Ay Rasool (s.a.w.w) ! Jab Mere Bande Aapse Mere Baare Me Sawaal Kare (To Keh Dijiye) Mai Unke Kareeb Hi Hu, Jab Unme Se Koi Mujse Duaa Maangtaa Hai To Mai Unki Duaa Ko Kubul Kartaa Hu. Pas Ay Becheno Ki Duaao Ko Kubul Karnewaale Aur Ay Pareshaa Haal Logoki Pareshaani Ko Dur Karnewaale Aur Ay Raatko Sukun Bakhsh Banaane Waale Aur Ay Wo Zaat Jiske Liye Maut Nahi Hai Uski Khataa Ko Bakhsh De Jiske Liye Maut Barhak Hai. Tuhine Kudrat Inaayat Ki, Tuhine Paidaa Kiyaa Aur Tune Dukh Sukh Se Durust Kiyaa Hai. Pas Tere Hi Liye Har Taarif Zebaa Hai Tune Khilaayaa, Pilaayaa, Panaah Di, Rizk Diyaa Pas Tere Hi Liye Har Taarif Hai. Mai Tujse Sawaal Kartaa Hu Ki Mohammad (s.a.w.w) Aur Aale Mohammad (s.a.w.w) Par Rehmat Naazil Kar, Raatki Taarikiyo Me Aur Dinke Ujaalo Me Ibtedaa Me Aur Intehaa Me Aur Meri Tamaam Mohimmaat (Aam Kaamo) Me Meri Kifaayat Kar Aur Muje Afaw Farmaa, Beshak Tuhi Badaa Bakshnewaalaa Aur Rahem Karnewaalaa Hai. 
★✩★✩★✩★✩★✩
9. DUA OF THE 9TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Ya Sayyadaaho Ya Rabbaho Ya Zel Jalale Val Ikrame Yazal Arshil La-zi La Yanoma Wa Ya Zal Izzeel La-zi La Yoramo Ya Qazayal Omure Ya Shafeyas Sodure Ij-Al-Ly Min Amri Farajan Wa Makhrajan Vaqzif Rajaa-a-ka Fe Qalbi Hatta La Arjoo Ahadan Sevaka Alaika Sayyedi Tawakkalto Wa Elaykal Mavlaya Anabto Wa Elaykal Masiro As-Aloka Elahal Aalehate Wa Ya Jabbaral Jabbaberate Wa Ya Kabiral Akaaberal La-Zy Man Tawakkala Alayhe Kafaho Wa Kaana Hasbohu Wa Baalego Amrehi Alayka Tawakkalto Fakfeni Wa Elayka Anabto Farhamni Wa Elaykal Masiro Fagfirli Wa Laa Tosavvid Vajhi Yarma Taswaddo Vojuhun Wa Tabyazzo Vojuhun Innaka Antal Azizul Hakeemo Var Hamni Wa Tajavaz Anni Innaka Antal Gafoorur Rahime.

O Chief, O Lord, O one with majesty and nobility. O the owner of the throne who is not smitten by sleep and O the powerful one who cannot be reached. O the one who decides the affairs, O the curer of the sick hearts, give me ease in my affairs and put Your hopes in my heart so that I do not repose hopes in anyone else. My Chief, I rely upon You alone and to You alone I refer and the return is to You alone. I ask You O the deity of all deities and the most forceful of the forceful ones and the greatest of the great. O one who is such that if one relies on You, You suffice him. And one who is sufficient for one who relies on Him. And who completes His affairs. I have relied on You alone, O Allah, suffice me. And I have referred to You only; so have mercy on me. And the return is to You alone, so forgive my sins on the day when some faces will be dark. Indeed You are Powerful and Wise. O Allah, bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.) and have mercy on me and overlook my faults. Indeed You are the forgiving and merciful.

Ay Aaqaa, Ay Parwardigaar, Ay Saahebe Jalaalat Aur Buzurgi, Ay Wo Saahebe Arsh, Ki Jisko Kabhi Nind Nahi Aati Aur Ay Aisi Izzat Ke Maalik Jiskaa Kasd Nahi Kiyaa Jaa Saktaa. Ay Omur Ke Anjaam Denewaale, Ay Bimaaro Ko Shafaa Denewaale, Mere Omur Me Tu Kushaadgi Ataa Kar Aur Tu Apni Ummido Ko Mere Qalb Me Daal De Taaki Tere Siwaa Kisi Aurse Mai Ummid Naa Baandhu. Ay Mere Aaqaa Tujpar Hi Mai Bharosaa Kartaa Hu Aur Teri Hi Taraf Ruju Kartaa Hu. Aur Teri Taraf Baazgasht Hai, Mai Sawaal Kartaa Hu Tujse Ay Tamaam Maabudo Ke Maabud Aur Ay Zabardasto Ke Zabardast Aur Ay Sab Bado Ke Bade, Ay Aise Ke Jo Uspar Tawakkal Kare To Uski Kifaayat Kare Aur Jo Tawakkal Karnewaalo Ke Liye Kaafi Ho, Aur Uske Omur Kaa Anjaam Dilwaade, Maine Tujhi Par Tawakkal Kiyaa Ay Khudaa Pas Meri Kifaayat Kar, Aur Teri Taraf Raju Kiyaa, Pas Rahem Kar Mujpar Aur Teri Hi Taraf Baazgasht Hai, Pas Bakhsh De Mere Gunaah Ko Aur Oos Roz Ki Jis Roz Kuchh Siyaah Honge Aur Kuchh Safed Honge. Meraa Chehraa Siyaah Naa Karnaa Yakinan Tu To Saahebe Izzat Aur Hikmat Hai. Khudaawandaa ! Rehmat Naazil Kar H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Unki Aal Par Aur Rahem Kar Mujpar Aur Darguzar Farmaa Mujse, Yakinan Tu To Bakhshne Waalaa Aur Rahim Hai.
★✩★✩★✩★✩★✩
10. DUA OF THE 10TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Allahumma Yaa Salaamo Yaa Mo'ameno Yaa Mohaymeno Yaa Jabbaaro Yaa Motakabbero Yaa Ahado Yaa Farado Yaa Gafooro Yaa Raheemo Yaa Wadudo Yaa Halimo Mazaa Menash Shahreel Mobaarakis Soloso Wa Lasto Adri Sayyedi Maa Sana'at Fi Haajati Hal Gafartali In Anta Gafartali Fatubaali Wa illam Takun Gafartali Fawaa Saw Ataaho Famenal Aane Sayyedi Fagfirli Warhamni Watub Alayya Walaa Takhzulni Wa Aqleni Asrati Wasturni Be Sitreka Wa'afo Anni Be Afweka Wa Tajaawaz Anni Be Qudrateka Innaka Taqzi Walaa Yuqzaa Alayka Wa Anta Alaa Kulle Shayin Qadeer.

O the one who gives security; 
O the one who gives peace. 
O the one who protects, 
O the one who is powerful, 
O the one who is proud. 
O the One, 
O the needless, 
O single, 
O Unique, 
O forgiving, 
O merciful, 
O the one who loves, 
O the forbearing, one third part of this blessed month has passed away but I don’t know what decision You have taken about the fulfillment of my needs. 

*Have You forgiven me?* 

If You have forgiven my sins, I am blessed and if You have not forgiven my sins, O woe be to my wretchedness. So at this time, O my Chief, forgive my sins and have mercy on me and accept my Taubah and do not refrain from helping me and save me from my mistakes and hide my defects by your covering and through Your quality of forgiving the mistakes remit my sins and overlook my faults through Your power. Indeed You the one who issues the judgment and You are not bound by the judgment of anyone else and You are having power over everything.

Khudaawandaa ! Ay Salaamati Denewaale, Ay Amn Denewaale, Ay Hifaazat Karnewaale, Ay Zabardast, Ay Badaaiwaale, Ay Yagaanaa (Akele), Ay Beniyaaz, Ay 1, Ay Tanhaa, Ay Bakhshnewaale, Ay Rahem Karnewaale, Ay Mohabbat Karnewaale, Ay Burdbaar, Is Maahe Mubaarak Me Se 1 Tihaai Hissaa Rukhsat Ho Gayaa Magar Mai Ye Nahi Jaantaa Ki Ay Mere Aaqaa Aakhir Meri Talabe Haajat Ke Baare Me Tune Kyaa Faislaa Kiyaa ?

Aayaa Muje Bakhsh Diyaa ?

To Agar Mere Gunaah Bakhsh Diye Tune To Khush Haal Meraa Lekin Agar Tune Unko Nahi Bakhshaa To Haay ! Meri Badbakhti, Khair Is Waqt Ay Mere Aaqaa Bakhsh De Mere Gunaah Ko Aur Rahem Kar Mujpar Aur Kubul Kar Meri Taubaa Ko Aur Meri Madad Tark Naa Kar Aur Muje Meri Lagzisho Se Bachaa Le Aur Apni Pardaaposhi Se Mere Oyub Chhipaale Aur Apni Sifate Afwe Taksir Se (Gunaah Ko Maaf Karnaa) Mere Gunaah Ko Maaf Kar Aur Apni Kudrat Se Meri Khataao Se Darguzar Kar Aur Beshak Tuhi Hukm Detaa Hai (Yakinan Tuhi Faislaa Kartaa Hai) Aur Koi Tujpar Kisi Kisam Kaa Hukm Nahi Lagaa Saktaa Aur Tu Har Chiz Par Kudrat Rakhtaa Hai.
★✩★✩★✩★✩★✩
11. DUA OF THE 11TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Allahumma Inni Astaaneful Amal Wa Arjul Afaw Wa Haazehi Awwalo Laylatin Mil Layaaleyas Sulasayne Ad'uka Be Asmaaekal Husnaa Wa Astajeero Beka Min Naarekal Lati Laa Tutfeo Wa As'aloka An Toqawweni Alaa Qeyaamehi Wa Seyaamehi Wa An Tagferali Wa Tarhamni Innaka Laa Tukhleful Miaad Allahumma Be Rahematekal Lati Wase'at Kulla Shayin Totimmus Saalehaate Wa Alayhaa Ittakalto Wa Antas Samadul Lazi Lamyaleed Walam Yulad Walam Yakullahu Kofowan Ahad Salle Alaa Mohammadiw Wa Aale Mohammadin Wagfirli Warhamni Wa Tajaawaz Anni Innaka Antat Tawwaabur Rahim.

O Allah, indeed I am directing my attention to good deeds once again and I wish to be excused for my shortcoming. 

This is the first night of the remaining twenty days of this month.

In it I supplicate You through Your beautiful names and I seek refuge from Your never extinguishing fire (Hell).
And I beg You to give me the strength to fast and pray in this month.

_Forgive me and have mercy on me._ 

Indeed you do not break Your promise.
O Allah, You encompass the things through Your mercy. You take to completion the good deeds. I rely upon only this mercy of Yours. You are needless. One who neither begets nor is He begotten and there is none like Him. Bless Muhammad and Aale Muhammad and forgive me and have mercy on me and overlook my faults. Indeed You are the one who accepts repentance and one who is merciful.

Baare ilaahaa ! Mai Amale Khair Ki Taraf Dobaaraa Mutawajjeh Hotaa Hu, Aur (Taksir Ke Liye) Ujkhaah Hu, Ye Raat Ramdhaan Ki Baqiyaa 2 Tihaai Raato Me Ki Pehli Raat Hai, Isme Mai Tujse Tere Asmaae Husnaa Ke Waaste Se Duaa Kartaa Hu, Aur Teri Naa Buznewaali Aatish (Jahannum) Se Panaah Chaahtaa Hu, Aur Tujse Sawaal Kartaa Hu Ki Maahe Seyaam Ke Rozo Aur Namaazo Ki Kuwwat Anaayat Farmaa Aur Muje Bakhsh De, Aur Mujpar Rahem Farmaa. Yakinan Tu Waadaa Khilaafi Nahi Kartaa. Baare ilaahaa Tu Apni Oos Rehmat Ke Sabab Se Jo Tamaam Chizo Ko Ghere Huwe Hai, Nek Omur Ki Takmil Tak Pahuchaataa Hai, Mai Isi Teri Rehmat Par Bharosaa Kartaa Hu Tu Wo Beniyaaz Hai Ki Jiske Liye Naa Koi Farzand, Naa Baap Aur Naa Koi Uskaa Hamsar Hai. (Ay Allah) Rehmat Naazil Kar H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Aale Mohammad (s.a.w.w) Par, Aur Muje Bakhsh De, Mujpar Rahem Farmaa, Mujse Darguzar Kar Kyuki Tuhi Badaa Tawbaa Kaa Kubul Karnewaalaa Maherbaan Hai.
★✩★✩★✩★✩★✩
12. DUA OF THE 12TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Allahumma Antal Aliyyul Azimo Lakal Hamdo Hamday Yabqaa Walaa Yafnaa Wa Antal Hayyul Haleemo As'aloka Be Noore Wajhekal Kareeme Wa Be Jalaale Wajhekal Lazi Laa Yoraamo Wa Be Izzatekal Lati Laa Tuqhero Anto Salle Alaa Mohammadiw Wa Aale Mohammadin Antagferali Wa Tarhamni Innaka Anta Arhamur Raahemeen.

O Allah, You are the High and the Great. Praise is only for You; such a praise which will never be destroyed. And You are the living, the forbearing. I beg You for the sake of the effulgence of Your noble face and for the sake of the majesty of Your face which is unreachable and Your power which cannot be suppressed that You bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.) and that You forgive me and have mercy on me and overlook my mistakes. Indeed You are the forgiving and merciful. 

Khudaayaa ! Tuhi Baland Aur Bartar Hai, Tere Hi Liye Aisi Hamdo Sataaish Sazaawaar Hai Jo Kabhi Bhi Fanaa Nahi Hogi, Balki Hameshaa Baaki Rehnewaali Hai Aur Tuhi Zindaa Aur Burdbaar Hai, Mai Tujse Teri Buzurg Martabaa Zaatki Nuraaniyat Wa Jalaalat Ke Sahaare Se Wo Jalaalat Ke Jiskaa Kasd Nahi Kiyaa Jaa Saktaa Aur Tere Oos Galba O Iqtedaar Ke Zariye Se Ki Jo Maglub Nahi Ho Saktaa. Sawaal Kartaa Hu Ki H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Unki Aal Par Rehmat Naazil Kar Aur Mere Gunaah Bakhsh De, Aur Mujpar Rahem Kar, Yakinan Tu Tamaam Rahem Karnewaalo Me Sabse Zyaadaa Raheem Hai.
★✩★✩★✩★✩★✩
13. DUA OF THE 13TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Yaa Jabbaaras Samaawaate Wa Jabbaaral Arzin Wayaa Mal Lahu Malakutus Samaawaate Wa Malakutul Arzeen Wa Gaffaaraz Zonube Was Samiul Alimul Gafurul Halimur Rahimus Samadul Faradul Lazi Laa Shabiha Laka Walaa Waliyya Laka Antal Aliyyul A'alaa Wal Qadirul Qaadero Wa Antat Tawwaabur Rahimo As'aloka An Tosalle Alaa Mohammadiw Wa Aalehi Wa Antagferali Wa Tarahamni Innaka Anta Arhamur Raahemeen.

O the powerful one of the heavens and the powerful of the earths and one for whom is the kingdom of the heavens and the kingdom of the earths and the one who forgives the sins and the Hearing the knowing the forgiving the forbearing the merciful the needless the unique who has no likeness and no one is having authority on You. You are the Highest of the High and the most powerful of the powerful. And you are the one who accepts repentance and one who is merciful. I beg You to bless Muhammad and his progeny. And that You forgive me and have mercy on me. Indeed You are the most merciful of the merciful ones.  

Ay Aasmaano Par Tasallut Aur Zamino Par Iqtedaar Rakhnewaale, Ay Wo Zaat Ki Jiske Kabze Me Aasmaano Aur Zamino Ki Hukmaraani Hai Tu Gunaaho Kaa Bakhshnewaalaa Aur Bahut Sunnewaalaa, Bahut Waakif, Badaa Bakshnewaalaa, Burdbaar, Rahim, Beniyaaz Aur Tanhaa Hai. Tu Aisaa Hai Ki Teraa Koi Shabih Nahi Hai, Aur Naa Kisiko Haqqe Wilaayat Aur Hukumat Tujpar Haasil Hai, Tuhi Balando Bartar Aur Baa Iqtedaaro Qaadir Hai, Aur Tuhi Tawbaa Kubul Karnewaalaa Maherbaan Hai. Mai Sawaal Kartaa Hu Tujse Ki H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Unki Aal Par Rehmat Naazil Kar Aur Mere Gunaah Bakhsh De Aur Mujpar Rahem Kar Yakinan Tu Tamaam Rahem Karnewaalo Me Sabse Zyaadaa Raheem Hai.
★✩★✩★✩★✩★✩
14. DUA OF THE 14TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Yaa Waliyyal Awleyaaa'e Wa Jabbaaral Jabaaberate Wayaa Alaahal Awwaleen Anta Khalaqtani Walam Ako Shay'aw Wa Anta Amartani Bittaa'ate Wa Ata'a To Sayyedi Be Qadre Johadi Fain Kunto Tawaanayto Aw Akhtaato Awnasito Fa Tafazzal Alayya Sayyedi Walaa Taqta'a Rajaai Famnun Alayya Bir Rahmate Wajma'a Bayni Wa Bayna Nabiyyir Rahmate Mohammadibne Abdillaahe Sallalaaho Alayhe Wa Aalehi Wagfirli Innaka Antat Tawwaabur Rahim.

O the helper of all the Awliya, 
O one who is most powerful of the powerful ones, 
O the God of the formers, 
You have created me whereas I was nothing and You ordered me obedience and I also my Chief, obeyed You according to my capacity. Thus if there had been some sloth or forgetfulness in Your obedience, have mercy on me and do not cut off my hopes that I have reposed in Thee, my Chief. Bless me with Your mercy and join me with the Prophet of mercy, Muhammad bin Abdullah, may Allah bless him and his progeny and forgive me. And you are the one who accepts repentance and one who is merciful. 

Ay Tamaam Awliyaa Ke Naasiro Madadgaar, Ay Tamaam Zabardasto Se Zyaadaa Zabardast, Ay Tamaam Guzastaa Logoke Khudaa Tune Muje Khalk Kiyaa. Haalaaki Mai Kuchh Bhi Nahi Thaa. Tuhine Muje Apni Itaa'at Karne Kaa Hukm Diyaa To Maine Bhi Ba Kadar Apni Bardaasht Ke Ay Mere Aaqaa Teri Itaa'at Ki. Pas Agar Teri Itaa'at Me Meri Taraf Se Kuchh Susti Yaa Galti Ho Gai To Ay Mere Aaqaa Tu Mujpar Apnaa Fazal Kar Aur Mujpar Apni Rehmat Se Ahsaan Kar Aur Meri Oon Ummido Ko Jo Tujse Waabastaa Hai Qat'a Naa Kar Aur Mujko Aur Nabie Rehmat H. Mohammad Ibne Abdillaah (s.a.w.w) Ko Yakzaa Karde (Muje Jannat Me Manzile Rasool (s.a.w.w) Hai Wahaa Pahuchaa De) Aur Mere Gunaah Ko Bakhsh De. Yakinan Tu To Gunaaho Kaa Maaf Karnewaalaa Aur Raheem Hai.

No comments:

Post a Comment