Saturday, 25 June 2016

Mahe Ramazan Shab Duas (15 to 30)

★✩★✩★✩★✩★✩
15. DUA OF THE 15TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Al Hannaano Anta Sayyedil Mannaano Anta Mawlaayal Karimo Anta Sayyedil Gafuro Anta Mawlaayal Halimo Anta Sayyedil Wahhaabo Anta Mawlaayal Azizo Anta Sayyedil Karibo Anta Mawlaayal Waahedo Anta Sayyedil Qaahero Anta Mawlaayas Samado Anta Sayyedil Azizo Anta Mawlaaya Salle Alaa Mohammadiw Wa Aalehi Wagfirli Warhamni Wa Tajaawaz Anni Innaka Antal Ajallul A'azamo.

O my Chief, You are the one who is truly merciful.
O my master, You are the one who bestows gifts.
O my Chief, You are the noble.
O my master, You are forgiving.
O my Chief ,You are the forbearing.
O my master, You are the giver.
O my Chief, You are the powerful.
O my master, You are the Near.
O my Chief, You are the One.
O my master, You are the forceful.
O my Chief, You are the needless.
O my master, You are the powerful.
Bless Muhammad and his progeny, forgive me and have mercy on me and overlook my mistakes. Indeed You are the most majestic and the most great.

Ay Mere Aaqaa Tuhi Haqiki Maherbaan Hai. Ay Mere Mawlaa Tuhi Ahsaan Karnewaalaa Hai. Ay Mere Aaqaa Tuhi Karim Hai. Ay Mere Mawlaa Tuhi Bakhshnewaalaa Hai. Ay Mere Aaqaa Tuhi Burdbaar Hai. Ay Mere Mawlaa Tuhi Bahot Ataa Karnewaalaa Hai. Ay Aaqaa Tuhi Izzatwaalaa Hai. Ay Mere Aaqaa Tuhi Nazdik Hai Ay Mere Aaqaa Bas Tuhi Yaktaa Hai. Ay Mere Mawlaa Tuhi Gaalib Hai. Ay Mere Aaqaa Tuhi Beniyaaz Hai. Ay Mere Mawlaa Tuhi Izzatdaar Hai. H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Aale Mohammad (s.a.w.w) Par Rehmat Naazil Farmaa Aur Muje Darguzar Farmaa. Tuhi Sabse Buzurg Aur Azeem Hai.
★✩★✩★✩★✩★✩
16. DUA OF THE 16TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Yaa Allaaho (8 Martabaa),
Yaa Rahmaano (8 Martabaa),
Yaa Rahimo (8 Martabaa),
Yaa Gafuro (8 Martabaa),
Yaa Raoofo (8 Martabaa),
Yaa Hannaano (8 Martabaa),
Yaa Aliyyo (8 Martabaa).
Salle Alaa Mohammadiw Wa Aale Mohammadin Wagfirli Innaka Antal Gafurur Raheem.

O Allah, O Allah, O Allah, O Allah, O Allah, O Allah, OAllah, O Allah.

O Beneficent, O Beneficent, O Beneficent, O Beneficent, O Beneficent, O Beneficent,
O Beneficent, O Beneficent.

O Merciful, O Merciful, O Merciful,
O Merciful, O Merciful, O Merciful,
O Merciful, O Merciful.

O Forgiving, O Forgiving, O Forgiving,
O Forgiving, O Forgiving, O Forgiving,
O Forgiving, O Forgiving.

O Kind, O Kind, O Kind,  O Kind, O Kind, O Kind, O Kind, O Kind.

O Most Favoring, O Most Favoring,
O Most Favoring, O Most Favoring,
O Most Favoring, O Most Favoring,
O Most Favoring, O Most Favoring.

O High, O High, O High, O High, O High,
O High, O High, O High.
Bless Muhammad and his
progeny, forgive me; indeed You are the forgiving and merciful.

Ay Allah (8 Martabaa),
Ay Fazal Pahochaane Waale
(8 Martabaa),
Ay Maherbaan (8 Martabaa),
Ay Bahut Bakhshnewaale (8 Martabaa),
Ay Narmi Karnewaale (8 Martabaa),
Ay Maherbaani Karnewaale (8 Martabaa),
Ay Bulando Bartar (8 Martabaa)
Mohammad (s.a.w.a) Wa Aale Mohammad (s.a.w.a) Par Rehmat Naazil Farmaa Aur Muje Bakhsh De.
Tu Badaa Bakshnewaalaa Maherbaan Hai.
★✩★✩★✩★✩★✩
17. DUA OF THE 157TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Allahumma Haazaa Shahro Ramzaanal Lazi Anzalta Fihil Quraan Wa Amarta Be Amaaratil Masaajede Fihe Wad Doaae Was Seyaame Wal Qeyaame Wa Zaminta Lanaa Fihil Ajaabate Faqad Ijtahadanaa Wa Anta A'antanaa Fagfirlanaa Fihe Walaa Taj'alho Aakheral Ahade Minnaa Wa'afo Annaa Fainnakaa Rabbonaa Warhamnaa Fa Innaka Sayyedonaa Waj'alnaa Mim Mai Yanqalebo Alaa Magferateka Wa Rizwaaneka Fa Innaka Antal Ajallul A'azamo.

O Allah, this is the month of Ramazan, in which You have revealed the Quran and ordered the building of Masjids. And ordered supplication and fasting and prayers and guaranteed to us their acceptance. So we also struggled as per our ability and You also helped us. So forgive us in it and do not make it to be our last Ramazan and forgive us. Indeed You are our Lord; have mercy on us. Indeed You are our Chief and make us of those who are going to   turn to Your forgiveness and pleasure. Indeed You are the most majestic and the greatest.

Baare ilaahaa Ye Ramzaan Kaa Mahinaa Hai Jisme Tune Quraan Naazil Kiyaa Aur Tune Is Maah Me Aabaadie Masaajid Aur Duaao Aur Rozo Aur Namaazo Kaa Hukm Diyaa Aur Tune Kabuliyate Duaa Ki Zamaanat Ki. (Is Maahme) To Hamne Bhi Baa Kadre Imkaan Koshish Ki Aur Tune Hamaari A'aanat Farmaai. Pas Bakhsh De Is Mahine Me Hamaare Gunaah Ko Aur Is Ramzaan Ko Hamaari Zindagi Kaa Aakhri Ramzaan Naa Karaar Denaa. Bakhsh De Hamaari Khataao Ko Yakinan Tuhi Hamaaraa Parwardigaar Hai. Rahem Kar Hampar Yakinan Tuhi Hamaaraa Aaqaa Hai. Aur Hamko In Logo Me Se Karaar De Ke Jo Teri Khushnudi Aur Magferat Ki Taraf Palat Kar Jaanewaale Hai. Yakinan Tu To Baa Izzato Baa Azmat Hai.
★✩★✩★✩★✩★✩
18. DUA OF THE 18TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Alhamdo Lillaahil Lazi Akramnaa Be Shahrenaa Haazaa Wa Anzal Alaynaa Fihil Quraan Wa Arrafnaa Haqqahu Wal Hamdo Lillaahe Alal Basirate Fabe Noore Wajheka Yaa Alaahanaa Wa Alaah Aabaaenal Awwalin Urzuknaa Fihit Tawbata Walaa Takhzulnaa Walaa Tukhlef Zan'nanaa Beka Innaka Antal Jalilul Jabbaaro.

Praise be to Allah, Who honored us with this month who revealed in it the Holy Quran and made us recognize His right. And praise be to Allah, who gave the religious insight. Thus for the sake of the effulgence of Your face, O our God and the God of our foremost ancestors. Give us the Taufeeq for repentance in this month and do not leave us to our devices and do not act against the good expectation we have with regard to You. Indeed You the most majestic and the most powerful.

Hamd Hai Oos Allaah Ke Liye Jisne Hamko Is Mahine Ke Baais Buzurg Kiyaa Aur Is Mahine Me Hamaare Liye Quraan Naazil Kiyaa. Aur Hamko Iske (Is Mahine Ke Yaa Quraan Ke) Haqse Aagaah Kiyaa Aur Hamd Hai Allaah Ki Basirat Inaayat Farmaane Par. Pas Tuje Apni Zaat Ki Nooraaniyat Kaa Waastaa, Ay Hamaare Khudaa Aur Ay Hamaare Pehle Buzurgo Ke Khudaa, Hamko Tawbaa Ki Is Mahine Me Taufiq Inaayat Kar Aur Hamko Hamaare Haal Par Chhod Naa Denaa Aur Hamaare Is Husnezan Ke Jo Tere Saath Waabastaa Hai, Iske Khilaaf Naa Kar. Yakinan Tu To Zabardasto Jaleel Hai.
★✩★✩★✩★✩★✩
19. DUA OF THE 19TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Yaa Zallazi Kaana Qabla Kulle Shayin Summa Khalaq Kulla Shayin Summa Yabqaa Wa Yafnaa Kullo Shay'iy Yaa Zal'lazi Laysa Fis Samaawaatil Oolaa Walaafil Arzinas Suflaa Walaa Fawqahunna Walaa Baynahunna Walaa Tahtahunna Alaahuy Yu'a Bado Gayrohu Lakal Hamdo Hamdal Laa Yaqdero Alaa Ahsaaa Ahillaa Anta.

O One who was there before everything. Then He created everything. Then He will be there forever, whereas everything else will be destroyed. O one except whom there is no deity either in the high heavens or in the deep earths or upon them or in them or between them. Numerous praises are for You, whose counting only You can do and none else.

Ay Wo Jo Har Chiz Ke Pehle Mawjood Thaa. Fir Uske Tamaam Chizo Ko Paydaa Kiyaa. Fir Wohi Baaqi Rah Jaaegaa Aur Har Shay Fanaa Ho Jaaegi Ay Wo Khudaa Ke Jiske Alaawaa Naa To Buland Aasmaano Par Aur Naa To Past Zameeno Me Aur Naa Inke Upar Aur Naa Inke Darmiyaan Aur Naa Unke Niche Koi Bhi Khudaa Hai. Ke Jiski Ibaadat Ki Jaae. (Jo Laayake Ibaadat Ho) Tere Hi Liye Aisi Hamdo Sataaish Hai Ke Jiske Shumaar Par Siwaae Tere Aur Kisike Kudrat Nahi.
★✩★✩★✩★✩★✩
20. DUA OF THE 20TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Astagferullah Mimmaa Mazaa Min Zonubi Fanasi Toha Waheya Musabat'tun Alayya Yuhsihaa Alayyal Keraamul Kaatebun Maa Af'alo Wastagferullah Mim Mubeqaa Tiz Zonube Wastagferohu Mim Muqat'teaatiz Zonube Wastagferohu Mimmaa Faraza Alayya Fatawaanayto Wastagferohu Min Nisyaanish Shay'il Lazi Baa Adni Mir Rabbi Wastagferohu Menaz Zalaalate Waz Zalaalaate Wa Mimmaa Kasabat Yadiw Umim Behi Wa Atwaq'kalo Alayhe Kasiraw Wastagferohu
(8 Martabaa).

I seek the forgiveness of Allah for my past sins which I have forgotten but which still remain in my scroll of deeds, because the scribe angels compute everything we do. And
I seek the forgiveness of Allah for the deadly sins and I seek the forgiveness of Allah for the sins which are going to separate me from divine mercy.
I seek forgiveness for my sloth that I had in performing the duties obligatory on me.
I seek forgiveness for the forgotten sins that have made me distant from divine mercy.
I seek forgiveness for deviations and mistakes and in which sins I became involved on my own. I have faith only in Allah and I rely only upon Him fully.
I ask His forgiveness,
I seek His forgiveness,
I seek His forgiveness,
I seek His forgiveness,
I seek His forgiveness,
I seek His forgiveness,
I seek His forgiveness,
I seek His forgiveness.

Talabe Aamezish Kartaa Hu Khudaa Se Apne Oon Gunaaho Se Ke Jo Guzar Chuke Aur Mai Unko Bhul Bhi Chukaa, Haalaake Wo To Abtak Bainaa Hamaare Naamaae Aamaal Par Chade Huwe Hai, Aur Kyu Ke Hamaare Buzurg Kaatebine Aamaal Farishte Shumaar Kar Lete Hai, Jo Kuchh Bhi Ham Karte Rehte Hai. Talabe Aamezish Kartaa Hu Mohlak Gunaaho Se Aur Talabe Aamezish Kartaa Hu Apne Oon Gunaaho Se Jo (Muje Allah Ki Rehmat Se) Judaa Karnewaale Hai. Talabe Aamezish Kartaa Hu Mai Apni Oos Susti Aur Kaaheli Se Jo Tere Faraaeze Waajebaat Ke Bajaa Laane Me Hui Hai. Magferat Chaahtaa Hu Bhuli Bisri Baato Se Jinhone Muje Allah (Ki Rehmat) Se Dur Kar Diyaa Hai. Talabe Aamezish Kartaa Hu Lagzisho Aur Gumraahiyo Se Jin Gunaaho Me Apne Haatho Mubtelaa Huwaa Hu. Allah Hi Par Imaan Laataa Hu Aur Isi Par Puraa Puraa Bharosaa Kartaa Hu.
"Usise Magferat Talab Kartaa Hu.
(8 Martabaa).
★✩★✩★✩★✩★✩
21. DUA OF THE 21ST SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Ash'hado Al Laailaaha illal Laaho Wahdahu Laa Sharikalahu Wa Ash'hado Anna Mohammadan Abdohu Wa Rasooloh Wa Ash'hado Annal Jannat Haqqun Wan Naara Haqqun Wa Annas Saa'at Aateyatul Laa Rayba Fihaa Wa Annallah Yab'aso Man Fil Kobure Wa Ash'hado Annar Rabba Rabbi Laa Sharik Lahu Walaa Walad Lahu Walaa Waaleda Lahu Wa Ash'hado Annahu Al Fa'aalo Lemaa Yorido Wal Qaadero Alaa Kulle Shayin Qadeeruw Was Saaneo Lemaa Yorido Wal Qaahero Alaa Mai Yashaao Maalekul Mulke Wa Raazequl Abaadil Gafurur Rahimul Alimul Haleemo Ash'hado (7 Martabaa) Annaka Sayyedi Kazaaleka Wa Fawq Zaaleka Laa Yablogul Waasefun Kunha Azmateka Allahumma Salle Alaa Mohammadiw Wa Aale Mohammadin Wahdeni Walaa Tozil'lani Baa'ada Iz Hadaytani Innaka Antal Hadiyyul Mahdi.

I testify that there is no god, except Allah. The One without a partner. And I testify that Muhammad is His servant and His Messenger. And I testify that Paradise is truth and the Hell is truth, and that the Judgment Day is sure to come and there no doubt in it. And that Allah will raise those who are in the graves and I testify that my Lord is the Lord of the world. There is no partner for Him. He neither has an offspring nor a father. I testify that He does what He intends. And that He is powerful over everything. And the creator of all that He intends and the forceful on whatever He likes. He exalts whomsoever He likes. The King of the kingdom and the sustainer of the servants. The forgiving the merciful the knowing the forbearing.
I testify, I testify, I testify, I testify, I testify, I testify, I testify,
that You are my Chief You are such and higher than it and those who describe You cannot reach to Your greatness. O Allah, bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.) and do not lead me astray after You have guided me. Only You are the one who guides and who shows the path.

Mai Gawaahi Detaa Hu Ke Siwaae 1 Khudaa Ke Aur Koi Dusraa Khudaa Nahi Hai. Aur Naa Koi Iskaa Sharik Hai Aur Gawaahi Detaa Hu Ke H. Mohammad (s.a.w.w) Uske Bande Hai Aur Uske Paigambar Hai Aur Mai Jannat O Jahannum Ke Barhak Hone Ki Gawaahi Detaa Hu Aur Ye Ke Qayaamat Jaroor Aanewaali Hai. Isme Zarraa Baraabar Bhi Shako Subaah Nahi Hai Aur Ye Ke Khudaawande Aalam Ahle Kobur Ko Zaroor Uthaaegaa Aur Gawaahi Detaa Hu Ke Tamaam Aalam Kaa Paalnewaalaa Meraa Parwardigaar Hai Naa Iskaa Koi Sharik Hai Aur Naa Iski Koi Aulaad Hai Naa Iskaa Baap Hai. Aur Gawaahi Detaa Hu Ke Wo Jis Kaam Ke Karne Kaa Iraadaa Kartaa Hai Usko Kar Daaltaa Hai Aur Wo Saahebe Kudrat Har Chiz Par Kaadir Hai Aur Jo Chaahtaa Hai Banaa Daaltaa Hai Wo Jispar Chaahe Gaalib Hai Aur Buland Karnewaalaa Hai Jisko Chaahe. Wo Mulk Kaa Maalik Hai Aur Bando Kaa Raazik Hai, Wo Bakhshnewaalaa, Rahem Karnewaalaa, Jaannewaalaa Aur Hilmase Kaam Lenewaalaa Hai. Mai Gawaahi Detaa Hu (7 Martabaa) Yakinan Ay Aaqaa Tu Aisaa Hi Hai Usse Bhi Kai Buland. Teraa Wasf5 Bayaan Karnewaale Teri Azmat Ki Haqikat Tak Pahoch Hi Nahi Sakte. Baare ilaahaa H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Unki Aal Par Rehmat Naazil Farmaa Aur Meri Hidaayat Karne Ke Baad Muje Gumraah Naa Karnaa Yakinan Tu Hi Hidaayat Karnewaalaa Rehnumaa Hai.

★✩★✩★✩★✩★✩
22. DUA OF THE 22ND SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Yaa Zaharal Laajeen Salle Alaa Mohammadiw Wa Aale Mohammadiw Wa Kul Li Hisnaw Wa Hir Zayyaa Kahfal Mustajeerin Salle Alaa Mohammadiw Wa Aale Mohammadiw Wa Kul Li Kahfan Wa Azodaw Wa Naaseran Wa Yaa Geyaasal Mustagiseen Salle Alaa Mohammadiw Wa Aale Mohammadiw Kul Li Geyaasaw Wa Mojiray Yaa Waliyyal Moa'meneen Salle Alaa Mohammadiw Wa Aale Mohammad Wa Kul Li Waliyya Yaa Mojeer Gosasil Moa'meneen Salle Alaa Mohammadiw Wa Aale Mohammadiw Wa Ajeer Gussati Wa Naffis Hammi Was'idni Fi Haazash Shahreel Mobaarakil Azime Sa'aadatal'laa Ashqaa Ba'adahaa Yaa Arhamar Raahemeen.

O the Helper of those who seek refuge,
bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.). And be for me a fort of protection O the refuge of those who seek refuge,
bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.) and be for me a refuge, a support and help, O the one who listens to the entreaties of those who call,
bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.). And be for me a refuge and a protection, O the guardian of the believers and
bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.). And be a guardian for me, O One who removes the worries of the believers; bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.). Remove my distress and cure my sorrow and give me such felicity in this blessed month that after that I never incline to evil. O the most merciful of the merciful ones.

Ay Panaah Chaahnewaalo Ke Madadgaar, H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Unki Aal Par Rehmat Naazil Kar, Aur Tu Mere Liye Qilaa Aur Hifaazat Ban Jaa, Ay Panaah Khwaaho Ki Jaae Panaah H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Unki Aal Par Rehmat Naazil Kar, Aur Tu Mere Liye Jaae Panaah Aur Kuwwat Baaz Aur Moino Madadgaar Ho Jaa. Ay Fariyaadyo Ke Fariyaad Ras H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Unki Aal Par Rehmat Naazil Kar. Aur Tu Meraa Fariyaad Ras Aur Panaah Denewaalaa Ho Jaa. Ay Moa'meneen Ke Wali Aur Dost Rehmat Naazil Kar H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Unki Aal Par Aur Tu Meraa Madadgaar Ho Jaa. Ay Mo'amino Ki Tangi a Dil Aur Ulzano Ko Dur Karnewaale H. Mohammad (s.a.w.w) Par Aur Unki Aal Par Rehmat Naazil Kar Aur Mere Ranj Dur Kar Aur Mere Gamko Sukun De Aur Muje Is Buzurg Aur Baa Barkat Mahine Me Aisi Sa'aadat Ataa Kar Ke Fir Iske Baad Kabhi Bhi Shaki Naa Banu. Ay Rahem Karnewaalo Me Sabse Zyaadaa Rahem Karnewaale.

★✩★✩★✩★✩★✩
23. DUA OF THE 23RD SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Allahummaj Alni Min Awfare Abaadeka Nasibam Min Kulle Khayrin Anzaltahu Fi Haazehil Laylate Aw Anta Munzelohu Min Noorin Tahtadi Behi Aw Rahmateen Tanshorohaa Aw Rizqin Taksemohu Aw Balaain Tad'faohu Aw Zurrin Tak'shefohu Waktubli Maa Katabta Le Awleyaa'akas Saalehinal Lazinas Tawjabu Minkas Sawaab Wa Aamanu Be Rezaak Anhum Minkal Eqaab Yaa Karimo Yaa Karimo Salle Alaa Mohammadiw Wa Aale Mohammadin Waf'al Bi Zaaleka Be Rahmateka Yaa Arhamar Raahemin.

O Allah, include me also among those of Your servants whom You have bestowed all goodness in this night. And whatever is going to be revealed on this night, whether it be the light of guidance through which You have guided those who have gone astray or it be the peace of mercy which You are going to spread or that sustenance which You are going to distribute. Or that which is going to remove some sorrow or grief. Thus you bless us with all of them and write for us the same that You have written for those who have become eligible for Your rewards. Those who have achieved Your pleasure and as a result of which they have become safe from Your fury. O the most noble, O the most noble, bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.) and do this for us, O the most merciful of the merciful ones.

Khudaawandaa Tu Mujko Bhi Apne Bando Me Se Karaar De Ke Jinko Tune Is Shab Me Apni Naazil Kardaa Har Khairo Behtaraai Se Puri Tarah Behraamand Kiyaa Hai Aur Is Shab Jo Kuchh Bhi Naazil Karnewaalaa Ho Khwaah Wo Noore Hidaayat Ho Ke Jiske Zariye Se Tu Bhatke Huwo Ki Hidaayat Kar Chukaa Yaa Wo Daamane Rehmat Ho Ke Jisko Tu Failaanewaalaa Ho Yaa Rizq Ho Jisko Tu Baatnewaalaa Hai Yaa Kisi Balaako Dafaa Karne Yaa Ranjo Gam Ko Dur Karnewaalaa Hai Garaz Ke In Sabse Hamko Behraamand Kar Aur Hamaare Liye Bhi Wo Baate Tehrir Karde Ke Jo Tune Apne Nekokaar Aise Dosto Ke Liye Tehrir Ki Hai Ke Jo Teri Taraf Se Sawaab Kaa Mustahak Ho Chuke Aur Jo Teri Khushnudi Ke Baais Tere A'taabo A'kaab Se Mehfuz Ho Gaye. Ay Saahebe Karam H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Aale Mohammad (s.a.w.w) Par Rehmat Naazil Farmaa Aur Apni Rehmat Se Ay Rahem Karnewaalo Me Sabse Rahim Hamaare Liye Bhi Yehi Tajwiz Kar.

★✩★✩★✩★✩★✩
24. DUA OF THE 24TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Allahumma Anta Amarta Bid Duaae Wa Zamintal Ajaabata Fa Da'awanaak Wa Nahno Ebaadoka Wa Banu Emaa'eka Nawaasinaa Be Yadeka Wa Anta Rabbonaa Wa Nahno Ebaadoka Walam Yas'alil Ebaado Mislaka Wa Nargabo Alayka Walam Yargabil Khalaaeqo Alaa Misleka Yaa Mawze'a Wa Shakwas Saaeleena Wa Muntaha Haajateer Raagebin Yaa Zal Jabrute Wal Malakute Wa Yaa Zas Sultaane Wal Izze Yaa Hayyo Yaa Qayyumo Yaa Baarro Yaa Rahimo Yaa Hannaano Yaa Mannaano Yaa Badias Samaawaate Wal Arze Yaa Zal Jalaale Wal Ikraame Yaa Zanne'ame Wat Tawlil Lazi Laa Yoraamo Salle Alaa Mohammadiw Wa Aale Mohammadiw Wagfeerli Innaka Antal Gafurur Rahim.

O Allah, You have ordered us to supplicate You and You have guaranteed its acceptance. Thus we have supplicated You and we are Your servants and the sons of Your servants and we are in Your control. And you are our Lord and we are Your servants. No man has asked from anything which is like You, because You are incomparable. And we have reposed hopes only in You and the creatures never turn to anyone who is like You, because there is no one like You. O the place where those who are in need complain. And the last station of those who become attentive. O the owner of the power and dominance, O the owner of force and greatness. O the  living and the everlasting, O one who does good and one who is merciful. O the most favoring and the most generous. O the creator of the heavens and the earth. O the owner of majesty and nobility. And O the giver of bounties and favors; One who cannot be reached. Bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.) and have mercy on me. Indeed You are the forgiving and merciful.
Baare ilaahaa Tune Dua Maangne Kaa Hukm Diyaa Aur Ise Kabul Karne Ki Zamaanat Ki Pas Hamne Tujse Dua Ki Aur Ham Log To Tere Bande Hai Aur Tere Hi Bando Ke Farzand Hai Aur Tere Hi Kabza'e Kudrat Me Hai Tuhi Hamaaraa Parwardigaar Hai Aur Ham Sab Tere Naachiz Gulaam Hai Kisi Insaan Ne Aisi Zaat Se Sawaal Nahi Kiyaa. Jo Tujse Milti Julti Ho (Kyu Ke Tu Bemislo Be Nazir Hai) Aur Hamto Tujhise Law Lagaate Hai Aur Kabhi Makhlukaat Kisi Aise Ki Taraf Tawajjoh Nahi Karti Jo Teraa Misl Ho (Is Liye Ke Teraa Koi Misl Hai Hi Nahi) Ay Saahebaane Haajat Ki Shiqwaa Karne Ki Jagah Aur Ay Tawajjoh Karnewaalo Ki Aakhri Manzil, Ay Saahebe Buzurgi Wa Iqtedaar, Ay Saahebe Galbaao Izzat, Ay Zindaa, Ay Qaaem Rehnewaale, Ay Neki Karnewaale, Ay Rahem Karnewaale Maherbaan Ay Ahsaan Karnewaale, Ay Aasmaano Aur Zamino Ki Ijaad Karnewaale, Ay Saahebe Izzato Sharaf Ay Aisi Nemat Aur Satwat Ke Maalik Jinkaa Kasd Na Kiyaa Jaa Sake, H. Mohammad  (s.a.w.w) Aur Aale Mohammad  (s.a.w.w) Par Rehmat Naazil Farmaa Aur Mere Gunaah Maaf Karde Yakinan Tu To Badaahi Bakhshnewaalaa Aur Rahim Hai.

★✩★✩★✩★✩★✩
25. DUA OF THE 25TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Tabaarakal Laaho Ahsanool Khaaleqin Khaalequl Khalqe Wa Munsheus Sehaabe Wa Aamerur Ra'ade Ai Yosabbeh Lahu Wa Tabaarakal Lazi Be Yadehil Mulko Wahowa Alaa Kulle Shayin Qadeer Allazi Khalakal Mawta Wal Hayaat Leyab Lowakum Ayyokum Ahsano Amalaa Tabaarakal Lazi Naz'zalal Furqaana Alaa Abdehi Leyakun Lil Aalameena Naziraa Tabaarakal Lazi Inshaa'a Ja'al Laka Khayram Min Zaaleka Jannaateen Tajri Min Tahtehal Anhaaro Wa Yaj'alo Laka Qosuraa Tabaarakal Laaho Ahsanul Khaaleqin.

Blessed is Allah, the best of the creators. The creator of the creatures and the shaper of the clouds; one who orders the thunder to praise Him and blessed is one in whose hands is the Kingdom and who is powerful over everything. The one who created death and life, so that He may test you which of you perform the best deeds. Blessed is the one who revealed the Criterion upon His servant so that it be a warner to the worlds. Blessed is one who can give us gardens better than these, in which streams flow and He make for you palaces. Blessed is Allah the best of the creators.

Badaahi Barkatwaalaa Hai Wo Khudaa Ke Jo Sabse Achchhaa Khaaliq Hai, Tamaam Makhlooq Kaa Paidaa Karnewaalaa Hai. Baadalo Aur Ghtaao Kaa Uthaane Waalaa Hai Garaj Aur Ra'ad Ko Hukm Dene Waalaa Hai Ke Iski Tasbih Karte Rahe. Barkatwaali Zaat Uski Hai Ke Jiske Kabzae Kudrat Me Saare Jahaaki Hukumat Hai Aur Wo Har Chiz Par Kudrat Rakhtaa Hai, Wo Ke Jisne Maut Aur Zindagi Ko Isliye Paidaa Kiyaa Hai Taake Tumhaari Aazmaaish Kare Ke Tumme Azrooe Amalo Kirdaar Kaun Sabse Achchhaa Hai, Barkat Waalaa Hai Wo Ke Jisne Apne Bando Par Haqko Baatil Me Tamiz Karnewaalaa Quraan Naazil Kiyaa Taake Wo Tamaam Aalam Ke Liye Daraane Waalaa (Khaufe Khudaa Dilme Paidaa Karnewaalaa) Saabit Ho, Barkatwaalaa Hai Wo Ke Agar Wo Chaahe To In Ne'amato Se Behtar Baag Tumko Ataa Kar De Ke Jinme Nehre Behti Ho Aur Karaar De Tumhaare Aalishaan Mahel, Barkatwaalaa Hai Wo Jo Sabse Achchhaa Paidaa Karnewaalaa Hai.

★✩★✩★✩★✩★✩
26. DUA OF THE 26TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Allahumma Innaka Ay'yayta Aqwaaman Alaa Lesaane Nabiyyeka Sallal'laaho Alayhe Wa Aalehi Faqulta Kolid'ool Lazina Za'amtum Mindunehi Falaa Yamlekun Kashfaz Zurre Ankum Walaa Tahwilan Fa Yaa Manlaa Yamleko Kashfaz Zurre Annaa Walaa Tahwilan Gayrohu Salle Alaa Mohammadiw Wa Aale Mohammadin Wakshif Maa Bi Min Zurriw Wa Hawwilho Anni Wanqulni Fi Haazash Shahril Azeeme Min Zul'lil Ma'aasi Elaa Izzit Taa'ate Yaa Arhamar Raahemeen.

O Allah, You gave such a discourse to Your Prophet, may Allah bless him and his progeny, that it rendered the other disbeliever nations dumb. Thus You have said Say: Call on those whom you assert besides Him, so they shall not control the removal of distress from you nor change the condition. So O One, except whom no one can remove our distress and change our condition. Bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.). And remove my distress and change my bad condition and transfer me in this great month from the degradation of sins to the honor of obedience, O the most merciful of the merciful ones.

Baare ilaahaa, Tune Apne Nabi (s.a.w.w) Ki Zabaane Mubaarak Par (Dandaa Shikan) Kalaam Ko Jaari Farmaake Tamaam Akwaam (Baatil Parast) Ki Zabaano Ko Gungaa Kar Diyaa. Chunaanche Tune Irshaad Farmaayaa Hai Ke "Ay Nabi ! Aap Keh Dijiye Ke Pukaare Wo Inkoke Jinke Baare Me Gumaan Karte Hai Ke Yebhi Allah Ke Alaawaa Kuchh Hai, Yakinan Wo Log Tumse Musibato Aur Muzrato Ke Dafaa Karne Ki Aur Tumhaari Haalat Ko Badalneke Siwaa Allah Ke (Yaani Wo Kudrat Rakhtaa Hai) Jaraabhi Kudrat Nahi Rakhte, Ay Wo Ke Jiske Alaawaa Koi Bhi Hamaari Musibato Ko Dur Nahi Kar Saktaa Aur Na Hamaari Haalat Badal Saktaa Hai, Rehmat Naazil Farmaa H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Unki Aale Athaar (a.s) Par Aur Meri Musibat Ko Dur Kar Aur Meri Is Kharaabi Ko Badal De Aur Mujko Is Buzurg Mahine Me Gunaaho Ki Zillato Ruswaai Se Nikaal Kar Itaa'ato Farmaabardaari Ki Izzat Tak Pahochaade. Ay Rahem Karnewaalo Me Sabse Bade Raheem.
★✩★✩★✩★✩★✩
27. DUA OF THE 27TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Allahumma Inni As'aloka Wa Uqsemo Alayka Be Kulle Ismin Howa Laka Sammaak Behi Ahadum Min Khalkeqa Awistaa Sarata Behi Fi ilmil Gaybe Indaka Wa As'aloka Be Ismekal A'azamil Lazi Haqqun Alayka An Tojiba Man Da'aak Behi Anto Salle Alaa Mohammadiw Wa Aale Mohammadiw Wa An Tus'adani Fi Haazehil Laylate Sa'aadatal Laa Ashqaa Ba'adahaa Abaday Yaa Arhamar Raahemin.

O Allah, I beg You and I place You under oath by the names which belong to You whether it is one with which a creature has addressed You or You have kept it especially for Your hidden knowledge. And I beg You by Your great names which are having such a position that if someone calls You through them You will definitely respond. I beg you to bless Muhammad and Aale Muhammad (a.s.) and that You give me such felicity in this night that I never incline to evil ever after that, O the most merciful of the merciful ones.

Baare ilaahaa, Mai Tujse Sawaal Kartaa Hu Aur Tujko Kasam Detaa Hu Oon Naamo Ki Jo Tere Hi Hai, Chahe Is Naam Se Kisi Makhlook Ne Tuje Pukaaraa Yaa Isko Apne ilme Gaib Ke Liye Makhsus Kar Rakhkhaa Ho Aur Tujse Tere Is Isme Aazam Ke Zariye Se Sawaal Kartaa Hu Ke Jiski Kadro Manzelat Tere Nazdik Utni Hai Ki Agar Iske Zariye Se Koi Shakhs Tujse Dua Kare To Tu Zaroor Kabul Kartaa Hai. Ye Chaahtaa Hu Ki H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Unki Aale Paak Par Rehmat Naazil Ki Jaae. Aur Isi Shab Mujko 1 Aisi Sa'aadat Se Musharraf Kar Diyaa Jaae Ke Fir Iske Baad Kabhi Bhi Shakki Na Ho Jaau Ay Rahem Karnewaalo Me Sabse Zyaadaa Raheem.

★✩★✩★✩★✩★✩
28. DUA OF THE 28TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Allahumma Inni As'aloka Anto Salle Alaa Mohammadiw Wa Aale Mohammadiw Wa An Tahab Li Qalban Khaashe'an Wa Lesaanan Saadeqaw Wa Jasadan Saaberaw Wa Taj'al Sawaaba Zaalekal Jannat Yaa Arhamar Raahemin.

O Allah, I beg You to bless Muhammad and Aale   Muhammad (a.s.) and that You give me a humble heart and a truthful tongue and a patient body and as its recompense, give me Paradise, O the most merciful of the merciful ones.

Baare ilaahaa, Mai Tujse Sawaal Kartaa Hu Ke H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Aale Mohammad  (s.a.w.w) Par Rehmat Naazil Kar Aur Ye Chaahtaa Hu Ke Tu Muje Narm Aur Khudaa Se Law Lagaane Waalaa Dil Aur Sachchi Zabaan Aur Kuwwat Bardaasht Waalaa Jism Ataa Kar Aur Muje Iske Sawaab Me JANNAT Ataa Kar. Ay Rahem Karne Waalo Me Sabse Zyaadaa Raheem.

★✩★✩★✩★✩★✩
29. DUA OF THE 29TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Tawakkalto Alas Sayyedil Lazi Laa Yaglebohu Ahadun Tawakkalto Alal Jabbaaril Lazi Laa Yaqharohu Ahadun Tawakkalto Alal Azizir Rahimil Lazi Yaraani Hina Aqumo Wa Taqllobi Fis'saajedin Tawakkalto Alal Hayyil Lazi Laa Yamuto Tawakkalto Alaa Mam Be Yadehi Nawaaseyul Abaade Tawakkalto Alal Hayyil Lazi Laa Ya'ajalo Tawakkalto Alal Ma'abudil Lazi Laa Yajooro Tawakkalto Alas Samadil Lazi Lam Yalid Walam Yulado Tawakkalto Alal Qaaderil Qaaheril Aliyyis Samad. *BAAD 10 Martabaa TAWAKKALTO*

I rely on my Chief whom no one can suppress. I rely on the powerful one whom none can subdue. I rely on the powerful and the 168  merciful one who is watching my movements in my standings and prostrations among all those who prostrate. I rely on the one who is living who never dies and I have relied on one in whose control all the creatures are. I have relied on the living one who is not the one to make haste. I have relied on the deity who is never unjust. I relied on the needless who begets not nor is He begotten. I relied on One, the powerful, the subduer, the High and the needless. After that say:
*Tawakkalto = I rely – *ten times.*

Maine Aise Sardaar Par Bharosaa Kiyaa Ke Jise Koi Maglub Nahi Kar Saktaa, Maine Aise Zabardast Par Bharosaa Ke Jise Koi Makhur Nahi Kar Saktaa, Maine Aise Maherbaano Zabardast Par Bharosaa Kiyaa Jo Mere Har Kayaamo Sajdaa Karne Waalo Me Meri Gardisho Ko Dekh Rahaa Hai, Maine Aise Zindagi Waale Par Bharosaa Kiyaa Jiske Liye Maut Nahi, Maine Oos Par Bharosaa Kiyaa, Tamaam Bande Jiske Kabza'e Kudrat Me Hai, Maine Oos Zindagi Waale Par Bharosaa Kiyaa Jo Jaldbaaz Nahi, Maine Oos Maabud Par Tawakkal Kiyaa Jo Zulm Nahi Kartaa, Maine Oos Beniyaaz Par Bharosaa Kiyaa Ke Jiske Na Koi Aulaad Hai Aur Na Jo Kisise Paidaa Huwaa, Maine Kudrat Waale, Buzurg Martabaa, Beniyaaz Par Tawakkal Kiyaa.

★✩★✩★✩★✩★✩
30. DUA OF THE 30TH SHAB OF MAHE RAMDHAN 
Allahumma Rabba Shahre Ramzaan Wa Munzelal Qur'aane Wa Haazaa Shahro Ramzaan Qad Tasarrama Ay Rabbe Inni A'uzo Beka Wabe Wajhekal Kareeme Ay Yatlo'al Fajro Mil Laylati Haazehi Aw Yakhroja Shahro Ramzaan Walaka Indi Tabe'atun Aw Zambun Torido An To'azzebani Alayhe Yawma Alqaaka illaa Gafartahu Li Be Karameka Wa Joodeka Yaa Arhamar Raahemin. Allahumma Salle Alaa Mohammadiw Wa Aale Mohammad Innaka Hamidum Majeed.

O Allah, the Lord of the month of Ramazan and the revealer of Quran. And this month of Ramazan has bid farewell. O Lord, I seek Your refuge from the eventuality that this night should pass away and there is still a sin in my account, which You have not forgiven or there is something for which You have not rewarded me yet. Due to which You will punish me when I am presented in Your court. But that You forgive it through Your generosity and forgiveness, O  the  most  merciful  of  the  merciful  ones.  O  Allah,  bless Muhammad  and  Aale  Muhammad  (a.s.). Indeed  You  are  the  praised and the  favoring.

Baare ilaahaa ! Ay Maahe Ramzaan Ke Parwardigaar, Ay Quraan Ko Utaarne Waale, Ye Maahe To Rukhsat Ho Gayaa. Ay Parwardigaar Mai Tujse Aur Teri Izzat Aur Karam Waali Zaat Ke Sahaare Is Baat Ki Panaah Maangtaa Hu Ke Kahi Is Raat Ki Subha Namudaar Ho Jaae, Yaa Ye Ke Maahe Ramzaan Guzar Jaae Aur Tere Nazdik Meraa Koi Gunaah Yaa Paadaash (Sazaa) Baaki Reh Jaae Ke Jiske Baais (Sabab) Oos Roz Jab Teri Baargaah Me Haajri Du To Mujpar Azaab Kaa Iraadaa Rakhtaa Ho Magar Ye Ke Tu Apni Karam Farmaai Aur Judo Bakhshish Se Maaf Karde Mere Is Gunaah Ko Ay Rahem Karne Waalo Me Sabse Zyaadaa Raheem. Baare ilaahaa ! H. Mohammad (s.a.w.w) Aur Unki Aal Par Rehmat Naazil Kar Yakinan Tu To Laayake Taarif Aur Saahebe Bakhshish Hai.

No comments:

Post a Comment